Aansu Bhi Kahi Kho Gaye

by ranjana on October 05, 2006, 07:52:39 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Author  (Read 6109 times)
akssar
Guest
«Reply #30 on: October 23, 2006, 05:11:20 AM »
veru good angel ji ,bahut acha likha aapne!

khuda ne ki jo wafa humse,din woh bhi aayenge
uski bewafayi ke charche sareaam ho jaayenge

bitaayi hai jin sailaabo mai dubkar zindagi humne
aankhon ki chilman se unhe woh bhi bahayenge

tut-ta hai jab jafa mai dil, hota hai dard kaisa
tanhaayi ke basero mai woh bhi jaan jaayenge

samajhte hai aksar mehfil, jis bheed ke manzer ko woh
usme jhankar dekhenge to  khud ko sada akela paayenge

haatho rahenge khali aur na saath koi rahega
daman jo chutenge to tanha woh reh jaayenge

na sochna ki diya hai meri zindagi ko jala usne
ki in sansso se kabhi bhi juda hum ho jaayenge
--------------------aKs----------------------
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kisi aur ki kahi hui baton mein beh gaye by Ricky in Shayri for Dard -e- Judai
Aansu Bekaar Chale Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Dil kahi hosh kahi rehta hai aajkal by Sky Blue in Share:Love Poetry
Taish- humne aansu bhi na poNche, tum RULAANE aa gaye...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
ranjana
Guest
«Reply #31 on: October 26, 2006, 08:01:48 AM »
bahut bahut khoob .....akssar .....angle........


har raat  gille aamsi ki oas mein dubi rahi
bond boond koi gum ki barish si hoti rahi

ek veerana sa faila thaa chaaro rataf
siskiyaan le ke koi dard ki baat yun hi hoti rahi

koi khawab ka silsila chalata raha raat bhar
koi benaam si manzil rasato ko ashqo mein dubaoti rahi

kabhi ki na is dil ne justju tere siva kisi ki  
ek tamana yun hi dil mein dum todati rahi !!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #32 on: October 26, 2006, 08:24:39 AM »
Angel, Aks, Ranju

Very good work by all of you !

Rajbir
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #33 on: October 26, 2006, 08:26:41 AM »
bahut khoob RANJANA... Bahut khubsoorat likha hai...
nice one AKSSAR aur ANGEL......


Hosh me aakar kya karunga, raat abhi aadhi baki hai,
aahen nikalti hain dil se, teri yaad dil me aaj bhi baki hai.....

ashkon se apne khelta raha, dil ko apne bahalaane ko,
aankhon me basi tasveer teri, kyunki aaj bhi baki hai.....

tamannayen meri raha gain, aaj sirf ek kahaani ban ke,
is viraan dil ko phir bhi tera intzaar, aaj bhi baki hai.......!!!!!!!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #34 on: October 26, 2006, 08:29:37 AM »
Vicky

Superb =D>
Logged
akssar
Guest
«Reply #35 on: October 26, 2006, 03:43:18 PM »
thanks ...aur bahut khoob ranajana ji ,vicky ji!

sacchi mohabbat ka aksar yahi anjaam hota hai
jholi mai ashk girte hai aur dil mai dard hota hai

kaise kahu aaj main tujhse,
 is neele aasmaan tale
jahan harsu gulshan hai khile
kya beeti hai dil per mere,
kitne dard hai mujhko mile

bhala,kaise keh du tujhse,,ki dil aaj bhi tanha hoker,gupchup roker,
gumnaami ke andhero mai sota hai.......aakhir ise bhi to dard hota hai

Dard tere jaane ka,un sapno ka........jinse sikwa hai ab tut jaane ka
un mehki bahaaro mai ,jinme kabhi mera dil
sang tere khilkhilaata tha,churaake tujhe mujhse,
karke tukde tukde dil ke kai,har ghadi dubakar yaado mai teri
gumsum aankhon ko rulaane ka..mujhko tanha kar jaane ka

un beete lamho ka mujhe harpal guman hota hai
haan,un gujre palo ka bhi dard ,dard mujhe hota hai

milte hai humsafar raah mai ,sang sang chalte hai
dil ke aalam mai sapne,sapne bade bade palte hai
aur ek aandhi phir kahi se aakar
un sapno ke mehlo ko dhahakar....hasti hai,
ek aisi hasi jisme dusre ki khusiya lene se jyada
dusre ko dukh dene ka gum bhi shaamil hota hai
kudarat ke liye bhi do dilo ko todna sayad mushkil hota hai
sayad ,haan aisi khudayi ko bhi khud se dard hota hai
-----------------aKs-------------------
Logged
angel4u
Guest
«Reply #36 on: October 26, 2006, 05:14:04 PM »
Thanks Akssar, ranju di, majid and bhaiya,

very nice akssar ranju di and vicky...


Is ZaMane Se Na HuM Koi Gila Rakhenge,
Dil Lagayenge To Na Shart-E-Wafa Rakhenge...

Na Dikhayenge Kabhi Dilpe Lage ZakhaM Unhe,
Dard Uthega Magar Dilko Daba Rakhenge...

Jaan De Denge Agar Ek Ishara Kar De,
HuM Use Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhenge...

Sab Hata Denge Teri Raah Ki Rukawat Saathi,
Ghar Ke Darwaze Ko Har Waqt Khula Rakhenge...

Unki Har Baat Ko Bhoole Se Na Bhulenge Kabhi,
Unki Yaadon Ko Bhi Seene Se Laga Rakhenge...

Toot Bhi Jayegi UMMeed Jo Tere Aane Ki,
Ek Diya Phir Bhi Hawaon Mein Jala Rakhenge...
* * * * *
Logged
ranjana
Guest
«Reply #37 on: October 26, 2006, 05:28:15 PM »
bahut accha likha hai ..angle ...akssar ....vicky ......

shukriya Rajbir ..................



kuch chatka sa mere dil mein hai kahi
yeh mere dil ka aaiana toh nahi

kuch pighala sa mere lab per hai
kahi yeh uske aankho ka ashq toh nahi

meheki hai mehandi aaj uske haatho mein ban ke gulaab
kahi yeh mere dil ke lahu se likha koi naya nagama toh nahi

bujhi bujhi si nigaah hai luti luti si aarzoo
koi ab shikava mere labo per nahi mere dil per nahi !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #38 on: October 27, 2006, 07:03:57 AM »
yun na fareb de ab mujhe zindagi
ki main kisi ki aankh ka khawab ab nahi

bujhi bujhi si nigaah mein har aarzoo hai luti hui
magar dil mein koi gilla nahi shikva nahi

gum hai meri manzil apni hi kisi dard ki gali mein
yahan kisi safar kisi hamsafar ka pata nahi

dekh kar roya hai dil unko baar baar
magar aankho mein koi ashq unko ab tak dikha nahi

sohata hai dil ka har lafaz bas unki hi dastaan
magar kabhi unke baare mein kuch is dil ne likha nahi!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #39 on: October 27, 2006, 07:16:58 AM »
Quote from: "ranjana"

dekh kar roya hai dil unko baar baar
magar aankho mein koi ashq unko ab tak dikha nahi



ranjhana ji... kya tareef karein aapki... aapki inn lines kahin kho sa gaya hu...

woh nazar kahan se laun jo tujhse meri halat dikha sake
woh lafz kahan se izaad karu jo tujhse meri tabiyat bayan kar jaye
woh chuan kahan se laun jo tujhe meri tardap bin kahe bata jaye
woh lamha kahan se chuuraun jo tujhe sirf mere hi kareeb la jaye
woh khawab kahan se jisse main har khayal mein sirf tujhe hi paun
main kahan se laun...main kahan se laun....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #40 on: October 27, 2006, 11:05:30 AM »
Quote from: "burniing_desiires"
Quote from: "ranjana"

dekh kar roya hai dil unko baar baar
magar aankho mein koi ashq unko ab tak dikha nahi



ranjhana ji... kya tareef karein aapki... aapki inn lines kahin kho sa gaya hu...

woh nazar kahan se laun jo tujhse meri halat dikha sake
woh lafz kahan se izaad karu jo tujhse meri tabiyat bayan kar jaye
woh chuan kahan se laun jo tujhe meri tardap bin kahe bata jaye
woh lamha kahan se chuuraun jo tujhe sirf mere hi kareeb la jaye
woh khawab kahan se jisse main har khayal mein sirf tujhe hi paun
main kahan se laun...main kahan se laun....



BAHUT BAHUT ACCHA .....LIKHA HAI JEET ...


DIL KA HAAL SUNA JAATI HAI SHABDO KI BEBASI
YEH DIL YUN BHI UDAS UDAS REHTA HAI

HASEEN CHAAND HI NAHI AASMAN BHI HAI
SITAARO SE BHI ISKA BAYAAN HOTA HAI

DUR NAHI HAI WOH DIL SE YEH BHI EHASAAS HAI
PHIR BHI KYU  UNSE DURIYON KA EHASAAS HOTA HAI

EK WAADA HAI KUCH KHAAMOSH SA DILO MEIN
TU YAAD KARE NA KARE YAHAN DHARKANO PER NAAM TERA HOTA HAI!!
Logged
akssar
Guest
«Reply #41 on: November 08, 2006, 11:35:13 AM »
too gud angel ji,ranjana ji & BDji..........

royenge phir aansso mere tanha shab dhalne per aaj  
ki unke gum-e-ahsaas se sarobar hai sard hawaye bhi
---------------------aKs---------------------------
Logged
ranjana
Guest
«Reply #42 on: November 09, 2006, 08:43:35 AM »
yeh janoone ishq hai kya yeh darde dil hai kya
kyu yeh meri aankh mein ashq bhar jaata hai

maana ki kaha thaa unhone ki ishq mein rona gunha hai
per yeh rasam bhi koi dil se hi nibha paata hai !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #43 on: November 09, 2006, 09:31:29 AM »
hai ajab yeh duniya ka dastur bhi
ek sitaara aasman mein chamak ke kahi tut raha hai
ek sitaara kahi meri aaknho se beh raha hai
chiapa leti hun main is ko duniya ki nazaro se
ek jhoota bharam duniya ko kuch toh ho raha hai!!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #44 on: November 09, 2006, 10:32:33 AM »
Quote from: "ranjana"
hai ajab yeh duniya ka dastur bhi
ek sitaara aasman mein chamak ke kahi tut raha hai
ek sitaara kahi meri aaknho se beh raha hai
chiapa leti hun main is ko duniya ki nazaro se
ek jhoota bharam duniya ko kuch toh ho raha hai!!


dunia se aaj unhone apne dard ko chupaya hai
par yoindia me khule aam usi dard ko jatlaya hai
unhone dard me khud ko is kadar rulaya hai
apne bharam ko kuniya ka bharam bataya hai
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:44:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer