*Aapke Nagme*

by Roja on July 29, 2008, 05:15:04 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2404 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #15 on: July 30, 2008, 07:28:53 PM »

Mafi chahta hun Roja ji likhne mein badi der kardi mein ne, chand ash'ar aap ke umda kalaam ki nazar karta hun, ummid he ye kisi qabil honge.

Yun ham ne dil se sarahe hein aap ke naghme
Agarche aap ko ham aaj ajnabee se lage

HazaroN YO pe bohot khoob shear kehte heN
Bade dinoN mein koi shear apne jee se lage

Hazar rang he is nagm-e-muhabbat mein
Gham-e-hayaat mein duubi hui khushee se lage

Zuban-e-haal se kehte hein aap ke naghme
Kisi kaa dil n zamane mein yun kisi se lage

Sabhi ne in ko sarahe hein shaairi ki tarah
HameN to apne andheroN mein roshni se lage
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aapke.. by thelostworld in Shayri for Dard -e- Judai
Meri Chahat ke kuch Nagme by Riya_sweet19 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
*Nagme Tumare* by Roja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 20 21 »
maut--------(dard bhare nagme) by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
likhe the jo nagme !!! by sarfira in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Roja
Guest
«Reply #16 on: August 13, 2008, 01:59:57 PM »
simply superb......realy nice and very different......roja ji

Bahut bahut shukhriya sanjeev ji.. Mujhe bahut accha laga aapne pada humko.
Logged
Roja
Guest
«Reply #17 on: August 13, 2008, 02:02:51 PM »

Mafi chahta hun Roja ji likhne mein badi der kardi mein ne, chand ash'ar aap ke umda kalaam ki nazar karta hun, ummid he ye kisi qabil honge.

Yun ham ne dil se sarahe hein aap ke naghme
Agarche aap ko ham aaj ajnabee se lage

HazaroN YO pe bohot khoob shear kehte heN
Bade dinoN mein koi shear apne jee se lage

Hazar rang he is nagm-e-muhabbat mein
Gham-e-hayaat mein duubi hui khushee se lage

Zuban-e-haal se kehte hein aap ke naghme
Kisi kaa dil n zamane mein yun kisi se lage

Sabhi ne in ko sarahe hein shaairi ki tarah
HameN to apne andheroN mein roshni se lage


aaahaaa... aaj hi yeh shayari dekha humne.. sorry for late reply sayyid ji.
Quote
HazaroN YO pe bohot khoob shear kehte heN
Bade dinoN mein koi shear apne jee se lage

Bahut khoob sayyid ji.
 
Logged
Roja
Guest
«Reply #18 on: August 13, 2008, 02:09:57 PM »
Pyar mein aansoo nikle majdhar lage kinaron se
Chand ki hasrat kya karna jab loot gaye sitaron se..

Chahat ki lagi se bekarar nagme hassi ke khil gaye
Shoolon ki wafa pe mit gaye phoolon ke badan pe chil gaye
armaan bhare gulzaron ke sringar jhare fuharon se
Chand ki hasrat kya karna jab loot gaye sitaron se..

Abaad kiye gairon ka jahan apnon ka basera chod chale
Viraan andhere saat liye sapnon ka sabera chod chale
Jugnoo ke ishare jeevan mein be-maut chale nacaron se
Chand ki hasrat kya karna jab loot gaye sitaron se..

Furkat mein garmiyon ka saya bhi humsaya nahi haqikat ka
Gardish mein khudara yaad nahi ab naam na lo Mohabbat ka
Kismat ke likhe tanhayi mein tanha hi rahe saharon se
Chand ki hasrat kya karna jab loot gaye sitaron se..

Pyar mein aansoo nikle majdhar lage kinaron se

tearyeyed
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #19 on: August 13, 2008, 09:52:51 PM »
Badaa dard he isme roja ji, bohot khoob!!!
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #20 on: August 15, 2008, 11:45:03 AM »
mera matalb mojoda pic sy pehly jo pic. thi aik girl haath main totaa liyee
khari thi kiya wo aap thien?

gul
Logged
Roja
Guest
«Reply #21 on: August 25, 2008, 03:01:07 AM »
mera matalb mojoda pic sy pehly jo pic. thi aik girl haath main totaa liyee
khari thi kiya wo aap thien?

gul

haha.. shayad aapko hamari likha shayri pasand nai aayi hai..
hai na?
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #22 on: August 25, 2008, 12:15:24 PM »
poja ji esa kabhi na sochna ke mujhy kisi ki dil sy likhi shaaeri pasand na aay
main shaaeeron ki buht qadr kerta hoon siwaay foozool oot pataang likhny walon ke mujhy andaaza hy aik acha shaaer apny jazbat ka izhaar kesy kerta hy aor uss ko main kabhi thes nahi puhncha sakta,

gul
Logged
paani
Guest
«Reply #23 on: August 26, 2008, 11:02:18 AM »
Ro..Ja.. Jalwa tera Jalwa       happy3
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: August 26, 2008, 05:56:43 PM »
poja ji esa kabhi na sochna ke mujhy kisi ki dil sy likhi shaaeri pasand na aay
main shaaeeron ki buht qadr kerta hoon siwaay foozool oot pataang likhny walon ke mujhy andaaza hy aik acha shaaer apny jazbat ka izhaar kesy kerta hy aor uss ko main kabhi thes nahi puhncha sakta,

gul
Sorry mera yeh matlab nahi tha. Bahut bahut shukhriya
aapko hamara  likha sab pasand aaya hai. Yu hi saat
dete rehna.
Logged
Roja
Guest
«Reply #25 on: August 26, 2008, 05:57:46 PM »
Ro..Ja.. Jalwa tera Jalwa       happy3

Paani ... shukhriya... (Kahan ho yaar tum?)
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:12:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer