AAP KEY LIYE , HAMEY AANA PADEGA ....... (Jasbir Singh)

by jasbirsingh on December 16, 2008, 07:02:53 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2986 times)
jasbirsingh
Guest




AAP KEY LIYE, HAMEY AANA PADEGA
DUNIYA SEY FIR TAKRANA PADEGA
CHODD CHUKEY THEY JOH GALIYA
UNMEH FIR KADAM JAMANA PADEGA


TANHAIYOH MEH BASS RAHEY THEY
DUKHO MEH BHI SUKH BUNN RAHEY THEY
ANDHERA CHODD, SAWEREY MEH AANA PADEGA
AAP KEY LIYE , HAMEY AANA PADEGA
DUNIYA SEY FIR TAKRANA PADEGA


KAR CHUKEY THEY TOABA HUM SANSAAR SEY
MITA CHUKEY THEY HASTI ISS BAZAAR SEY
AAP KI KHUSI KEY LIYE FIR LAUT KEY AANA PADEGA
AAP KEY LIYE , HAMEY AANA PADEGA
DUNIYA SEY FIR TAKRANA PADEGA


APNA JIWAN HUM KAAT CHUKEY HAI
MAUT KEY KAREEB ABB JA CHUKEY HAI
ISS BANJARAN KOH AGLEY JANAM AANA PADEGA
AAP KEY LIYE , HAMEY AANA PADEGA
DUNIYA SEY FIR TAKRANA PADEGA


CHODD CHUKEY THEY JOH GALIYA
UNMEH FIR KADAM JAMANA PADEGA
AAP KEY LIYE , HAMEY AANA PADEGA
DUNIYA SEY FIR TAKRANA PADEGA




JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com







Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 16, 2008, 09:26:19 PM »
Really nice one Jas Ji

Tere aane se kya farrk padega
Duniya se takrane se kya  faayeda
Jo galiyaan ab teri nahi rahi
Wahan fir lautne se kya faayeda

tanhai aur dukh tere hishse ke the
Un se peecha churane se kya faayeda
Tere aane se kya farrk padega
Duniya se takrane se kya  faayeda

Kar chuke taoba aur mita chuke hasti
Ab mere liye laut aane se kya faayeda
Tere aane se kya farrk padega
Duniya se takrane se kya  faayeda

Kaat chuke jiwan aur maut hai kareeb
Ab sansaar se ulajhne se kya faayeda
Tere aane se kya farrk padega
Duniya se takrane se kya  faayeda
 
Jo galiyaan ab teri nahi rahi
Wahan fir lautne se kya faayeda
Tere aane se kya farrk padega
Duniya se takrane se kya  faayeda
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: December 17, 2008, 04:57:03 AM »
Nice One Jasbir Bhaiya And Rajesh Bhaiya,.
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: December 17, 2008, 09:49:35 AM »
bahu badiya jasbirsingji aur rajesh haresh ji..

ek ko kisike liye aana pada aur ek ko bagana pada.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: December 17, 2008, 09:56:57 AM »
Aapke Liye Hume Aana Padega,.
Ghum Chupaakar Muskuraana Padega,.

Band Rakhi Jo Dard Ki Kitaab Maine,.
Wo Is Mehfil Mein Aake Sunaana Padega,.

Tumse Roshan Thi Zindagi Meri, "Jaana",.
Ab To Andheron Ki Khateer Dil Ko Jalaana Padega,.

Meri Kami Tujhe Aaj Mehsoos Na Hui Hogi,.
Lekin Kal Mujhe, Aawaaz Dekar Bulaana Padega,.

Phool Bhi Dene Lage Zakham Abto, "Azeem",.
Shayad Ab Kaanton Bhi Aazmaana Padega,.

Tera Aashiq Hoon Main, Ye Dil Kehta Hai,.
Tu Meri Nahi Hai, To Is Dil Ko Samjhaana Padega,.

Har Taraf Mera Sitamgar Baitha Hai "Azeem",.
Har Ek Ka Zakham Ab Mujhe Apnaana Padega,.

Aaj Sab Tujhse Khafaa Hai, Tu Ghamzada Na Ho,.
Ek Din Aayega Jab, Sabko Tujhe Manaana Padega,.

Ab Khatam Karta Hoon Yaheen Main Dastaan Apni,.
Warna Sabko "YOINDIA" Mein Aansoon Bahaana Padega,.

__________________________-Jaanasheen,.
Dil Se,.

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #5 on: December 17, 2008, 10:03:04 AM »
Really nice one Jas Ji

Tere aane se kya farrk padega
Duniya se takrane se kya  faayeda
Jo galiyaan ab teri nahi rahi
Wahan fir lautne se kya faayeda

tanhai aur dukh tere hishse ke the
Un se peecha churane se kya faayeda
Tere aane se kya farrk padega
Duniya se takrane se kya  faayeda

Kar chuke taoba aur mita chuke hasti
Ab mere liye laut aane se kya faayeda
Tere aane se kya farrk padega
Duniya se takrane se kya  faayeda

Kaat chuke jiwan aur maut hai kareeb
Ab sansaar se ulajhne se kya faayeda
Tere aane se kya farrk padega
Duniya se takrane se kya  faayeda
 
Jo galiyaan ab teri nahi rahi
Wahan fir lautne se kya faayeda
Tere aane se kya farrk padega
Duniya se takrane se kya  faayeda



bahut badiya kaha Rajesh


LAUTNA MERI CHAHAT NAHI, MAJBOORI HAI
JATEY JATEY HUMEY KAM KARNI YEH DOORI HAI
JAA CHUKEY THEY CHODD JINN GALIYOH KOH
USKEY SAMMAAN KEY LIYE AANA MANBOORI HAI


JASBIR SINGH
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #6 on: December 17, 2008, 10:03:59 AM »
Nice One Jasbir Bhaiya And Rajesh Bhaiya,.



THANKS JAHANASHEEN


JASBIR SINGH
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #7 on: December 17, 2008, 10:04:58 AM »
bahu badiya jasbirsingji aur rajesh haresh ji..

ek ko kisike liye aana pada aur ek ko bagana pada.


thanks CARA
kya yaar, kya keh rahey ho
haa haaa


jasbir singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: December 17, 2008, 10:06:56 AM »
Aapke Liye Hume Aana Padega,.
Ghum Chupaakar Muskuraana Padega,.

Band Rakhi Jo Dard Ki Kitaab Maine,.
Wo Is Mehfil Mein Aake Sunaana Padega,.

Tumse Roshan Thi Zindagi Meri, "Jaana",.
Ab To Andheron Ki Khateer Dil Ko Jalaana Padega,.

Meri Kami Tujhe Aaj Mehsoos Na Hui Hogi,.
Lekin Kal Mujhe, Aawaaz Dekar Bulaana Padega,.

Phool Bhi Dene Lage Zakham Abto, "Azeem",.
Shayad Ab Kaanton Bhi Aazmaana Padega,.

Tera Aashiq Hoon Main, Ye Dil Kehta Hai,.
Tu Meri Nahi Hai, To Is Dil Ko Samjhaana Padega,.

Har Taraf Mera Sitamgar Baitha Hai "Azeem",.
Har Ek Ka Zakham Ab Mujhe Apnaana Padega,.

Aaj Sab Tujhse Khafaa Hai, Tu Ghamzada Na Ho,.
Ek Din Aayega Jab, Sabko Tujhe Manaana Padega,.

Ab Khatam Karta Hoon Yaheen Main Dastaan Apni,.
Warna Sabko "YOINDIA" Mein Aansoon Bahaana Padega,.

__________________________-Jaanasheen,.
Dil Se,.




wah wah wah, jahansheen bahut badiya

abhi thoda sa jaldi meh hu, toh jawaab nahi likh raha
par itna badiya likha hai aap neh, joh main nahi keh pa raha tha, woh likha gaya hai ismeh

jarur jawaab dena chahuynga iska.. wah, maja aagaya


jasbir singh
hira_company@yahoo.com
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: December 17, 2008, 10:27:59 AM »

wah wah wah, jahansheen bahut badiya

abhi thoda sa jaldi meh hu, toh jawaab nahi likh raha
par itna badiya likha hai aap neh, joh main nahi keh pa raha tha, woh likha gaya hai ismeh

jarur jawaab dena chahuynga iska.. wah, maja aagaya


jasbir singh
hira_company@yahoo.com

Shukriya Bhaijaan,.
Ke Aapne Meri Dil Se Likhi Hui Shayari Ko Pasand Kiya,.
Bas Duaa Kijiye,.
Rab Saath de Hume.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 17, 2008, 10:32:24 AM »
Hai Duniya Ka Ye Dastoor Jispar Chalna Hoga,.
Hume Bhi Unhi Ki Tarah Ab Badalna Hoga,.

Roshan Bohat Kar Diya Maine, Tere Shehar Ko,.
Ab Subhaa Hone Ko Hai, Mujhe Dhalna Hoga,.

Koi Nahi Rehbar Mera, Mohabbat Ki Basti Mein,.
Sab Ruswa Hai Mujhse, Mujhe Yahaan Se Ab Nikalna Hoga,.

Kyun Aaya Tu Pattharon Ke Gharon Mein "Azeem",.
Tu To Kaanch Hai, Tujhe Ab Sambhalna Hoga,.

_____________________________-Jaanasheen-

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: December 17, 2008, 11:19:20 PM »
Nice One Jasbir Bhaiya And Rajesh Bhaiya,.

Thanks Jaanasheen Bhai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #12 on: December 17, 2008, 11:22:36 PM »

bahut badiya kaha Rajesh


LAUTNA MERI CHAHAT NAHI, MAJBOORI HAI
JATEY JATEY HUMEY KAM KARNI YEH DOORI HAI
JAA CHUKEY THEY CHODD JINN GALIYOH KOH
USKEY SAMMAAN KEY LIYE AANA MANBOORI HAI


JASBIR SINGH
Thanx Jas and nice one presented
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #13 on: December 18, 2008, 03:29:30 AM »
Thanx Jas and nice one presented

THANKS RAJESH


JASBIR SINGH
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #14 on: December 18, 2008, 03:39:24 AM »
Hai Duniya Ka Ye Dastoor Jispar Chalna Hoga,.
Hume Bhi Unhi Ki Tarah Ab Badalna Hoga,.

Roshan Bohat Kar Diya Maine, Tere Shehar Ko,.
Ab Subhaa Hone Ko Hai, Mujhe Dhalna Hoga,.

Koi Nahi Rehbar Mera, Mohabbat Ki Basti Mein,.
Sab Ruswa Hai Mujhse, Mujhe Yahaan Se Ab Nikalna Hoga,.

Kyun Aaya Tu Pattharon Ke Gharon Mein "Azeem",.
Tu To Kaanch Hai, Tujhe Ab Sambhalna Hoga,.

_____________________________-Jaanasheen-



VERY NICE JAHANASHEEN


JASBIR SINGH
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:24:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer