Aansu Bhi Kahi Kho Gaye

by ranjana on October 05, 2006, 07:52:39 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Author  (Read 5947 times)
harshit101
Guest
«Reply #15 on: October 12, 2006, 01:46:16 PM »
WAH BAHUT KHOOB
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kisi aur ki kahi hui baton mein beh gaye by Ricky in Shayri for Dard -e- Judai
Aansu Bekaar Chale Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Dil kahi hosh kahi rehta hai aajkal by Sky Blue in Share:Love Poetry
Taish- humne aansu bhi na poNche, tum RULAANE aa gaye...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
ranjana
Guest
«Reply #16 on: October 13, 2006, 04:51:22 AM »
shukriya harshit ......



jis tarah rait main kadamo ke nishaan milte hain
tapte hue dil ki zameen per bhi kabhi phool khilte hain
dur jaate musafir ek baar palat ke toh dekh mujhe
teri raho mein ab bhi kya mere pyaar ke deep jalate hain?
Logged
akssar
Guest
«Reply #17 on: October 13, 2006, 04:44:32 PM »
really touching!

dard ke behte hue sailaabo mai
sochta tha aksar main khawbo mai

sayad na hoga jahan mai mujhsa kahi
ho dil bojhil jiska ,gumsum si ho hasi

per tujhe dekha to ye guman dil ko hua
tere dard ne kahi hai mere dil ko bhi chua

jaane kyun tere labo per chaa rahe sikwe -gile hai
dil mai hai tanhaayi bhari,gumo ke gul khile hai

sune veeraano se hai din tere,tanhaayi mai dhali raat hai
aankhon mai hai sapne kai per humdum na tere saath hai

bhale ,naa hoon waakif mai tere gum se
teri tarasti ankhon se,sune dil ke aalam se

per,
dil se dua hai ye meri aey musafir anjaan
naa aaye teri zindagi mai ab gumo ka toofan

naa rahe intzaar ka mausam ab tere aangan mai
aur bas jaaye sanam tera ,teri har dhadkan mai

bus tere liye yahi ab sadaye hai meri
meri ruhse nikli yahi duaye hai meri
-----------------------aKs-------------------------
Logged
ranjana
Guest
«Reply #18 on: October 15, 2006, 03:05:04 AM »
bahut bahut wonderful ......shukriya ........



zindagi ke  tapati dhup mein maine yeh zindagi jee hai
mere saaye tak ne mujh se bewafaai ki hai

samate hun apne andar na jaane kitne main tufaan
umar bhar rait ke mahel se saja ke labo per muskrhaat jee pee hai

meri aankho mein palte rahe kai khawaab anokhe
bas unki dil hi dil mein maine ebaadat ki hai

ab pass nahi hai mere kuch sirf duawo ke siva
dekhe waqt ke kitni ab jeene ki mohalt mujhe di hai!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #19 on: October 15, 2006, 04:57:59 PM »

HuM Kya Karte Kis Raah Chalte,
Har Raah Mein Kaantein Bikhre The,
Un Rishton Ke Jo Chhut Gaye,
Un Sadiyon Ke Yaaron Ke
Jo Ek Ek Kar Ke Toot Gaye,
Jis Raah Chale Jis SiMt Gaye,
Yoon Paanv Lahoo Luhaan Hue,
Sab Dekhne Wale Kehte The,
Ye Kaisi Reet Rachaye Hai,
Ye Mehandi Kyun Lagaye Hai,
Wo Kehte The Kyon Kehte
Wafa Ka Na-Haq Charcha Karte Ho,
Paanv Se Lahoo Ko Dho Dalo,
Ye Raahein Bahut Banjar Hai,
So Raastein In Se Pothe Gaye,
TuM Dilko SaMbhalo Jis Mein Abhi
So Tarah Ke Nashtar Chubhte Hai...
* * * * *
Logged
akssar
Guest
«Reply #20 on: October 15, 2006, 04:59:01 PM »
aapki shayri mere liye thanx se badkar hai,nice 1 again!

main khusiyo ka sataya hoon,tu dard ki rawaani hai
jeevan ne gum ki kalam se likhi apni ek kahani hai

kuch ashk teri aankhon mai hai ,
kuch dard meri baaton mai hai
hai gum ke dino mai gujri zindagi
per kuch sukun ab raaton mai hai

yeh raat ,jisme hum yaadon sang
jee lete hai ek pal ko khoyi zindagi
bahate hai ashko ke dariya palko se
aur bada lete hai ye bechian tishnagi

ye tishnagi,jo aksar dhikhati hai dil ko kuch paane ki aas  
bhulati hai jo hai paas apne ,dilaye jo na ho sirf uska ahsaas

kuch ahsaas aise jo haradm hamare saath rehte hai
labo se sada chup rahe per nigaaho se sab kehte hai

aur gar jaante hai hum in chupe hue ahsaaso ko
to kyun baandh rahe hai dil se khudki saanso ko

aur kyun soch rahi hai tu baatein ye anjaani,
hai seher jiski andhero mai, shab hoti hai veerani..................

main khusiyo ka sataya hoon,tu dard ki rawaani hai
jeevan ne gum ki kalam se, likhi apni ek kahani hai
------------------------aKs-----------------------
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #21 on: October 15, 2006, 07:08:30 PM »
bahot khoob Ranjana sis...... Aksaar........  aap ne  bhi bahot accha likha....keep  it  continue........:lol:
Logged
tanhadil
Guest
«Reply #22 on: October 15, 2006, 09:07:06 PM »
wow ranjana,dard hi dard hai isme aapke dil ka magar dard ki intha aur bhi hai

Chalna nahi hai aasa kisi ki raho par
Jhul jana kisi ki khuli baho par
 
Manjil ka nisa dundana kisi ki raho par
Rato me sama jana kisi ke sapno par
 
Bikhra bikhra jaha hai bikhri hai khushiya yaha
Mushkil hai sahejna use naye alfajo par
 
Dard hi dard hai is jaha me har taraf
Kaha hai chain tanhadil ki rato par

Dard ko sahejna hi dard ki dawa hai yaro
Kyu bhatkate ho banjaro ki tarah anjan raho par
Logged
ranjana
Guest
«Reply #23 on: October 16, 2006, 06:09:05 AM »
bahut khoob tanhadil ..akssar. wonderful ..............shukriya wahid & kulbhushan bhai


khatam ab zindagi ka safar hone chala hai
kaise umar yeh guajari kuch khabar nahi hai

har pal mila bas dhoka hi dhoka mila hai yahan mujhko
sab dekh kar bhi mere dil ne kuch smajaha nahi hai

har pal koi rehta hai saaye sa mere saath saath
kyu mera vajood tanaha ho kar bhi tanaha nahi hai

milta nahi hai uski kismat se shayad mera koi sitaara
baat itni si hai per is dil ko yakeen kyu nahi hai !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #24 on: October 16, 2006, 11:16:12 AM »
Bohat khoob Ranjana, Akssar  & Tanhadil...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #25 on: October 16, 2006, 06:23:12 PM »

Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki,
Had Ye Ke Dhadakne Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki,

Use Dekhneki In Aankhon Ko HaMesha Talab Rahi,
Jisne Mere Khwabon Me Shirkat Bhi Nahi Ki,

Ulfat To Badi Baat Hai HuMse To Sar-E-Sheher,
Logone Kabhi Dhang Se Nafrat Bhi Nahi Ki,

KhaMosh TaMashayi Ki Maanind Sar-E-BazM,
Sau ZakhaM Sahe Dil Pe, Shikayat Bhi Nahi Ki,

Is Ghar Ke Sabhi Log Mujhe Chhodne Aaye,
Qabr Tak, Usne Ye ZehMat Bhi Nahi Ki...
* * * * *
Logged
akssar
Guest
«Reply #26 on: October 17, 2006, 04:34:52 PM »
bahut hi khubsurat likha aap sabne. tanhadil ji,ranjana ji,,waheed ji ,gum ji & specially angel ji,bahut acha likha aapne !


leker khoye khoye armaan,mere dard ki pehchaan
keh rahe hai ashk aaj bankar palko ke mehmaan

chod kar chal-chale ye gum ka jahan
ye ummid ki kashti ye tanha karvan

ye jaha.n,jahan sirf dard ke saaye
dete hai dil per dastak aakar
dhikhate hai khusiyo ke khawab pehle
aur phir tod dete hai unhe aksar

aur sehne ke liye us gum ko dil ko chod jaate hai tanha sada
kuch yaadein bheegi-bheegi si bheegati hai phir aankhon ko wewajah

woh yaadein jinme jiya karti thi
aksar meri dhadkan khudko
sajakar nagme wafa ke ,afsaano se
behlaati thi pagal man ko

wahi yaadein jinme hota
meri zindagi ka basera tha
jinke bina ek pal bhi jeena
jaise sadiyo ka fera tha

wahi aankhon ki garmi per
aaj phir se sard kyun hai
chaa gayi hai nami bankar
de rahi dil ko dard kyun hai

magar ,
kare bhi to aakhir kare kya
aadat hai dil ko tut jaane ki
mehfil mai haskar rehne ki
tanhaayi mai ashk bahane ki

karne ki fariyaad harpal sirf khuda se yahi
khush rahe woh sada jo mere saath hai nahi

tum hi socho ab zara ,kya ye tumko bhaaya hai
jab na jaane kitni baar ,maine tumhe bheegaya hai
kabhi gum ki aah mai
kabhi tanhaayi ki raah mai
dard ki kabhi saans bankar
kabhi khusi ki pyaas bankar

aksar jab bhi aata hoon main,nazmo ka afsaana banta hoon
kabhi bekhudi ka bahana,kabhi ishq ka nazraana banta hoon

ab tum hi bolo aisi zindagi se,hame mila kya hai aakhir
keh do baatein apne man ki ,kardo sabhi sikwe zaahir

itna kuch dil ke baare mai,sunkar ashko ki jubaani
dheere se jo palkein hui band ,so gir gaya ashk-e-paani

palko se hoker juda jab sharmsaar aansou ki katar behne lagi
tab gaalo per behte ashko se ,hi palkein meri kehne lagi
mana ki dard diya hai dil ne
daala hai hame aksar mushkil mai

aankhon ko rulaaya hai usne
tumko hi bahaya hai usne
sone diya na ek pal raato ko
mujhko bhi jagaya hai usne

per jo bhi diya hai dil ne, sab kismat ke likhe alfaaz hai
hai sayad ishq ki gehraayi yahi,yahi kaabile-e-naaz hai

aur kyun bhul jaate ho tum
na hota gar yu dil gumsum
to kaise aati tanhaayi fiza mai
kaise mehakta dard hawa mai

kaise phir uski yaadein ,aati yaad har ghadi
kaise barasta ye rimjhim sawan,ye bundo ki ladi

aur socha hai kya tumne kabhi,gar dil yu tanha na rota
naa chaati mujhper nami koi ,naa koi wajood tumhaara hota

are,hum to bas zariya hai is dil ko behlaane ke liye
sehkar thoda dard khud ,dil se dard bahane ke liye
soyi hui subah hai apni jaagi hui har shaam hai yahi zindagi hai ab hamari issehi  hamara naam hai
----------------------aKs---------------------------
Logged
angel4u
Guest
«Reply #27 on: October 17, 2006, 05:18:49 PM »
Thanks Akssar...
Mujhe Tanhaiyon Se Dar Nahi Lagta,
Ke Mujhe Raah Dikhane Ke Liye,
Mujhe Rehta Hai Ehsaas
Ke TuM Ho Na!!!

Main Mushilaat Se Nahi Ghabrati,
Ke Mujhe Hosla Dene Ke Liye
Mujhe Rehta Hai Ehsaas
Ke TuM Ho Na!!!

Lekin
Main Sochti Hoon
Ye To Mera Khayal Hai
Mehez Mera GuMan Hai

Kash Kabhi Aisa Ho
Mujhe Raah Dikhane Ke Liye
Mujhe Hausla Dene Ke Liye
TuM Mere Qareeb Aa Jao,
Aur Dhire Se Kaho,
Main Hoon Na!!!
* * * * *
Logged
akssar
Guest
«Reply #28 on: October 20, 2006, 03:50:15 PM »
really nice!

na waqt ka guman hai ,na duniya ki khabar
zindagi gujar rahi hai,unki yaadon ke saaye tale
-------------------aKs-----------------------
Logged
angel4u
Guest
«Reply #29 on: October 20, 2006, 05:31:45 PM »
Thanks....


Khushi Ka GaM Hai, Na GaM Ki Koi Khushi Ab To,
Bahut Udas Guzarti Hai Zindagi Ab To!

Tere Bagair Bhi Dil Ki Tasalliyon Ke Liye,
Ek Intezar Ki Shab Thi, So Dhal Chuki Hai Ab To!

Ek Ashna Ke Bichhadne Se Koi Nahi Badla,
Hawa-E-Sheher Bhi Lagti Hai Ajnabi Ab To!

TaMaM Raat Rahi Dil Mein Roshni Ki Lakeer,
Misaal-E-ShaMa Seher Wo Bhi Jal Bujhi Ab To!

Kahan Gaya Wo Shanasa Wo Ajnabi Chehre,
Ujdi Si Nazar Aati Hai, Har Gali Ab To!!!
* * * * *
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:45:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer