Aansoo bahaane nahin aate humein ...!!!

by Delicate_Doll on August 29, 2005, 08:52:44 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Author  (Read 6324 times)
Delicate_Doll
Guest
«Reply #15 on: September 02, 2005, 12:17:04 PM »
wah wah wah bahut he khoob jee................!!!

aise jhoothoi sajawati ka muskurahat rake huve hain....
mefil mein hasate hain lekin tanhaiyon me apne gum se rote hain...
kise ab shikyat ya gila karein hum iss duniya mein...
sab apni apni zindagi mein yun khoye huve ke dusronki kabar nahin hain....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ZINDAGI NAHIN HUMEIN TUM SE PYAARI by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zarf ka koi naam nahin , Aansoo ka koi daam nahin by javedarshad in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
TUMHAARE DIL PE HUMEIN IKHTIYAAR HAI K NAHIN by waquif ansari in Ghazals
HumTum
Guest
«Reply #16 on: September 02, 2005, 12:22:16 PM »
hummmm ....   Salma ......ishq ki hiddaten hijr ki saubaten humari ankhon ko bhi num ker gayeen......likha kijiye...khush rahiye.....



meri tanhaai ko ab ik mehmaan chaahiye
mujhko saaya naheeN ik insaan chaahiye

baaton mein khulte hein aksar puraane zakham
koi kam-sukhan koi bey-zubaan chhaahiye

ik "shaayad" par guzar di zindgi humne
ab "HumTum" koi yakeene "haan" chhahiye !!!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #17 on: September 02, 2005, 12:47:59 PM »
well nice n thanks humtum aur hum hardam khush rehne ki khosis mein rehte hain ....!!! lekin kabhi kabhi khair nice one ....!!!

wah wah


udasi toh duniya mein har ek ko kisina kisi roop mein hoti hai
magar ye har ek ka alag alag zariya hai ke wo usko kis roop se lete hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #18 on: September 02, 2005, 12:56:02 PM »
tumko bhulley huye zamana hua
aaj mehkhane jane ke bhaana hua

pilaya jab saqi ne apne hathhon se jaam
mud'dat ke baad hosh mein aana hua

girte ladkhdate ja pahuncha tere darvaje pe
jo di purane zakhmo ne duhai, na fir khatkhtana hua !!!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #19 on: September 03, 2005, 09:54:21 AM »
bahut khoob humtum....!!!!

tumko bhuley huve zamana hua...
lekin bhul kar bhi ye dil rota raha...
lakh khosis karte rahe hum bhulne mein...
lekin bhulane mein ye dil na-kamiyab hua...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #20 on: September 04, 2005, 11:09:48 AM »
Samjha na koi dil ki baat ko,
Dard duniya ne bin soche he de diya....
Seh gaye jo hum agar dard ko chupke se,
To phir humko patthar dil keh diya...
nm
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #21 on: September 04, 2005, 09:26:46 PM »
Superb..hamesha ki tarha.......salma.

maybe cant find the words to make tareef, so Dear just understand how gud the shayrs are ok =)   take care laughing4)))))))))))))))))))))) bye
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #22 on: September 05, 2005, 01:51:09 PM »
thanks a lot arzoo....!!! hamesha ki thara :oops:

lol hume shayari likhni nahin aati hai :oops: but tareef ke liye shukriya

haan i understood how god the shayars are Usual Smile  bye n u too take care n keep smiling...!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: September 05, 2005, 03:12:32 PM »
Quote from: "salma4u"
Bohut Hanst thi main,
Jin ko bhi hansaane ke liye.
wahi chor gaye hain mujhe aaj,
tanhai main aansoo bahaane ke liye.

Woh hanste hain haamare saamne,
shayad hamein tarpaane ke liye.
par hum to kambakht ro bhi nahi sakte,
zamaane ko ghum dikhane ke liye.

Khushiyan sab woh le gaye,
aanson hain bas aab mere liye.
par yeh aason bhi aab nahi dete hain saath,
in aankhon se bahene ke liye.

Bare sambhal kar rakhe the kadam humne,
unke saaye ko bhi bachaane ke liye.
par aaj apna hi saaya saath chor gaya,
humein tanhai ka ehsaas dilaane ke liye.

Ruke the hum har morh par,
unke intezaar ke liye.
aaj chor gaye hain woh ek naye morh par,
zindagi bhar intezaar karwaane ke liye

Bahut khushiyan hain aas-pass,
mujhe khush karne ke liye.
phir bhi koi wajah doondhti hoon,
shaayad main muskuraane ke liye.

Kuch yaadein hongi unke pass bhi,
humein yaad karne ke liye.
par woh kabhi humein na yaad kar payenge,
doondhenge kis bahane ke liye.

Kabhi to woh bhi sochenge,
humaare pass waapis aane ke liye.
lekin tub hum honge hi nahi,
unko pachtaane ka mauka dene ke liye.
nm

wah...Bohat khoob Salma......kya baat hai..

Baaqi sab ne bhi khoob likha hai..
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #24 on: September 05, 2005, 08:31:44 PM »
Quote from: "salma4u"
thanks a lot arzoo....!!! hamesha ki thara :oops:

lol hume shayari likhni nahin aati hai :oops: but tareef ke liye shukriya

haan i understood how god the shayars are Usual Smile  bye n you too take care n keep smiling...!!!


 Usual Smile    ur welcome..........likhte rehna,,,,,,,,,,,,,,,kya yeh tum khud nahi likhti i mean i read last time the msgs from u and hum tum and that was amazing i mean shayr likhne bhi kissi kissi ko aate hai not everyone can do it ,,u agree :?:  
  jo bhi hai i must say they touch my heart soo likhte rehna to keep us  smiling coz u said keep smiling,,so kheal rakhna  Usual Smile  byeeee salma
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #25 on: September 06, 2005, 08:38:31 AM »
shukriya ARYAAN Usual Smile

lol arzoo woh toh bas aise he likh diya ...mood off ho tolikh dete hain Usual Smile kya woh tumhe shyari jaisi lagi kya lol gal ...waise HUMTUM ka toh jawab nahin hai woh bahut he khoob likhte hain ...humne srif thoda try maara Usual Smile ...dubara shukriya apke tarif ke liye ...its my plesure ke tumko pasand aaya Usual Smile aap bhi kuch farmaye toh sahi ...haan ya keep smiling buddy ..its best thing in the world ... Usual Smile take care..!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #26 on: September 06, 2005, 10:47:09 AM »
Thanks a lot Aryaan n Arzoo !! aur Salma ji .... baja farmaya aap ne ke jab dil ke jazbaat ubhar aaye to khud b khud qalam chalne lagta hai ..... aur haan hum kha itna acha likhte hai .... aap ne to ik zarre ko aftaab likh diya .... fir bhi humne aap ke khushmizzaji  andaaz ka lutf uthaya ... aur 'teh dil se shukarguzar hoon ke iss nacheez ke likhe chend ashaar pasand aaye ....



kya kya na mere sajde ki ruwiya hui
tadpte rhey hum teri ik nazar ke liye
gazal mein alfaaz hi nhi kaffi "HumTum"
khoon e jigar bhi chahiye asar ke liye !!
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #27 on: September 06, 2005, 07:59:47 PM »
Quote from: "salma4u"


lol arzoo woh toh bas aise he likh diya ...mood off ho tolikh dete hain Usual Smile kya woh tumhe shyari jaisi lagi kya lol gal ...waise HUMTUM ka toh jawab nahin hai woh bahut he khoob likhte hain ...humne srif thoda try maara Usual Smile ...dubara shukriya apke tarif ke liye ...its my plesure ke tumko pasand aaya Usual Smile aap bhi kuch farmaye toh sahi ...haan ya keep smiling buddy ..its best thing in the world ... Usual Smile take care..!!!


hi...ur welcome Hum Tum...........

salma: wo actually na aap dono shayri ke andaaz me jawab derahe the iss liye shayri lagii but KAMAL lagi  :D sach.
yes HumTum writes also Super. me bhi kuch farmau...hmmm ok i accept ur wish hope aapko pasand aye..

Raate jaagne se ghabra kar,
aansuuo se tang akar.
apna saara dukh apni kamre ki diwaaro se keh daala.
AUR AB
me soti hu to deeware raat bharr ashk bahati hai..............


kesa lagga  Usual Smile  bye dear
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #28 on: September 08, 2005, 12:32:12 PM »
Quote from: "HumTum"
Thanks a lot Aryaan n Arzoo !! aur Salma ji .... baja farmaya aap ne ke jab dil ke jazbaat ubhar aaye to khud b khud qalam chalne lagta hai ..... aur haan hum kha itna acha likhte hai .... aap ne to ik zarre ko aftaab likh diya .... fir bhi humne aap ke khushmizzaji  andaaz ka lutf uthaya ... aur 'teh dil se shukarguzar hoon ke iss nacheez ke likhe chend ashaar pasand aaye ....



kya kya na mere sajde ki ruwiya hui
tadpte rhey hum teri ik nazar ke liye
gazal mein alfaaz hi nhi kaffi "HumTum"
khoon e jigar bhi chahiye asar ke liye !!


Arey HumTum aap maan lijiye aap bahut aacha likhte hain aur aap mein turant jawab ke khoobi hai Usual Smile

Chupke se aason nikal aate hain...
Mefhil se hum daar jate hain..
Yaad mein unke dil bhar aata hai...
Kahin zakam nahin hain...
Phir bhi maan yun udas rehta hai...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #29 on: September 08, 2005, 12:41:45 PM »
Quote from: "arzoo22"
Quote from: "salma4u"


lol arzoo woh toh bas aise he likh diya ...mood off ho tolikh dete hain Usual Smile kya woh tumhe shyari jaisi lagi kya lol gal ...waise HUMTUM ka toh jawab nahin hai woh bahut he khoob likhte hain ...humne srif thoda try maara Usual Smile ...dubara shukriya apke tarif ke liye ...its my plesure ke tumko pasand aaya Usual Smile aap bhi kuch farmaye toh sahi ...haan ya keep smiling buddy ..its best thing in the world ... Usual Smile take care..!!!


hi...ur welcome Hum Tum...........

salma: wo actually na aap dono shayri ke andaaz me jawab derahe the iss liye shayri lagii but KAMAL lagi  :D sach.
yes HumTum writes also Super. me bhi kuch farmau...hmmm ok i accept ur wish hope aapko pasand aye..

Raate jaagne se ghabra kar,
aansuuo se tang akar.
apna saara dukh apni kamre ki diwaaro se keh daala.
AUR AB
me soti hu to deeware raat bharr ashk bahati hai..............


kesa lagga  Usual Smile  bye dear


shukriya arzoo Usual Smile ..bahut khoob likha aapne

Neend raat bhar kyun aati nahin...
jagti aankon me kyun koi sapna nahin...
khayaal mein unke khoye rehte hain...
unse milne ka naseeb kyun poora hota nahin....
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:33:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer