*Aapke Nagme*

by Roja on July 29, 2008, 05:15:04 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2417 times)
Roja
Guest
Dilo Dimak Pe Chaye Hai Aapke Nagme
Ab Mere Sher Bi Mujhko Ajnabi Se Lage

Zamane ber ki Kitabon ko aaj padte huwe
Pareshaan rooh hai meri khayal kya kahiye?

Sabhi ko dawa hai apne hi fan ke gaalib ka
Jo mai nahi toh fir malaal kya kahiye

Tajurbe mere bi kehte hai kal ke afsane,
Samne aapke meri hi shayri se lage.

Mujhse behtar haqikat ko likhne walon ne
Apni mazi ke tasavvur ko bhula rakha hai

Log auron ki tokkar se sabak lete hai
Maine dawat main museebat ko bhula rakha hai

Agar ye daur mubarak ho aapke katir
Khusi ke hadse bhi dil ko dillagi se lage

Tanha hu aaj bi taqdeer ka sataya hu
Naseeb aapke jage hai sitaron ki tarah.

Aapki aankhon main machalte hai chand ke jalwe
Hasti hai meri ek jugnu ke isharon ki tarah.

Jawani fir un andheron main jhake leti hai
Jahan ujale mujhe roshni se lage

Dilo dimak pe chaye hai aapke nagme
Ab mere sher bhi mujhko ajnabi se lage.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aapke.. by thelostworld in Shayri for Dard -e- Judai
Meri Chahat ke kuch Nagme by Riya_sweet19 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
*Nagme Tumare* by Roja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 20 21 »
maut--------(dard bhare nagme) by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
likhe the jo nagme !!! by sarfira in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Pooja
Guest
«Reply #1 on: July 29, 2008, 05:18:35 PM »
bahoot khoob Roja!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: July 29, 2008, 05:46:08 PM »
Thanks didi
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #3 on: July 30, 2008, 12:19:22 AM »
Khoob! bohot khoob roja ji, bade dinoN ke baad aaye magar poori aab-o-taab ke saath.

"Maine dawat main museebat ko bhula rakha hai"

Kya kehne is misre ke, bade jigar ki baat he.  Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: July 30, 2008, 01:21:37 AM »
Bahut bahut shukhriya Sayyid ji. Aate rehna
Logged
sidushale
Guest
«Reply #5 on: July 30, 2008, 02:41:15 AM »
bohut acha likha hai nice!!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: July 30, 2008, 05:08:35 AM »
Dilo Dimak Pe Chaye Hai Aapke Nagme
Ab Mere Sher Bi Mujhko Ajnabi Se Lage

Zamane ber ki Kitabon ko aaj padte huwe
Pareshaan rooh hai meri khayal kya kahiye?

Sabhi ko dawa hai apne hi fan ke gaalib ka
Jo mai nahi toh fir malaal kya kahiye

Tajurbe mere bi kehte hai kal ke afsane,
Samne aapke meri hi shayri se lage.

Mujhse behtar haqikat ko likhne walon ne
Apni mazi ke tasavvur ko bhula rakha hai

Log auron ki tokkar se sabak lete hai
Maine dawat main museebat ko bhula rakha hai

Agar ye daur mubarak ho aapke katir
Khusi ke hadse bhi dil ko dillagi se lage

Tanha hu aaj bi taqdeer ka sataya hu
Naseeb aapke jage hai sitaron ki tarah.

Aapki aankhon main machalte hai chand ke jalwe
Hasti hai meri ek jugnu ke isharon ki tarah.

Jawani fir un andheron main jhake leti hai
Jahan ujale mujhe roshni se lage

Dilo dimak pe chaye hai aapke nagme
Ab mere sher bhi mujhko ajnabi se lage.



 Applause khoob likha hai Roja dear.. Winking
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #7 on: July 30, 2008, 06:33:40 AM »
Log auron ki tokkar se sabak lete hai
Maine dawat main museebat ko bhula rakha hai

Agar ye daur mubarak ho aapke katir
Khusi ke hadse bhi dil ko dillagi se lage

roja ji waise to aapki puri nazm bohut hi khoobsurat hai magar hamei ye upar likhe lines bohut hi pasand aayi
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #8 on: July 30, 2008, 11:08:41 AM »
buht achaa intkhab hy roja ji

ye haath main toota liye kia aap hain?
 plz ans.
gulzar
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: July 30, 2008, 05:36:09 PM »
bohut acha likha hai nice!!

Thanks sidushale sis
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: July 30, 2008, 05:37:56 PM »

 Applause khoob likha hai Roja dear.. Winking


Thank you very much Honey dear
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: July 30, 2008, 05:38:57 PM »
Log auron ki tokkar se sabak lete hai
Maine dawat main museebat ko bhula rakha hai

Agar ye daur mubarak ho aapke katir
Khusi ke hadse bhi dil ko dillagi se lage

roja ji waise to aapki puri nazm bohut hi khoobsurat hai magar hamei ye upar likhe lines bohut hi pasand aayi


Thank you much for reading me Bhawna ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: July 30, 2008, 05:40:07 PM »
Bohat Hi Umda Likha Hai Roja Sis Aapne
Yun Hi Likhte Rahiyega Aur Hum Padte Rahe hmhm

Lagey Raho.

aha Thanks for your valuable comments Majid brother.
Nice to see you around.
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: July 30, 2008, 05:44:50 PM »
buht achaa intkhab hy roja ji

ye haath main toota liye kia aap hain?
 plz ans.
gulzar

Thanks Gulzargul ji...
(aap kya pooch rahe hai? and kya mujhe jawab dena hai? meri samajme
kuch nahi aaya hai. Please dubara likhe k kya kehna chah rahe ho )
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #14 on: July 30, 2008, 05:58:41 PM »
Dilo Dimak Pe Chaye Hai Aapke Nagme
Ab Mere Sher Bi Mujhko Ajnabi Se Lage

Zamane ber ki Kitabon ko aaj padte huwe
Pareshaan rooh hai meri khayal kya kahiye?

Sabhi ko dawa hai apne hi fan ke gaalib ka
Jo mai nahi toh fir malaal kya kahiye

Tajurbe mere bi kehte hai kal ke afsane,
Samne aapke meri hi shayri se lage.

Mujhse behtar haqikat ko likhne walon ne
Apni mazi ke tasavvur ko bhula rakha hai

Log auron ki tokkar se sabak lete hai
Maine dawat main museebat ko bhula rakha hai

Agar ye daur mubarak ho aapke katir
Khusi ke hadse bhi dil ko dillagi se lage

Tanha hu aaj bi taqdeer ka sataya hu
Naseeb aapke jage hai sitaron ki tarah.

Aapki aankhon main machalte hai chand ke jalwe
Hasti hai meri ek jugnu ke isharon ki tarah.

Jawani fir un andheron main jhake leti hai
Jahan ujale mujhe roshni se lage

Dilo dimak pe chaye hai aapke nagme
Ab mere sher bhi mujhko ajnabi se lage.


simply superb......realy nice and very different......roja ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:29:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer