Aansoo bahaane nahin aate humein ...!!!

by Delicate_Doll on August 29, 2005, 08:52:44 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Author  (Read 6396 times)
Delicate_Doll
Guest
Bohut Hanst thi main,
Jin ko bhi hansaane ke liye.
wahi chor gaye hain mujhe aaj,
tanhai main aansoo bahaane ke liye.

Woh hanste hain haamare saamne,
shayad hamein tarpaane ke liye.
par hum to kambakht ro bhi nahi sakte,
zamaane ko ghum dikhane ke liye.

Khushiyan sab woh le gaye,
aanson hain bas aab mere liye.
par yeh aason bhi aab nahi dete hain saath,
in aankhon se bahene ke liye.

Bare sambhal kar rakhe the kadam humne,
unke saaye ko bhi bachaane ke liye.
par aaj apna hi saaya saath chor gaya,
humein tanhai ka ehsaas dilaane ke liye.

Ruke the hum har morh par,
unke intezaar ke liye.
aaj chor gaye hain woh ek naye morh par,
zindagi bhar intezaar karwaane ke liye

Bahut khushiyan hain aas-pass,
mujhe khush karne ke liye.
phir bhi koi wajah doondhti hoon,
shaayad main muskuraane ke liye.

Kuch yaadein hongi unke pass bhi,
humein yaad karne ke liye.
par woh kabhi humein na yaad kar payenge,
doondhenge kis bahane ke liye.

Kabhi to woh bhi sochenge,
humaare pass waapis aane ke liye.
lekin tub hum honge hi nahi,
unko pachtaane ka mauka dene ke liye.
nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ZINDAGI NAHIN HUMEIN TUM SE PYAARI by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zarf ka koi naam nahin , Aansoo ka koi daam nahin by javedarshad in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
TUMHAARE DIL PE HUMEIN IKHTIYAAR HAI K NAHIN by waquif ansari in Ghazals
nishita
Guest
«Reply #1 on: August 29, 2005, 10:26:11 AM »
waah salma
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #2 on: August 29, 2005, 11:27:25 AM »
bahut khoob salma ji

her shab ek hi khawaab me uljha rahta hu
main dariya hu, phir bhi pyasa rahta hu

din ki fasal kate , to shaam dhale akser
khawaabo ki deewaar se chipka rahta hu

hawa ki zad pe main ek aisa suraj hu
shaam se hi raste per rakha rahta hu

chalte chalte dariya jab thak jaate hai
yaad ke gahre sager me dooba rahta hu

soch ki galiyon me aawara phirta hu
gher ke drwaze pe tanha rahta hu

shayed mujhe koi jagane aa jaye
isi khawahish me ankhe band kiye rahta hu

roshniyo ka gher bhi nahi  milta 'makhdoom'
suraj ka saya hu bhaga rahta hu

nm
Logged
chhaya
Guest
«Reply #3 on: August 29, 2005, 11:37:25 AM »
very nice.....................
salma & samjog
Logged
chhaya
Guest
«Reply #4 on: August 29, 2005, 11:40:04 AM »
Adat si pad gayi hai
gum chupane ki
Ankho main ansu liye
muskurane ki
Maloom hota pehle se anjam ka
to galti na karte dil lagane ki

N/M
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #5 on: August 29, 2005, 01:07:10 PM »
shukriya nishita ...juz ke ye shayari hume suit kar raha tha toh post kiya ..was matching my feeling n i dnt now how to express it thr shayari Usual Smile shukriya... n samnoj ..G.....chhaya ...

nice one sam N chhaya...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #6 on: August 29, 2005, 01:10:57 PM »
mat aao mere paas
nahi bunna hai koi khwab mujhe kal ke liye
bhagta hi raha Khwaboon ke peechhe
nahi daurna hai aur mujhe
haar gaya iss zindagi mein
tujhe apne dil ki baat samjhate samjhate
nahi jeetna hai koi jung mujhe
zamaana hasna janta hai
nahi aana hai mujhe kisi mehfil me
rehne do mujhe andhere mein
nahi dekhna hai kal ka suraj mujhe
ji chuka kayee saal zindagi ke
nahi jeena hai aur mujhe
jane do mujhe iss duniya se
nahi aana hai yaha dubaara mujhe
nm
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #7 on: August 30, 2005, 10:32:04 AM »
thanx n bahut khoob salma...................................
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: August 30, 2005, 04:48:26 PM »
wah salma bohat khoob,specially the last 3 paras i really liked a lot...very touching.And very nice samnoj too.
Logged
nikki
Guest
«Reply #9 on: August 30, 2005, 04:54:17 PM »
very nice Salma, Samnoj n Chhaya ji !!!!!!!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #10 on: August 31, 2005, 06:53:48 AM »
shukriya Sam .......n .............nidhi.......... n .....nikki sis ...............!!!


Dard me wo bhi hai,dard  me hum bhi hai,
wo asu pi rahe hai, hum asu ko hasi me rok rahe hai.
fark itna hai
 -wo zamane ko dikhate bhi hai,hum khudse bhi chupate hai....
nm
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #11 on: September 02, 2005, 11:18:05 AM »
khete hain rone se dil halka ho jata hai...
humein aansoo bhi bahaane nahin aata hai...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: September 02, 2005, 11:28:04 AM »
waah waah
....

Salma

...

hummmmm  muhoobat aur ansuoon ka to janam janam ka sath hai ..... jis dil mein muhoobat hai ... yaqeenana asuun bhi jaruur hongey ....... yeh ansuuN bhi to ishq ka ik gouhar hai ......  kehte hai jis ishq mein ansuu na nikle woh ishq pak nhi hota .....


khuloos o ishq ko jurm o gunaah likh liije.
phir uske baad junoon ko gawaah likh liije

Panaah den na saken jin ko vusaten dil ki
hamaare naam wo saare gunaah likh liije

Jo khud simat na sake apne qad ke ssaye main
ik aise shakhs ko aalam panaah likh liije !!!

Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #13 on: September 02, 2005, 11:55:17 AM »
shukriya humtum janab n bahut khoob


n aap bilkul sahi kaha ....lekin thode log aise hote hain jo aanson ko khud se bhi chupkar rote hain ...mathlab woh aanson nahin bahanate lekin wo dil se rote hain........!!! may be i m rong but shayaad
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: September 02, 2005, 12:07:03 PM »
Shayaad

......

iss sahyaad se ik sher Ahmed faraz ji ka yaad aaya ...
phir ussi rah guzar per shayaad
hum kabhi mil sake magar shayaad !!!

hummmmm salma .... yaqeenan kuch log ansuu chupate hai ... yadooN ko samet ke tanha lamho mein rote hai .....  mehfil mein ansuuoon ko chupa ke chahare pe musjurahat le ke aana shukhnwaroN se behtaar bhlaa kaun ker sakta hai ..... pehle kabhi likha tha ... pesh e nazar hai ...


ham aap ki mehfil mai bhuule se chale aaye
hamne jo khata kii hai koi ham ko to samjhaaye

hamdard bahut dekhe the ham ne to duniya mein
deewaano kii mehfil mai ham ab kisse apnaayen

koi un ko to samjhaaye jo rishta hamaara tha
ab aise sabhi rishte ham kaise bana paayen !!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:20:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer