aansuon ke chalne ki awaz nahi hoti

by jaswinder singh jassi on September 11, 2005, 02:25:58 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3198 times)
jaswinder singh jassi
Guest
Aansuon ke chalne ki awaz nahi hoti,
Dil ke tootne ki aahat nahi hoti.
Agar hota khuda ko har dard ka ehsaas,
To use dard dene ki aadat nahin hoti.
Logged
amrik
Guest
«Reply #1 on: September 12, 2005, 03:37:09 AM »
Quote from: "jaswinder singh jassi"
Aansuon ke chalne ki awaz nahi hoti,
Dil ke tootne ki aahat nahi hoti.
Agar hota khuda ko har dard ka ehsaas,
To use dard dene ki aadat nahin hoti.


Bhai, Kiyon Koste Ho Bhagwaan/Khuda Ko,
Humne Toh Yahi Seekha Hai, Ho Sake Toh Tum Bhi Soon Lo


Dukh Hai Daaru, Sukh Hai Rog, Yahi Haqeeqat Hai
Dukh Mein Insaan Dhoodhe Bhagwaan, Sukh Mein Bhool Jata Hai
Mann Mein Rahe Agar Har Pal Bhagwaan, To Phir Dukh Kahe Hoye
Jeevan Kya Hai, Chalta Phirta Ek Khilona Hai
Do Aankhon Mein, Ek Se Hasna Ek Se Rona Hai.

~~ Daaru > Medicine/Dawaa
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #2 on: September 13, 2005, 05:37:38 AM »
wah wah wah.......aap dono na kya khoob likha hai........good work........keep it up u both n' welcome to yoindia!!!!!!!!!
Logged
Fawad
Guest
«Reply #3 on: September 13, 2005, 08:36:53 AM »
apnay hathoon per sajana chahta hoon
aa tujhay mein gunguna chahta hoon

koi aansoo teray daman per gera ker
boond ko moti baanana chahta hoon

taak gaya mein kertay kertay yaad tuj ko
aab tujhay mein yaad aana chahta hoon

chaa reha hay saari basti mein andheera
roshni hoo ghar jalna chahta hoon

akari hitcki teray zanoo pay aaiyay
moat bhi mein shayrana chahta hoon............
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: September 19, 2005, 02:35:59 PM »
nice work JSJ, amrik and Fawad!!!!

aansuon ke chalne ki awaz nahi hoti
magar dua bahoot door tak jaati hai
jab bhi chahe laout tum mere pass anna
yah dil ki lagi hai, jo antim saans ke sath hi jaati hai!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: September 22, 2005, 03:33:07 PM »
wonderful jaswinder ji...baki logo ne bhi bohot acha likha hai

hoti gar ansowon ki awaz,
to aaj yaha bohot log badnam hote,
parde me rehne do raaz-e-gum ko,
malum hota sabko, to jane kya logo ke anjam hote!
Logged
akella
Guest
«Reply #6 on: October 06, 2005, 12:08:20 PM »
jassi ji...bahut khub ..
per ye bhi sach hai..

Dard ka is duniya main raz na hota ..
Gar aakh ko aansuon ka saath na hota ..
kosatien te na  tum khoda ko is kadar..
gar dil tumara ishq main khwaar na hota...
Quote
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: October 06, 2005, 02:28:01 PM »
WAH BAHOOT KHOOB AKELA JI!!

NICE ONE MEENA!!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #8 on: October 07, 2005, 11:43:09 AM »
gr8 one all..............!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #9 on: October 19, 2005, 08:46:34 PM »
kya umda shayari hai..bahoot khoob

Ek Dard

Chale bhi aao dil ke khule dareechon se,
dil  ke  jakhm  abhi  hare  hi  hain


dareechon=draar
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:57:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer