Aasaan to nahin tha...lekin....!!!!!

by Talat on March 31, 2006, 09:17:04 AM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 3399 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: April 04, 2006, 10:46:55 AM »
Thanks PK and Raja.... nice one Raja !!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #46 on: April 07, 2006, 11:34:46 AM »
very  nice  Raja
Logged
Talat
Guest
«Reply #47 on: April 13, 2006, 07:25:40 AM »

Aassan to nahin tha...........................
Khwaab khud apni aankhon se mitaana
Jis pe nahin manzil koi, raah aisi chalna
Jalte hue gulshan ko ashiaan banana
Zehar jo ban jaayen, ashk wo peena
Sadiyaan guzren, aur na muskurana
Yunhi tanha zindagi ki raah pe chalna
Aassan to nahin tha.............. lekin...!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #48 on: April 13, 2006, 09:45:30 AM »
Quote from: "Talat"

Aassan to nahin tha...........................
Khwaab khud apni aankhon se mitaana
Jis pe nahin manzil koi, raah aisi chalna
Jalte hue gulshan ko ashiaan banana
Zehar jo ban jaayen, ashk wo peena
Sadiyaan guzren, aur na muskurana
Yunhi tanha zindagi ki raah pe chalna
Aassan to nahin tha.............. lekin...!!!!


wonderfull   Talat............  Raj

Aasaan  to  nahi  tha..............................
apne dil ke   jajbon ko  us se  chupaana
apne hi  kandhon  per  apna  janaza  uthaana
apne   dil  se  uska  naam mitaana  
khud  akele  poori jindagi ka  safar  karna
apne  kadmon  ko  uski  taraf  jaane  se  rokna
Youn  hi  apne  dil  ko  khud samajhaana....
Aasaan  to  nahi  tha.............. Lekin.........
Logged
Talat
Guest
«Reply #49 on: January 30, 2008, 01:21:24 PM »
Very nice Waheed !
Logged
Talat
Guest
«Reply #50 on: July 12, 2009, 03:55:39 PM »
Aassan to nahin tha...........................
Bezubaan sa, khamosh tamashayi banna
Ilzam-e-bewafai yunhi chupchap sunna
Khud se door jaate hue dekhna tum ko
Gard-e-raah ko phir poron pe chunna
Aangan main le aana wo khat purane
Aur phir uthte sholon ko hawa dena
Teri yaadon ko, teri baaton ko
Dil ki deewaron se khurach dena
.............Aassan to nahin tha................. lekin.........!!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #51 on: July 12, 2009, 04:09:55 PM »
Aassan to nahin tha...........................
Bezubaan sa, khamosh tamashayi banna
Ilzam-e-bewafai yunhi chupchap sunna
Khud se door jaate hue dekhna tum ko
Gard-e-raah ko phir poron pe chunna
Aangan main le aana wo khat purane
Aur phir uthte sholon ko hawa dena
Teri yaadon ko, teri baaton ko
Dil ki deewaron se khurach dena
.............Aassan to nahin tha................. lekin.........!!!!


Wah bahut bahut khoob  Applause Applause
Bahut sahi likha.... kuch yaadein bhool jaana ... aasaan nahi tha lekin...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #52 on: August 25, 2009, 04:20:29 PM »
Dil ye pathar ka banana koi asaan to nahin tha
Door zindagi se jaana koi asaan to nahin tha

Ashkon ka samandar kahin aankhon me chupa hai
Qatre qatre ko chupana koi asaan to nahin tha

labon pe konon par jo muskurahat hai khili
Sang zakhmon ke muskurana koi asaan to nahin tha

Band palkon ke peeche jo chale aate hain manzar
Har raat yaadon me bitaana koi asaan to nahin tha

Bewafa naam hume jo de baithi hai ye dunya
Banana raakh par naya ashiaana koi asaan to nahin tha !!! sad5 sad5 sad5


Bahut Bahut Khoob Talat Dost!!!

bahut Khoobsurat peshkash Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #53 on: August 25, 2009, 04:33:53 PM »
Aassan to nahin tha...........................
Bezubaan sa, khamosh tamashayi banna
Ilzam-e-bewafai yunhi chupchap sunna
Khud se door jaate hue dekhna tum ko
Gard-e-raah ko phir poron pe chunna
Aangan main le aana wo khat purane
Aur phir uthte sholon ko hawa dena
Teri yaadon ko, teri baaton ko
Dil ki deewaron se khurach dena
.............Aassan to nahin tha................. lekin.........!!!!


Waah Di bahoot bahoot Khoob!
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:28:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer