Aasaan to nahin tha...lekin....!!!!!

by Talat on March 31, 2006, 09:17:04 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 3418 times)
Talat
Guest
Dil ye pathar ka banana koi asaan to nahin tha
Door zindagi se jaana koi asaan to nahin tha

Ashkon ka samandar kahin aankhon me chupa hai
Qatre qatre ko chupana koi asaan to nahin tha

labon pe konon par jo muskurahat hai khili
Sang zakhmon ke muskurana koi asaan to nahin tha

Band palkon ke peeche jo chale aate hain manzar
Har raat yaadon me bitaana koi asaan to nahin tha

Bewafa naam hume jo de baithi hai ye dunya
Banana raakh par naya ashiaana koi asaan to nahin tha !!! sad5 sad5 sad5
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: March 31, 2006, 09:40:44 AM »
wah  amazing Talat...........  bahot  khoob..........

Maine  poocha  bhi nahi aur  usne  bataya bhi nahi
jakham  woh kya tha, mujhko  dikhaya bhi nahi

jaane  waalon  ko main kaise  rok  loon
woh chal diya, mere dil  ko  samajhaya bhi nahi

tujko paaya tha main sadiyon ki talash karne ke baad
toone  muh fer liye, tujhe theek se  dekha bhi nahi

aisa koi pal aa jaaye jise main rok loon humesha ke liye
waqt  rukta  nahi, dil  bhi  ab  sabhalta  nahi...:oops: :oops:
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: March 31, 2006, 10:44:58 AM »
superbb sis n Waheed...
Logged
sanya310
Guest
«Reply #3 on: March 31, 2006, 11:01:46 AM »
excellent talat!! good going waheed !

aaghosh mein tere simatne ki chaah thhi magar
tujhe toh paaney ki chaah har koi rakhta hai..
na mumkin sa ho gaya hai izhaar karna tumse jab
lafz nikalte nahi honton se, naahi kalam mera saath deta hai
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #4 on: March 31, 2006, 11:42:29 AM »
Gr8 Talat....waheed....n..sanya...!!!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #5 on: March 31, 2006, 01:04:00 PM »
thnx salma..
Logged
nikki
Guest
«Reply #6 on: March 31, 2006, 01:26:29 PM »
woww Sanya tooo gud...

jisse chaha hai dil ki gehrayi se
jiski pooja ki hai
hardum jisse sochti hun
aakhein jisse dhoondti hai har jagah
mujhe pyar karna sikhaane wale
mera tujhse bichadna asaan to nahi tha
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #7 on: March 31, 2006, 01:45:44 PM »
SubhanaALLAH....talat too good
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #8 on: March 31, 2006, 01:58:05 PM »
Quote from: "sanya310"
excellent talat!! good going waheed !

aaghosh mein tere simatne ki chaah thhi magar
tujhe toh paaney ki chaah har koi rakhta hai..
na mumkin sa ho gaya hai izhaar karna tumse jab
lafz nikalte nahi honton se, naahi kalam mera saath deta hai


Shukriya........ Salma.....Sanya........Nikki........

wonderful  reply  Sanya........Nikki........

Na jaane  kabse  tera  intizaar  hai  mujhko
koi  bhi  lamha kahan ab karar  hai mujhko...............
Logged
Bharat
Guest
«Reply #9 on: April 01, 2006, 03:55:02 AM »
Quote from: "Talat"
Dil ye pathar ka banana koi asaan to nahin tha
Door zindagi se jaana koi asaan to nahin tha

Ashkon ka samandar kahin aankhon me chupa hai
Qatre qatre ko chupana koi asaan to nahin tha

labon pe konon par jo muskurahat hai khili
Sang zakhmon ke muskurana koi asaan to nahin tha

Band palkon ke peeche jo chale aate hain manzar
Har raat yaadon me bitaana koi asaan to nahin tha

Bewafa naam hume jo de baithi hai ye dunya
Banana raakh par naya ashiaana koi asaan to nahin tha !!! sad5 sad5 sad5



Talat,
Very nicely written........

Waheed, Sanya and Nikki.........
very good replies
Logged
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #10 on: April 01, 2006, 09:56:34 AM »
Quote from: "sanya310"
excellent talat!! good going waheed !

aaghosh mein tere simatne ki chaah thhi magar
tujhe toh paaney ki chaah har koi rakhta hai..
na mumkin sa ho gaya hai izhaar karna tumse jab
lafz nikalte nahi honton se, naahi kalam mera saath deta hai




behtareen sanya ji maja aa gaya
Logged
sanya310
Guest
«Reply #11 on: April 01, 2006, 06:28:06 PM »
thanx nikki waheed bharat and izharkeintezarmein!
nice one nikki and waheed!!
Logged
Bharat
Guest
«Reply #12 on: April 01, 2006, 09:18:15 PM »
Quote from: "Talat"
Dil ye pathar ka banana koi asaan to nahin tha
Door zindagi se jaana koi asaan to nahin tha

Ashkon ka samandar kahin aankhon me chupa hai
Qatre qatre ko chupana koi asaan to nahin tha

labon pe konon par jo muskurahat hai khili
Sang zakhmon ke muskurana koi asaan to nahin tha

Band palkon ke peeche jo chale aate hain manzar
Har raat yaadon me bitaana koi asaan to nahin tha

Bewafa naam hume jo de baithi hai ye dunya
Banana raakh par naya ashiaana koi asaan to nahin tha !!! sad5 sad5 sad5



Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #13 on: April 02, 2006, 02:23:25 PM »
Quote from: "Talat"
Dil ye pathar ka banana koi asaan to nahin tha
Door zindagi se jaana koi asaan to nahin tha

Ashkon ka samandar kahin aankhon me chupa hai
Qatre qatre ko chupana koi asaan to nahin tha

labon pe konon par jo muskurahat hai khili
Sang zakhmon ke muskurana koi asaan to nahin tha

Band palkon ke peeche jo chale aate hain manzar
Har raat yaadon me bitaana koi asaan to nahin tha

Bewafa naam hume jo de baithi hai ye dunya
Banana raakh par naya ashiaana koi asaan to nahin tha !!! sad5 sad5 sad5



waah waah Talat Ji ....  bahoot khoob !!!  


Yah Daastan- e-ishq hai ya dard-e-dil ki bayaani hai
kis se kahoon ye haal-e-dil sab ki to yhi kahaani hai

Na mange dava na duaa zakhmon ki apni jubaani hai
Chot hamne dil pe khaayi hai wohi ulfat ki nisaani hai

Manzil meri tu ek nahi, manzil aage to aur bhi hai
Ruk jaye wo fana hai, chalti jaye wo zindagani hai

Jana kahin hai door par kyu dil me milne ki aas hai,
hai kaun jis ke dam se mere in saanso me ravani hai

Chnnd sanso ka ye hai basera aao mil ke do pal ji le
Ranjish-o-gham ke saye mai "HumTum" kyu zindgi bitani hai !!

Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: April 02, 2006, 02:40:37 PM »
Quote from: "sanya310"
thanx nikki waheed bharat and izharkeintezarmein!
nice one nikki and waheed!!


Shukriya  Sanya...........  ur  welcome...........
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:33:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer