...~~AansooN~~...

by HumTum on July 28, 2005, 09:37:40 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1510 times)
HumTum
Guest
Hum ne pyar main paya to kya paya
Kabhi khood ro diye kabhi tum ko rulaya

Halat-e-ghum main beh gaya jo  aansoon
Who zindagi main phir kabhi na behnay paya

Saza mujhay mili or jaza unhain
Aisa bhi kya insaf ne hai sir jhukaya

Himat naheen thi us main saath dene ki
Ab tak na janey who kaisay chal paya

Tukray apnay wajood ke rooz jorta hoon main
Usnay meray dil ko aisa bikhraya

Zulm per zulm kertay rahay who or "HumTum"
Khamoosh hi raha, kabhi uff ker na paya !!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #1 on: July 28, 2005, 11:35:55 AM »
kya baat hai Humtum ji ............

Rota raha akela virano main chup kar
jab vo aai samane tuh chehre ko muskurahat se sajaya

kyun na dikha paaya apne aansu mehbub ko
kyun uski muskhurahat dekh ke gum ko gale lagaya
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: July 28, 2005, 11:48:03 AM »
Shukriya Sandhaya ji .. aur hamesha ki trah bahoot khoob likha hai !!!


kaise aankhen kahen inhe jo har dam jalte hain
aaj mausam meherbaan hai to inhe bhigone do
jo kuch tha dil mein ansoon ke saat beh gaya
kuch aur gunaah inhi ashkon mein duboone do !!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #3 on: July 28, 2005, 12:03:48 PM »
Inn ashkon ko tum paani na kaho
dil ke jajbaat ko khoon ki ravani na kaho
aur bhi gum iss zamane main uthake dekho
jo karte nahi mahobaat unke dil khali hai tum ye na kaho
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: July 28, 2005, 12:13:22 PM »
waah sandhaya ji...

yun mayuus na tha mein dil ki lagi se pehley
mujhey koi ghum nhi tha ghum e ashiqi se pehley
jab se hua hai ishq mujhey ik pal bhi chen nhi
kitna khusnuma tha mein iss awaargi se pehley !!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #5 on: July 28, 2005, 12:18:47 PM »
Mahobaat mile jise vo nasib vala hai
uski aadaon ne mujhpe koi jadu dala hai
abh tuh har aalam mahobaat ka nirala hai
unhe dekh dekh kar hi humne khudko sambala hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: July 28, 2005, 12:25:58 PM »
rah e ishq mein na jane kitne dhoke khaye hai
daar lagta hai ab mujho ishq ke anjaam se
zindgi mein ab kuch aseey halaat ban gaye hai
nafrat si ho gyi hai ab muhoobat ke naam se !!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: July 28, 2005, 04:51:52 PM »
wah wah humtum jiaur sandhaya ji....dono ne bohot hi acha likha hai!!!

pyar ka ehesas hi to muskurahat lata hai har chehere pe.
to har ashiq mohabbat me sirf ansson hi kyu ginta hai,
phoolon se bhara daman kyu nahin dikhta kisi ko,
zakhm khane ke liye kaanten hi kyu chunta hai!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: July 28, 2005, 04:55:33 PM »
bohat khoob humtum,sandhaya and meena sis Usual Smile .

"Jab tak kaanton ka ehsaas na ho,
  dard me rehke aanhein na bharo,
  na samajh paata hai koi pyaar ko,
  khushi se zyada dard ke is ehsaas ko."
Logged
Meena
Guest
«Reply #9 on: July 28, 2005, 04:59:23 PM »
thank u kuddiye...aur aba  tumari sher ki kya tareef karon? humesha ki tara super duper likha hai!!

 :D
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #10 on: July 29, 2005, 06:22:32 AM »
sukhriay Meena Ji ........aur Nidhi ji .......

Asmaan main baji aaj sehnai hai
mausam pe bhi aaj khumari aai hai
ye kon ja raha hai raste se jor shor ke saath
oh tuh khuda ki beji ye paltan ashiq ka janaja lene aai hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: July 29, 2005, 11:58:04 AM »
excellent work Humtum, Sandhya, Meena sis n Nidhi sis..........bahut hi acha likha hai sabne
Logged
Meena
Guest
«Reply #12 on: July 29, 2005, 01:48:37 PM »
thanx sandhaya ji and nikki........... bohot ache sandhaya ji huemsha kki tara!!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: July 29, 2005, 02:12:10 PM »
Quote from: "Meena"
wah wah humtum jiaur sandhaya ji....dono ne bohot hi acha likha hai!!!

pyar ka ehesas hi to muskurahat lata hai har chehere pe.
to har ashiq mohabbat me sirf ansson hi kyu ginta hai,
phoolon se bhara daman kyu nahin dikhta kisi ko,
zakhm khane ke liye kaanten hi kyu chunta hai!!


Thanks a lot Meena ji aur bahoot khoob likha hai !!


yeh rah e chuni nhi jati bas mil jati hai
kaun khushi se khoon ke ansoon rota hai
lakh khosihey kar lo chaye khushiya pane ki
jo likha ho naseeb mein bas whi hota hai !!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: July 29, 2005, 02:13:40 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
bohat khoob humtum,sandhaya and meena sis Usual Smile .

"Jab tak kaanton ka ehsaas na ho,
  dard me rehke aanhein na bharo,
  na samajh paata hai koi pyaar ko,
  khushi se zyada dard ke is ehsaas ko."


Shukriya Nidhi  ji !!

be-Aetebaar waqt pe jhunjla ke ro parey
kho ke kabhi ussey to kabhi Paa ke ro parey
kab tak kissi ke soug mein roingey umer bhur
hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey !!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:41:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer