aansoon baha ker dekhoo

by Nino on March 15, 2008, 08:59:28 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1195 times)
Nino
Guest
Khud Ko khud se judaa ker ke dekho
zara mere in halaat mein aaker dekho
tum to her waqt baat kerti ho apni
kabhi mere armano ko nibha ker dekho


Najane kis gunahaa ki milti hai sazaa muhjko
kabhi to mere zakhm ko dawa deker dekho
apni halaat pe to her koi roota nazer aata hai
kabhi kisi aur ke gham mein aanso baha ker dekhoo

kaisi hai fitraat mere yaar ki ye na janu main
mager ilteja inti unse ke kabhi meri fitraat apna ker dekho
kaun si shiqaat hai aapko humse ki khafaa is qader ho baithe ho
kabhi to meri taraf tum ik nigha pyaar ki uthaa ker dekho

tum kehti ho her dum apna hi fasanaa dil e bekaraar ka
kabhi to mere toote hue dil armanoo ko apna ker dekho
shiqat keró aur karo shiqwa muhjse shiqwa hai wajib
mager kabhi meri guzarishoon ko bhi apna ker dekho
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
GHAM-E-ISHQ KE HAIN DEKHOO TUFAAN KESAY KESAY by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bewafai dekhoo es zamane kI by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
Mat baha ashq.... Raaj by Sunil Malhotra in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Khoon mazloom ka her daur me baha kyon hai by Syed Mohd Mahzar in Ghazals « 1 2  All »
Main dekhoo tujhe by shiverz in Share Poetry You Like
sarthika
Guest
«Reply #1 on: March 15, 2008, 09:22:31 PM »
wah bahoot khoob nino
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: March 16, 2008, 05:34:52 AM »
Khud Ko khud se judaa ker ke dekho
zara mere in halaat mein aaker dekho
tum to her waqt baat kerti ho apni
kabhi mere armano ko nibha ker dekho


Najane kis gunahaa ki milti hai sazaa muhjko
kabhi to mere zakhm ko dawa deker dekho
apni halaat pe to her koi roota nazer aata hai
kabhi kisi aur ke gham mein aanso baha ker dekhoo

kaisi hai fitraat mere yaar ki ye na janu main
mager ilteja inti unse ke kabhi meri fitraat apna ker dekho
kaun si shiqaat hai aapko humse ki khafaa is qader ho baithe ho
kabhi to meri taraf tum ik nigha pyaar ki uthaa ker dekho

tum kehti ho her dum apna hi fasanaa dil e bekaraar ka
kabhi to mere toote hue dil armanoo ko apna ker dekho
shiqat keró aur karo shiqwa muhjse shiqwa hai wajib
mager kabhi meri guzarishoon ko bhi apna ker dekho

..
Bohat khoob likha hai nino.. Usual Smile

Isqh mein toot kar bikar gaye hai hum..
Zindagi ki har mushkil ko sahe liye hai hum
Aur kya umeed rakhon iss dard-e-mohabatt mein..
Yun na akele jee jah rahe hai hum
Humhe na sikwa hai unse kya kar paye ghe hum door hoke
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: March 16, 2008, 10:41:00 AM »
Khud Ko khud se judaa ker ke dekho
zara mere in halaat mein aaker dekho
tum to her waqt baat kerti ho apni
kabhi mere armano ko nibha ker dekho


Najane kis gunahaa ki milti hai sazaa muhjko
kabhi to mere zakhm ko dawa deker dekho
apni halaat pe to her koi roota nazer aata hai
kabhi kisi aur ke gham mein aanso baha ker dekhoo

kaisi hai fitraat mere yaar ki ye na janu main
mager ilteja inti unse ke kabhi meri fitraat apna ker dekho
kaun si shiqaat hai aapko humse ki khafaa is qader ho baithe ho
kabhi to meri taraf tum ik nigha pyaar ki uthaa ker dekho

tum kehti ho her dum apna hi fasanaa dil e bekaraar ka
kabhi to mere toote hue dil armanoo ko apna ker dekho
shiqat keró aur karo shiqwa muhjse shiqwa hai wajib
mager kabhi meri guzarishoon ko bhi apna ker dekho


Good sharing Nino ji
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: March 16, 2008, 07:59:39 PM »
Bohat khoob Nino & HoneyRose...
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: March 17, 2008, 02:12:39 PM »
Bohot khoob Nino and Honey
Logged
bulbul
Guest
«Reply #6 on: March 18, 2008, 10:56:58 AM »
amazing work.....just tooo amazing nino
Logged
Nino
Guest
«Reply #7 on: March 21, 2008, 03:37:24 PM »
aap sab ka bahut bahut shukria
Logged
Nino
Guest
«Reply #8 on: March 21, 2008, 04:42:17 PM »
yaar ki yaari se tauba,are loogo hume is bimari se tauba
her koi keht hai ki do pal piyaar ker ke dekhoo
per main to her dum kehta hoon ke hume is na bina gari se tauba
her koi aata hai aur dil tood jaata hai humko is mara mari se tauba

husn e yaar dekhte hi machal uthi ye tabiyaat
per dil ne keha humko is dunyadari se tauba
unki us nighaoon se jee bhar ker sharab to pee leta
mager humko usd maikhana ki zara nawazi se tauba
Logged
mistufer
Guest
«Reply #9 on: March 22, 2008, 01:22:42 AM »
nino ji
bahut badhiya likha hai

nira
Logged
Nino
Guest
«Reply #10 on: March 22, 2008, 08:01:36 AM »
passand kerna ka shukria
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #11 on: March 22, 2008, 08:47:49 AM »
Adaab nino ji.....maiN iss bazm-e-sukhan meN khush_aamdiid kahtaa hooN...yaqiin kartaa hooN ki aap ka saath ham sab ke liye baais-e-masarrat hogaa aapki nazm padi dil khush hua....meri taraf se bohat sara shukriyaa qabool farmaein...

Dostii ke kaar-o-baar maiN shayad hum  naakaam hi rahe
jo bhi kutchh rahe tamaam umra sar-e-aam badnaam hi rahe.


Aapki nazm maiN dosti se mayuusi dekh kerr pad ke dil-soz hua jata hai ..bas iss dil-paziir tarahii nazm ke liye hamm bas yahi kaheNge ke....

Mehfil ko kutchh is tarah saza ker toh dekho
Har dost ko dil maiN basa ker toh dekho
Kutchh andaz-e-bayaaN aise mileNge tummeh
Unhe tah-e-dil se aazma ker toh Dekho


Harash
Logged
Nino
Guest
«Reply #12 on: March 22, 2008, 09:45:30 PM »
her ik dilruba se piyaar kiya
her ik bewafaa se piyaar kiya
wadaa ker ke nibhana ne aya jisko
ushi ki di hui zuba se piyaar kiya

kaun kehta hai ki wafaa hasenoo ka gehna hota hai
maine to duniya mein hasinoon ki wafaa ko bhi aazmaa liya
tum jo aaj baat kerte hoo rasm e wafaa
koi baata de muhjko kis ne is rasm e wafaa ko hai nibha diya

jo damen paked ker chal rahi thi mera saaht saaht
aaj us hi ne aaise hi ik mood per laaker chood diya
jab bhi ziker hota hia bewaafai ka aye sanam
to humne hai her mahfil mein bas tera naam liya
Logged
Nino
Guest
«Reply #13 on: March 22, 2008, 09:47:49 PM »
najane kaun si sazza milti hai muhjko
 
3+73h
3 n @
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:00:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer