ranjana
Guest
|
Manzilen ko dhoondane nikle hum khud Raasta ho gaye...... nikle jab Gulistan se to woh bhi Tanha ho gaye.
chalte chalte jab ehasaas saath kisi ke chalne ka hua tab se mere aansu bhi mujh se rusawa ho gaye
apne akelepan ke dhundlae pan ko sabse chipa ke rakha aaj yeh dard mere kaise parde se baahar ho gaye
karte rahe har pal kisi ke saaye ko mehsus apne parchaai se hi hum kaise juda ho gaye
kabhi kee thee ghanto peharo hamne kitni baate aaj mere lafaz hi kyu mujhse juda ho gaye
they ab tak mere paas kuch amaanat beete pal unke aaj yeh hua kya hadasa fir se woh pal kahi faana ho gaye
bahut roka apne ashqo mein khud ko dubone se hasi ki jhooti naqab mein mere aansu bhi kahi kho gaye!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
vikas2210
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 05, 2006, 08:11:22 AM » |
|
wah wah bahut khoob..
chale jo saathi saath mere hum safar na ban sake de gaye bahut si yaaden muskan bhi meri kahin le gaye...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 05, 2006, 08:26:52 AM » |
|
Shukriya....VIKAS....bahut khoob ...
behete rahe hum ta umar is zindagi mein do kinaaro ki tarah jab bhi badaaya haath hamne sahare ke liye toh mile kagaaro ki tarah hame intezaar raha unke ek ishaare ka apni dubati saansi tak hotho per saja ke ek muskarhat haste rahe hum diwaano ki tarah !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanha dil tanha safar
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 07, 2006, 05:05:43 AM » |
|
bohot bohot khoob ranjana ji...........
teri yaad ke sahaare to the ab tak mere saath kiya jab unse pyar to woh bhi bewafa ho gaye
her baat per jo zor se hanste the meri aaj chup rehne per bhi mujhse khafa ho gaye
karte the jo wada umar bhar saath nibhane ka aaj bina kuchh kahe he muhse juda ho gaye.........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
akssar
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 07, 2006, 07:42:01 AM » |
|
waaw.........nice to see such nice poems..........bahut khoob ..........
dekhna na unka raasta aey dil kabhi tanha hoker ki chale gaye hai ashk mere sadke mai khusi ke roker -----------------------aKs----------------------------
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nikki
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 07, 2006, 09:57:46 AM » |
|
wonderfull feelings Ranjana di....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #6 on: October 07, 2006, 10:00:55 AM » |
|
jabardast sharing Ranjana sis....Vikas........tdts
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 07, 2006, 04:37:26 PM » |
|
bahut khoob Chintan ......akssar shukriya Nikki ......and Waheed bhai .....
bahut mumkin hai jo jisa dikahta hai woh waisa na ho inke chipe akas mein na jaane yeh chahera kaisa ho
andharo mein beth kar usko na ro ke puaako baar baar na jaane kal din ke ujaale mein masum kaisa ho
zakham bharne tak na azamaao mujhe baar baar na jaane kal yeh dil ke dard ka koi nagma fir kaisa ho!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 07, 2006, 06:15:39 PM » |
|
Waaah Ranju Superb......
Ek Diya jo maine Aandhi me tha jalaya...... Fadfada rahi thi lau uski...... Toh tera Naam juban pe meri aya.......
Ki nahi gustakhi koi....... Tab bhi harr Insaan mujhe badnaam bata ke aya......
Rakoob nahi the tab hum bhi sanam....... Na jaane kyu yeh Kissa nasoor bann aaj Zehem me hai chaya........!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 08, 2006, 09:52:20 AM » |
|
meri raaho per chal ke dekhe koi meri faili hui bahaon mein saamye koi
main manzil per ho kar bhi bahut dur hun manzil se meri rasato ko manzailo se milaaye koi
yeh jo bikhare hue se alfaaz hai mere inhe dil mein apne samet ke ab naye arth de jaaye koi
bahut thaki aur dard se bojhil hain meri aankhe ab inhe ek pal chain ki neend sulaaye koi
dard ki shidaat samjahne ke liye dard ka ehsaas bhi jaruri hai apne dil ko ab mere dil se milaaye toh koi !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roshni246
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 08, 2006, 10:07:28 AM » |
|
2 guddddddddddddddd
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanha dil tanha safar
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 09, 2006, 07:03:11 AM » |
|
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko, Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko, Chalega mehfil mein jab zikr hamara koi, To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.
nm
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 09, 2006, 07:12:35 AM » |
|
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko, Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko, Chalega mehfil mein jab zikr hamara koi, To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.
nm unse aaj bhi kuch shikve gile rah gaye yaani ki aaj bhi dil ke kich silsle reh gaye kehana hai bahut kuch hame unhe dil ki baato ko per na jaane kyu mere lab kuch sile se reh gaye!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
akssar
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 12, 2006, 04:41:00 AM » |
|
very good!
aey dil mere na puchna humse kehna hai ab kya jhuth sanam se ki na banegi ab jhuthi kahani koi mere khamosh labo ke mausam se
nahi chipa sakta ab unse main apne jabt jajwaato ko intzaar mai bitayi un ghadiyo ko un tanha kaati raato ko.........un ashko ki barsaato ko
un yaadon mai dube lamho ko jinse saansein meri chalti hai woh ajnabi ahsaas unke saath ka meri dhadkan jisse dhadakti hai
woh unke sang bitaye pal jo bhule se na bhulenge vaado ki woh chand neymate jinme hum jeevan jee lenge
haan nahi chipa sakta unse main dil mai chubhte kaanto ko..........un ashko ki barsaato ko
bahut chipa liya hai unse per ab jhuth nahi keh sakta sine mai uthte is dard ko,ab aur main nahi seh sakta maanle tu bhi aey dil mere ,tu unke bina nahi reh sakta......TU UNKE BINA NAHI REH SAKTA --------------------aKs-------------------------
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #14 on: October 12, 2006, 07:44:41 AM » |
|
bahut khoob ji ...........
hum apni har aarzoo har tamaana se baar baar mile dil mein liye ek khamosh si baat rahe lab ko sile
lafaz bayaan hote rahe mere meri aankho se waqt ke saath saath kuch milne ke judate rahe silsile
hawaae poochati hai aate jaate unke baare mein woh jo juda hue hamse toh khawabo mein bhi na mile
tum nahi chaand nahi sitaare nahi neend nahi aankho mein ashqo ke siva kuch toh chalne ka bhi kaffila ab chale
aa jaao ki ab mera dil bahut hai tum bin udaas udaas ab yeh tanah raat kisi bhi bahaano se na gujare !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|