~**Aap humen aapna samja bhi nahi**~

by honeyrose on June 18, 2008, 09:06:53 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1491 times)
honeyrose
Guest
Chaha tha aapko zamaane se zyada
Aapne humen aapna samja bhi nahi

Chun chun ke sajaya tha aapka ghar
Aaye aur humen poocha bhi nahi

Hum aapke liye tadap rahe the
Aapne humen pehchana bhi nahi

Na jaana kyun aapko guror tha
Mere zakhm abhi tak bhara bhi nahi

Humne duniya gawadi aapke liye
Aapne humse naata joda bhi nahi

Pyar jatane chale the hum aapse
Aapne dil ki baatein kaha bhi nahi

Aapke ghar mein chiraag jalane chale
Humen aapne woh haque diya bhi nahi

Jab se aaye woh mere zindagi mein
Humne kuchh aur chaah bhi nahi

Jis zindagi ko tukrake chale gaye ho
Woh zindagi aapke bina honeyrose ka bhi nahi
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
!! Etani sakti de humen data !! by Amit Janglan in Shairy-E-Watan
Humen kya dukh hai!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
gene ki tamanna humen bhi thi by siddharth in Shayri for Khumar -e- Ishq
jindagi ko samja har pal by saahill in Share:Love Poetry
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: June 18, 2008, 11:35:56 AM »
Waah didi Jaan Bahoot Khoob Likha Hai,. Applause
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: June 18, 2008, 12:39:31 PM »
Shukriya aapke Azeem bhai jaan...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #3 on: June 19, 2008, 01:33:45 AM »
++++++

bohot achhe  honeyrose sahiba isi tarah likhte rahiye...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: June 19, 2008, 03:57:06 AM »

Shukriya Sayyid ji...
Logged
punam
Guest
«Reply #5 on: June 19, 2008, 04:00:15 AM »
wow di bahot hi acha likha aap ne..really bahot khoob...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: June 19, 2008, 04:04:35 AM »
wow di bahot hi acha likha aap ne..really bahot khoob...

Thanks Punam dear...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #7 on: June 19, 2008, 06:10:50 AM »
Mohtarama Hoeyrose ji
Bahot Behtarin Likhte Ho aap
Main bhi Kuch Kahu..
Apne Tute Fute andaj me


Chaha Tumko par Chahat Na Mili Muzko
Bewafaa Tumse Muhabbat Na Mili Muzko
Waada To Karte The Umra Bhar Saath ka
Ek Pal Ki Zindagi Nasib Na Mili Muzko..
                               
                                 --Raza
                       
                           
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #8 on: June 19, 2008, 07:08:20 PM »
Mohtarama Hoeyrose ji
Bahot Behtarin Likhte Ho aap
Main bhi Kuch Kahu..
Apne Tute Fute andaj me


Chaha Tumko par Chahat Na Mili Muzko
Bewafaa Tumse Muhabbat Na Mili Muzko
Waada To Karte The Umra Bhar Saath ka
Ek Pal Ki Zindagi Nasib Na Mili Muzko..
                              
                                 --Raza
                       
                          

Achhi rubaai he Muhammad raza sahab...
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #9 on: June 20, 2008, 05:27:13 AM »
bohut khoob honeyrose ji
Logged
syednaami
Guest
«Reply #10 on: June 22, 2008, 09:50:07 PM »
Chaha tha aapko zamaane se zyada
Aapne humen aapna samja bhi nahi

Chun chun ke sajaya tha aapka ghar
Aaye aur humen poocha bhi nahi

Hum aapke liye tadap rahe the
Aapne humen pehchana bhi nahi

Na jaana kyun aapko guror tha
Mere zakhm abhi tak bhara bhi nahi

Humne duniya gawadi aapke liye
Aapne humse naata joda bhi nahi

Pyar jatane chale the hum aapse
Aapne dil ki baatein kaha bhi nahi

Aapke ghar mein chiraag jalane chale
Humen aapne woh haque diya bhi nahi

Jab se aaye woh mere zindagi mein
Humne kuchh aur chaah bhi nahi

Jis zindagi ko tukrake chale gaye ho
Woh zindagi aapke bina honeyrose ka bhi nahi
 


Aap ko buhat yaad kar rahe...
Aur yeh to buhat hi ajab likha hai... superb...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #11 on: June 23, 2008, 05:22:33 AM »
Sukriya
Janab Sayyid Randeri sa'b.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #12 on: July 07, 2008, 08:08:29 AM »
Sukriya syed ,,Muhammed,kaushik ji

Sajaye hai khwabh aapki yaadon mein
Door rahe ke bhi nahi bhool paaye humare dil mein
Har waqt yaad karte hai iss dil ke geherai mein
Chup chup ke chale jaate ho kyun iss andheri rahon mein
Logged
syednaami
Guest
«Reply #13 on: July 07, 2008, 09:15:11 AM »
Arey yeh main kya dekh raha hun...
HoneyRose jee aap wapas aa gaye...
Bataaya bhi nahin... Welcome back
Chalo achha hua,,, Aur buhat buhat shukriya...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: July 07, 2008, 01:03:34 PM »
Arey yeh main kya dekh raha hun...
HoneyRose jee aap wapas aa gaye...
Bataaya bhi nahin... Welcome back
Chalo achha hua,,, Aur buhat buhat shukriya...

..

Abhi tak india pe hi hun syed shukriya yaad karne ke liye thanks..Usual Smile
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:25:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer