Aansu......... " ParwaaZ"

by ParwaaZ on September 14, 2010, 06:48:45 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1936 times)
ParwaaZ
Guest
Mujhe Haq nahi gar teri nisbat meiN kuchh kahne ka,
Mujhe tuu apni aankhoN meiN panaaH kyuN deta hai

MaiN chup rah leta umar bhar dastaan e gham bankar
Mujhe ashk bankar bahane ki wajaaH kyuN deta hai

MaiN teri aankhoN se barsaa huN tere dil ne kaha tha
Mujhe apne hi dard ka naam e khataa kyuN deta hai

Gar hai Tujhe ruswaaiyoN ka dar meri aamad se toH
BarsaatoN meiN bhi tanhai ka samaa kyuN deta hai

MaiN kahiN khushi se hi naa mar jauN " ParwaaZ"
Merii beraNgi kou tuu rangeen duaa kyuN deta hai

         

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tumhe mere naam se "ParwaaZ" nafrat thi by ParwaaZ in Shayri-E-Dard
Kuch tukde dil ke dil ko hi zakhami " ParwaaZ" by ParwaaZ in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Karta huN tijarat " ParwaaZ" by ParwaaZ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Aaj kal ka yeH dour hai...... " ParwaaZ" by ParwaaZ in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Bewaafa toH "ParwaaZ" tere hi sanam nilkle by ParwaaZ in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: September 14, 2010, 07:15:57 PM »
aahhaaaaaaaaaaaa........kya kehne janaab aapki iss gazal k....dil khush kar diya aaj apne.......behad hi umda khyaal se aur lafzon se nawaza hai aapne iss kalam ko...

chaliye aapki style mehi kuch likha jaye.......aapke sheron k jawab ..aapki style me......galtiyan maaf karna ji......

Mujhe Haq nahi gar teri nisbat meiN kuchh kahne ka,
Mujhe tuu apni aankhoN meiN panaaH kyuN deta hai

Tujhe aankhon me na rakhun to kya karun main ee dost
Tu mere is tute dil me bade pyaar se jo janm leta hai



MaiN chup rah leta umar bhar dastaan e gham bankar
Mujhe ashk bankar bahane ki wajaaH kyuN deta hai

Tu to chup reh leta na kehta kuch bhi mere humdum
Tera yun chup rehna meri aankhon k baandh khol deta ha


MaiN teri aankhoN se barsaa huN tere dil ne kaha tha
Mujhe apne hi dard ka naam e khataa kyuN deta hai

Tu mere dard ki nishaani hai ye na maan mere dost
Ek tu hi to mere dard me mera sath nibha deta hai


Gar hai Tujhe ruswaaiyoN ka dar meri aamad se toH
BarsaatoN meiN bhi tanhai ka samaa kyuN deta hai

Tujhse meri ruswaai nahin meri paakizgi hi chchalakti hai
Inn barsaton me tu mera saathi ban mera sath deta hai


MaiN kahiN khushi se hi naa mar jauN " ParwaaZ"
Merii beraNgi kou tuu rangeen duaa kyuN deta hai

Main na sambhal pai hun iss kasak ko jo dil me uthti hai
Tu behke aankhon se ispe marhum laga deta hai…….
        


          


[/b]

ek behtareen gazal k liye dil se daad kubul kijiye parwaj ji...

hamari ye koshish fir ek bar aapke chehre pe smile le aai hogi
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: September 14, 2010, 07:55:37 PM »
Bahaut khoob Parwaaz jee..Akhri shaer toh bas uttar gaya dil main..

Bahaut khoob Anamika di..

 Applause Applause Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #3 on: September 14, 2010, 07:58:54 PM »
bahut khoob parwaaz ji.......
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: September 14, 2010, 10:43:36 PM »
MaiN chup rah leta umar bhar dastaan e gham bankar
Mujhe ashk bankar bahane ki wajaaH kyuN deta hai

MaiN teri aankhoN se barsaa huN tere dil ne kaha tha
Mujhe apne hi dard ka naam e khataa kyuN deta hai


Very Impressive......Sameer Ji ! Aansu Ke Dard ko dil me utaarne ki behtreen koshish..... mujhe aapki yeh koshish behad pasand aai...

MaiN kahiN khushi se hi naa mar jauN " ParwaaZ"
Merii beraNgi kou tuu rangeen duaa kyuN deta hai


Maqtaa mujhe khaas taur par bahut pasand aaya ...

dil ko chhuute ehsaas bahut khoob rahe....tahe dil se daad hazir hai.. Qubuul karen... aise hi likhte rahen aage bhi ... khush rahen...

duaaon ke saath....


Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: September 15, 2010, 03:08:36 AM »
Kasak Jee aadaab!

Aapne itna khoob reply diya ke humari style meiN nahi yeH to aapki nayi style hai jee ..... abhi aapki isi style meiN hum aapko bad meiN reply deNge..... Usual Smile

Thanks for appriciate......
Aage bhi apna saath banaye raakhiye....
Khush rahiye.......
Khuda Hafez......Usual Smile         



aahhaaaaaaaaaaaa........kya kehne janaab aapki iss gazal k....dil khush kar diya aaj apne.......behad hi umda khyaal se aur lafzon se nawaza hai aapne iss kalam ko...

chaliye aapki style mehi kuch likha jaye.......aapke sheron k jawab ..aapki style me......galtiyan maaf karna ji......

ek behtareen gazal k liye dil se daad kubul kijiye parwaj ji...

hamari ye koshish fir ek bar aapke chehre pe smile le aai hogi

Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #6 on: September 15, 2010, 07:25:07 AM »
Nice thread....nice Gazhal...Parwaazji....nice replies....kasak ji.... anshumaliji...sameerji.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

kaash wo nagme humein sunaye na hote,
aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,

agar is tarah bhul jaana hi tha,
to itni gehrai se dil mein samaaye na hote..
....not mine...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: September 15, 2010, 09:48:59 AM »
Bahut Bahut Khoob Parwaaz Ji..

Shaandar Peshkash!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: September 15, 2010, 10:20:02 AM »
Mujhe Haq nahi gar teri nisbat meiN kuchh kahne ka,
Mujhe tuu apni aankhoN meiN panaaH kyuN deta hai

MaiN chup rah leta umar bhar dastaan e gham bankar
Mujhe ashk bankar bahane ki wajaaH kyuN deta hai

MaiN teri aankhoN se barsaa huN tere dil ne kaha tha
Mujhe apne hi dard ka naam e khataa kyuN deta hai

Gar hai Tujhe ruswaaiyoN ka dar meri aamad se toH
BarsaatoN meiN bhi tanhai ka samaa kyuN deta hai

MaiN kahiN khushi se hi naa mar jauN " ParwaaZ"
Merii beraNgi kou tuu rangeen duaa kyuN deta hai

         



Bahut behatreen peshkash hai aap ki Parwaaz Ji
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: September 15, 2010, 10:42:20 PM »
Sameer sahab ek achi paishkash par aapki khidmat mai daad paish hai qubool keejiye kya baat hai........likhte rahiye



aslam
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #10 on: September 16, 2010, 01:08:09 PM »


    Bahut achhi peshkash hai Parwaaz ji,very nice. hello2
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: September 17, 2010, 11:56:49 AM »
Bahaut khoob Parwaaz jee..Akhri shaer toh bas uttar gaya dil main..

Bahaut khoob Anamika di..

 Applause Applause Applause

Raheem Sahab Aadaab!

Janab kalaam ko padhne aur pasnd karne ka bahut bahut shukriyaa..... aur khususi sher ki pasandeedg aurdaad ke liye...humshkoor o mamnoon hai...... Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye...
Khush rahiye....
Khuda Hafez...... Usual Smile         

Logged
kameeney
Guest
«Reply #12 on: September 17, 2010, 12:06:19 PM »
Mujhe Haq nahi gar teri nisbat meiN kuchh kahne ka,
Mujhe tuu apni aankhoN meiN panaaH kyuN deta hai

MaiN chup rah leta umar bhar dastaan e gham bankar
Mujhe ashk bankar bahane ki wajaaH kyuN deta hai

MaiN teri aankhoN se barsaa huN tere dil ne kaha tha
Mujhe apne hi dard ka naam e khataa kyuN deta hai

Gar hai Tujhe ruswaaiyoN ka dar meri aamad se toH
BarsaatoN meiN bhi tanhai ka samaa kyuN deta hai

MaiN kahiN khushi se hi naa mar jauN " ParwaaZ"
Merii beraNgi kou tuu rangeen duaa kyuN deta hai

         




BAHUT KHOOB .....BEHTREEN...MIND BLOWING.....HAR SHER APNA EK KIRDAAR BAYAAN KARTA HAI....AAP TO WAISE BHI BHTREEN SHAYAR HAI....VERY NICE PARWAAZ SAHAB
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: September 21, 2010, 12:08:00 AM »
bahut khoob parwaaz ji.......

Thanks BBL thanks for appriciate Usual Smile

Aati rahiye..
Khush rahiye..
khuda Hafez... Usual Smile         

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: September 21, 2010, 12:13:04 AM »
Bahut Khub Janaab Parwaaz Saheb
Badi Hi Khoobsurati Se Dil Ke Esaasaat Ko
Lafzon Ki Shaql Mein Pesh Kiya Hai Aapne.

Bahut Janaab.

Dad Hazir Hai Kabul Karen...1


Khush Rahiye...

~Shihab~

Shihab SahaaB Aadaab!

Jee aapki pazi rai ka aur kalaam ki ahsaasoN
ko pasand karne bahut bahut shukriyaa...
Aapne apna kimti waqt diya... uske liye bhi
Shukriyaa... Usual Smile

Aage bhi apna saath banaye rakhiye.. Is hounsla
afzai ke tahe dil se mamnoon hai....

Khush o aabaad rahiye....
Khuda Hafez..... Usual Smile         

Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:57:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer