Aankhon Se Kaho Khaamosh Rahein...

by Aryaan on July 12, 2005, 03:09:25 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2693 times)
Aryaan
Guest
«Reply #15 on: July 14, 2005, 12:32:18 PM »
Quote from: "jalpari"
Hoti nahi MoHaBBat surat se
MoHaBBaT to dil se hoti hai
Soorat unki khud hi pyari lagti hai
Kadar jinki dil mein hoti hai.

Nice Jalpari....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #16 on: July 16, 2005, 03:28:34 AM »

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
Uss ki hansi ne tau aaj mujhe rula diya

Lehje se uth raha tha harr ik dard ka dhuwaan
Chehra bata raha tha ke kuch ganwa diya

Aawaaz mein thehrao tha aankhon mein nami thi
Aur keh raha tha ke main ne sab kuch bhula diya

Jaane kya uss ko logon se thi shikayatein
Tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya

Khud bhi who hum se bichar kar adhoora sa ho gaya
Mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya....




NM
Logged
nikki
Guest
«Reply #17 on: July 16, 2005, 08:53:20 AM »
Quote from: "Aryaan"
Aankhon se kaho khaamosh rahein
Ik doojey se hum bichar chaley
Go aaj se bilkul ujar gaye
Ab jeewan hoga soona sa
Ab yaadein roz satayein gi
Ab saansein ruk ruk aayein gi
Ab raat ko deir se soyein ge
Ab neend se uth uth royein ge
Par zabt hai ab laazim aryaan
Iss lamhey ashk bahaao mat
Tum dil ko aur jalaao mat
Yeh zakhm-e-wafaa chup chaap sahein
Aankhon se kaho khaamosh rahein...


very nice Aryaan ji.....................
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: July 16, 2005, 01:51:02 PM »
Quote from: "Aryaan"
Aankhon se kaho khaamosh rahein
Ik doojey se hum bichar chaley
Go aaj se bilkul ujar gaye
Ab jeewan hoga soona sa
Ab yaadein roz satayein gi
Ab saansein ruk ruk aayein gi
Ab raat ko deir se soyein ge
Ab neend se uth uth royein ge
Par zabt hai ab laazim aryaan
Iss lamhey ashk bahaao mat
Tum dil ko aur jalaao mat
Yeh zakhm-e-wafaa chup chaap sahein
Aankhon se kaho khaamosh rahein...


Bohot khoob Aryaan............. and very nice all... !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #19 on: July 16, 2005, 06:09:44 PM »
Thanks alot Nikki & Talat.................
Logged
Yoindian Ghunda
Guest
«Reply #20 on: July 16, 2005, 11:10:57 PM »
Unki bewafaie se jaltey hai dil mein,
Ki unhey bhi koi saza de pyar mein,
Aur woh mehsoos karein dard-e-judaie,
Kaisa hota hai yeh tohfa-e-bewafaie.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #21 on: July 17, 2005, 01:09:30 PM »
Quote from: "Yoindian Ghunda"
Unki bewafaie se jaltey hai dil mein,
Ki unhey bhi koi saza de pyar mein,
Aur woh mehsoos karein dard-e-judaie,
Kaisa hota hai yeh tohfa-e-bewafaie.

Nice one Y.G.....
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #22 on: July 17, 2005, 01:21:32 PM »
wah aryaan,bohat khoob likha hai,1st page wali bhi,2nd wali bhi,both r excellent.Nice work nikki sis and Talat also Usual Smile .
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: July 17, 2005, 01:32:13 PM »
Ankhon ko aaata hi nahin ashk chupana
Seekha hai unhone bas khwaab sajaana
Reza reza ho jaate hain sapne bikhar ke
Jaane kyun dushman bana hai ye zamana
Chun kar bache hue tukde phirse sajati hain
Ankhon ne seekha hai khwabon pe jiye jana !!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #24 on: July 17, 2005, 01:50:10 PM »
Quote from: "Talat"
Ankhon ko aaata hi nahin ashk chupana
Seekha hai unhone bas khwaab sajaana
Reza reza ho jaate hain sapne bikhar ke
Jaane kyun dushman bana hai ye zamana
Chun kar bache hue tukde phirse sajati hain
Ankhon ne seekha hai khwabon pe jiye jana !!!
wah wah wah Talat,every line is beautiful .
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #25 on: July 17, 2005, 02:48:28 PM »
Quote from: "Talat"
Ankhon ko aaata hi nahin ashk chupana
Seekha hai unhone bas khwaab sajaana
Reza reza ho jaate hain sapne bikhar ke
Jaane kyun dushman bana hai ye zamana
Chun kar bache hue tukde phirse sajati hain
Ankhon ne seekha hai khwabon pe jiye jana !!!

Beautiful Talat....Bohat khoob!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #26 on: July 17, 2005, 02:49:19 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
wah aryaan,bohat khoob likha hai,1st page wali bhi,2nd wali bhi,both r excellent.Nice work nikki sis and Talat also Usual Smile .

Bohat shukriya Nidhi....
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: July 17, 2005, 03:22:45 PM »
Thanks Aryaan Usual Smile ........................................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #28 on: July 17, 2005, 03:50:12 PM »
Luta karta hai aksar hi jahan mera
Mohabbat pe chale hai bas kahan mera

Teri yaadon ke dariya mein jo dooba hoon
Pata chalna hai kis ko ab yahan mera

Badal dena tum apni baat ka mauzoo
Jo pooche gar koi haal-e-rawaan mera

Saza sach bolne ki mil gayi mujh ko
Huwa hai nazr-e-aatish aashiyaan mera

Aryaan ab walwale dil mein nahi uth-te
Kabhi ka so geya aatish fishaan mera
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #29 on: July 17, 2005, 05:11:16 PM »
Quote from: "Aryaan"
Luta karta hai aksar hi jahan mera
Mohabbat pe chale hai bas kahan mera

Teri yaadon ke dariya mein jo dooba hoon
Pata chalna hai kis ko ab yahan mera

Badal dena tum apni baat ka mauzoo
Jo pooche gar koi haal-e-rawaan mera

Saza sach bolne ki mil gayi mujh ko
Huwa hai nazr-e-aatish aashiyaan mera

Aryaan ab walwale dil mein nahi uth-te
Kabhi ka so geya aatish fishaan mera


wah Aryaan,mindblowing.

"Wo jo aag mere dil me laga ke gaya,
      aaj bhi uski tapan se jal rahi hoon,

      wo jo bebuniyaadi mujhse kehke gaya,
      uske kahe lafz aaj bhi soch rahi hoon,

      kaise keh diya tumne itna kuch mujhse,
      meri dillagi pe hi sawaal lag gaya,

      jise socha thha jeevan ki sacchai hai,
      wo pyaar ki yaaron jhootha nikal gaya."
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:17:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer