Aansoo bahaane nahin aate humein ...!!!

by Delicate_Doll on August 29, 2005, 08:52:44 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Author  (Read 6366 times)
Aryaan
Guest
«Reply #60 on: September 27, 2005, 12:58:46 PM »
Wah...Bohat khoob Salma...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ZINDAGI NAHIN HUMEIN TUM SE PYAARI by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zarf ka koi naam nahin , Aansoo ka koi daam nahin by javedarshad in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
TUMHAARE DIL PE HUMEIN IKHTIYAAR HAI K NAHIN by waquif ansari in Ghazals
Delicate_Doll
Guest
«Reply #61 on: September 29, 2005, 12:27:36 PM »
Thanks a Lot ArYaan


Badi Muddaton Ke Baad Ye Dil Sambhal Raha Tha
Aaj Dubara Wo Ankhon Mein Aanson De Gaya
Rone ki Phir Se Wo Wajah Aaj wo De Gaya
Iss Baar Hum Khud Ko Akela Paa Liya Tha
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #62 on: September 29, 2005, 01:53:19 PM »
again a beauty Salma...

Hum se tau tumhein aur bhi mil jayein ge lekin
Hai baat bas itni si keh, naayaab yeh Dil hai
Logged
shyama
Guest
«Reply #63 on: September 29, 2005, 04:53:09 PM »
Salma 2 good especially lines below:

"Bare sambhal kar rakhe the kadam humne,
unke saaye ko bhi bachaane ke liye.
par aaj apna hi saaya saath chor gaya,
humein tanhai ka ehsaas dilaane ke liye. "

laakhon hein bheer mein par bhi tanhaa hoon
iss tanhai se tanhai nahi milti
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #64 on: September 30, 2005, 02:25:07 PM »
Thanks a lot Aryaan n shyama ............!! gr8 one both


Tanha na the hum Phele
Ab tanha kyun reh gaye
yaad mein usske hum
Khud ko kyun bhul gaye
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #65 on: October 04, 2005, 09:25:56 AM »
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya .
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..

Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
Ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..

Zindagi ki musafit ke woh chand din jo guzar chuke hain..
Na hi un pe urooj aya,our na hi un pe zawaal aya...

Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai..
Jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya...

Guzra hua kal na tha mera,na hai mera our na ho ga kabhi...
Yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..

Woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
Magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya..

Aana paye the tum to khudaar tha main bhi...
Yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya...

Us ki muskurahat tere liye ek fareb thi ...
Tu tha nadan,dil tera usse na samajh paya...

NM
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #66 on: October 04, 2005, 12:56:40 PM »
Wah  Salma.... very nice..thanx for sharing....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #67 on: October 04, 2005, 05:25:06 PM »
good one salma, thanks for sharing with us!!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #68 on: October 04, 2005, 06:28:30 PM »
Quote from: "salma4u"
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya .
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..

Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
Ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..

Zindagi ki musafit ke woh chand din jo guzar chuke hain..
Na hi un pe urooj aya,our na hi un pe zawaal aya...

Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai..
Jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya...

Guzra hua kal na tha mera,na hai mera our na ho ga kabhi...
Yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..

Woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
Magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya..

Aana paye the tum to khudaar tha main bhi...
Yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya...

Us ki muskurahat tere liye ek fareb thi ...
Tu tha nadan,dil tera usse na samajh paya...

NM


simply amazing :thumb:

and nice work  by all.
Logged
natural
Guest
«Reply #69 on: October 05, 2005, 09:51:04 AM »
Quote from: "salma4u"
Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga


Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga


Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiay Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga


Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Tumko Pashtaana Hoga


Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaoungi
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga


Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga


Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga
nm

Wow............... Bahut khoob......... Thanks Salma for sharing.........
Very well written gum.... Really nice
aur aryaan aapki to baat hi alag hai........ Excellent work by all.....
Logged
natural
Guest
«Reply #70 on: October 05, 2005, 10:16:27 AM »
apni hi dhun mein rehti thi
ik larki shokh or chunchal c
pholon say baatein kerti thi
titli k rang pakerti thi
ik chamak thi us k aanchal per
phir janay kaisa toofan aaya
pholon k rang bikher gaye
aanchal k rang utar gaye
jab kisi nay pocha aey larki
kyun tum chup chap ab rehti ho
kyun nahi ab kuchh kehti ho,
vo kuch na boli bas ro di
or khaak pay haath ki ungli sa
ik lafz MUHABAT likh dala............(nm)From a mail
Logged
naadan aahique
Guest
«Reply #71 on: October 06, 2005, 05:18:35 AM »
koie jab tumhara hriday tooddey
tadapta huwa youn tumhe chod dey

tab mere pass ana oo merea prieyea,
mera dar khula hai, khula hi rahega tumhare liyea.....

tumhe aaj meri zaroorat nahi.
bahot chahne wale miljayenge.
aaj roop ka ek sagar ho tum.
kamal jitne chahoge khiljayenge,
darpan tume jab darane lage
jawani bhi daaman chudane lage,
jab apni nazar mea hi girne lago,
andheroon mea apne hi ghirne lago
tab tum mere pass ana prieyea
mera sar jhuka hai, jhuka hi rahega tumhare liyea
tumhare liyea,,,,,,,,,,,,,, sirf tumhare liyea
jab koie tumhara hriday toddey...........
Quote
[/img][/list][/list]


Quote
EDITED by yoindia.com monitors
     REASON
:-Its a song by Mukesh ji from the movie Poorab aur Paschim(1970).
     COMMENTS:-Post original stuff or if its not urs do write *nm.As u r a new user of yoindia kindly go through rules and regulations.Thank u.

Edited by : nidhi.
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #72 on: October 07, 2005, 11:39:17 AM »
ur welcome natural n gr8 one haan............!!!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #73 on: October 07, 2005, 11:40:04 AM »
Woh Jo Hum Ko Bhulay Bethay Hain
Dil Unhi Say Lagay Behtay Hain
In Ki Ankhon Mein Dobnay Ko Raza
Apna Sub Kuch Ganway Bethay Hain
Aap Aao Gay Kabhi To Milnay Hum Say
Bus Yeh Hi Ek Ass Lagay Bethay Hain
nm
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #74 on: October 07, 2005, 03:22:51 PM »
Quote from: "natural"

Wow............... Bahut khoob......... Thanks Salma for sharing.........
Very well written gum.... Really nice
aur aryaan aapki to baat hi alag hai........ Excellent work by all.....

Thanx a lot Natural...& Good One....

Bohat khoob Naadan & Salma....
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:13:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer