^Aankhon se nikalte hain mere aansu^

by honeyrose on July 31, 2008, 10:12:07 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3702 times)
honeyrose
Guest
 



Aankhon se nikalte hain mere aansu
Kabhi unke yaadon se bhar jaate hain mere aansu

Bharish mein bheejte hain pyaar ke aansu
Unka intezaar karte hain dard ke aansu

Aankhon se nikalte hain mere aansu
Saath dete aur rulate hain ek pal mein aansu

Kabhi dukh kabhi khushi se dagmagate hain mere aansu
Kuch dard hai joh kahe nahi paaye hain mere aansu

Dil ka dard nahi chhupa paaye hain mere khamosh aansu
Unki ki yaadon mein kho jaate hain  mere dard ke aansu

Tadapte dil ki pukar nahi samajh paaye hain mere aansu
Dil ka dard nahi mitta paaye hain mere pyaar ke aansu
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Udaas Aankhon Se Aansuu Nahin Nikalte Hain by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Aankhon mein aansu jaate hain by jaswinder singh jassi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
AANKHON ME AANSU ....... by srikant in Shayri-E-Dard
Kahin jaane ko nikalte hain... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
mere aansu tujh bewafa ke liye bahte hain... by cool neha in Shayri for Dard -e- Judai
baadal102
Guest
«Reply #1 on: July 31, 2008, 10:55:16 AM »
kya baat hai honey ji
hume batao jara kis ne diye hai ye aanshu



Baadal
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: July 31, 2008, 10:59:56 AM »
nice honey ji
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: July 31, 2008, 12:05:07 PM »
kya baat hai honey ji
hume batao jara kis ne diye hai ye aanshu



Baadal
..

Haan bataogi aapko kabhi.. tearyeyed

Shukriya kaushik ji..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: July 31, 2008, 12:08:00 PM »
Nice Work Honey...  Thumbs UP
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: July 31, 2008, 12:20:05 PM »
nice line...honey
Logged
punam
Guest
«Reply #6 on: July 31, 2008, 12:31:02 PM »
Bahut khoob Honey di....
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #7 on: July 31, 2008, 09:19:45 PM »
Bohot achha likha aap ne honeyrose sahiba, or bohot achha topic he ye, sahi mein aansoo kitni tarah se nikalte rehte hein, ise apne hi andaaz mein aage badhate rahiye, aansoo ki zameen par abhi bohot kuchh likhne ki gunjaaish he, kisi ne sahi kaha he:

"ye aansoo mere dil ki zubaan he"

isi tarah likhte rahiye.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #8 on: August 01, 2008, 06:09:27 AM »

Bharish mein bheejte hain pyaar ke aansu
Unka intezaar karte hain dard ke aansu

Aankhon se nikalte hain mere aansu
Saath dete aur rulate hain ek pal mein aansu

Kabhi dukh kabhi khushi se dagmagate hain mere aansu
Kuch dard hai joh kahe nahi paaye hain mere aansu

Chaliye der se aaya dusrust aaya hun Paheli baar shayad Arse baad Mukhateeb hun aapke kalaam se Barah-e-Raast..Bahot Hi Khoob Hai aapka Likhna aur aapke Ye Ash'aar..Honeyrose sahiba.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: August 01, 2008, 07:25:38 AM »

Shukriya Punam,,,Mahiya aapka..

Quote from: Sayyid Randeri

link=topic=31330.msg787957#msg787957 date=1217539185
Bohot achha likha aap ne honeyrose sahiba, or bohot achha topic he ye, sahi mein aansoo kitni tarah se nikalte rehte hein, ise apne hi andaaz mein aage badhate rahiye, aansoo ki zameen par abhi bohot kuchh likhne ki gunjaaish he, kisi ne sahi kaha he:

"ye aansoo mere dil ki zubaan he"

isi tarah likhte rahiye.



Shukriya Sayyid ji aapka joh mera likha aapko pasand aaya..
ek line yaad aaye hai aapki shayad tik likha ho to kahiye


'Zameen ko chuu jaate hai mere aansu
Unke liye tadapte bikar the hai mere aansu
Fir se unko na dekha humne na rokh paaye mere aansu
Aapki yaadon mein baha rahe hai mere tanhaiye ke aansu'




Chaliye der se aaya dusrust aaya hun Paheli baar shayad Arse baad Mukhateeb hun aapke kalaam se Barah-e-Raast..Bahot Hi Khoob Hai aapka Likhna aur aapke Ye Ash'aar..Honeyrose sahiba.
..

Buhat buhat shukriya Muhammed ji joh aapne meri shayari pasand ki hai ..
Logged
k.shael
Guest
«Reply #10 on: August 01, 2008, 11:41:25 AM »
 Applause  Applause
EXCELLENT WORK,
HONEY DI,
KEEP GOING....

KABHI KABHI U HI AANKHON SE BEH JAATE
HAI YE AANSOO,
KABHI KABHI BHARI MEHFIL ME GUNAHGAR KAR
JATE HAI YE AANSOO,
KABHI TANHAI ME JO AAYE TO PURANI YAADE
TAAZA KAR JATE HAI YE AANSOO,
ZINDAGI KE HAR MOAD HAR KOOCHE ME KISI NA
KISI WAJAH SE SAATH NIBHATE HAI YE AANSOO
BY. K.SHAEL

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #11 on: August 01, 2008, 11:56:45 AM »
Applause  Applause
EXCELLENT WORK,
HONEY DI,
KEEP GOING....

KABHI KABHI U HI AANKHON SE BEH JAATE
HAI YE AANSOO,
KABHI KABHI BHARI MEHFIL ME GUNAHGAR KAR
JATE HAI YE AANSOO,
KABHI TANHAI ME JO AAYE TO PURANI YAADE
TAAZA KAR JATE HAI YE AANSOO,
ZINDAGI KE HAR MOAD HAR KOOCHE ME KISI NA
KISI WAJAH SE SAATH NIBHATE HAI YE AANSOO
BY. K.SHAEL




 Applause Wah buhat hi kamaal ka likha hai shally..

Dard mein kashmakash se ladh rahe hai ye aansu
Kya wajeh hai joh kahe na paaye hai ye aansu
Jazbath se majboor hai ye dil se keech lete ye aansu
Dil ki baat dil mein dabe hue tadapte hai ye aansu
Kasam khane se bhi na sunte hai dil ki baat ye aansu
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #12 on: August 01, 2008, 08:03:22 PM »

Shukriya Sayyid ji aapka joh mera likha aapko pasand aaya..
ek line yaad aaye hai aapki shayad tik likha ho to kahiye

'Zameen ko chuu jaate hai mere aansu
Unke liye tadapte bikar the hai mere aansu
Fir se unko na dekha humne na rokh paaye mere aansu
Aapki yaadon mein baha rahe hai mere tanhaiye ke aansu'


Khoob!!
kuchh hamein bhi shauq huwa he koshish kar ke dehte hen..... tongue3

+++++++++
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #13 on: August 01, 2008, 08:05:08 PM »
KABHI KABHI U HI AANKHON SE BEH JAATE
HAI YE AANSOO,
KABHI KABHI BHARI MEHFIL ME GUNAHGAR KAR
JATE HAI YE AANSOO,
KABHI TANHAI ME JO AAYE TO PURANI YAADE
TAAZA KAR JATE HAI YE AANSOO,
ZINDAGI KE HAR MOAD HAR KOOCHE ME KISI NA
KISI WAJAH SE SAATH NIBHATE HAI YE AANSOO
BY. K.SHAEL


Waah bohot khoob likhaa he shael ji.....
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #14 on: August 02, 2008, 04:43:05 AM »

+++++++++++++

Bahot Hi Khoob sayyid sa'b,,badhiya Qat'aa Hai aapka.
waise Ye Aansoo Hi Rang Layenge Maheshar Me.Gunaaho'n K daftar dhulenge In aansoo Se. 
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:44:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer