Aasan ho gaya......manjum

by manjum on May 25, 2011, 05:52:14 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1889 times)
dead heart
Guest
«Reply #15 on: May 25, 2011, 01:16:23 PM »
Main koi ashaar quote karoun, toh khud se beimaani jaisa hoga..
Mujhe puri kalam behad pasand ayi..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Jab koi dard par dil se likhta hai na, toh mere dil tak woh baat
asani se ponch jati hai..
Khoob..
Khush rahiye..!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ye ishq nahi aasan .. by Sunny_boy_with_Sun in Shayri-E-Dard
Urdu Talaffuz Aasan by syednaami in Poetry Knowledge & Lessons exclusively for Yoindians. « 1 2 3 4 5 »
Aasan Raah by rickyjohn in Shayeri for Dard -e- Bewafai
dil ko manana aasan nahi..... by mrkapil_raj1 in Shayri-E-Dard
bade aasan shabdon me by Rahi2001 in Shayari -e- Husn
nirala
Guest
«Reply #16 on: May 25, 2011, 03:25:01 PM »
bhai mujhe to ye dard samajh me nai aata…
kbi face karu to kuch feel ho…
lekin kalaam parhne me acha laga bht…
manju ji kamaal ka likti ho aap …
mujh bedard ko b thoda feel to ho hi gaya kuch…
daad dil se…
likhti rahiye yun hi
god bless u ji Usual Smile


kbi to muskura lo tum bhi sanam
……jhutha hi sahi
kasar na rakho manane me chahe dilbar tera
……sachmuch me rutha hi sahi
yad kr un bitey lamho ko jara or muskura le
……jhutha hi sahi
mehsus kar dil se khusboo ko,chahe
……phool wo sukha hi sahi !!

thanx
Logged
Imdad
Guest
«Reply #17 on: May 25, 2011, 05:38:00 PM »
wah kya baat hai
Logged
manjum
Guest
«Reply #18 on: May 26, 2011, 03:32:27 AM »
bahut bahut shukriya priyaji.....

sath rahie....
Logged
manjum
Guest
«Reply #19 on: May 26, 2011, 03:39:50 AM »
bahut bahut shukriya rahimji..... aapne hamari ek koshish ko itna pasand kiya.... aapne kaha ki dard par likha hua aapke dil tk aasani se pahunchta hai... to hamara likha zarur aapke dil tk pahunch jata hoga kyoki hm to hamesha dard wala hi likhte hain.... acha laga.... thanks..

sath rahie...
Logged
manjum
Guest
«Reply #20 on: May 26, 2011, 03:48:11 AM »
bahut bahut shukriya niralaji... niralaji ab aap esa mt kahiye ki dard aapko samjh main nain aata... aap to kammal ka dard likhte hain aur wo bhi hanste hanste..... ham to aapse aapki tarah dard likhna sikh rahe hain...\

sath rahie.....
Logged
manjum
Guest
«Reply #21 on: May 26, 2011, 03:52:10 AM »
bahut bahut shukriya imdadji....

yun hi pasand karte rahie aur sath rahie......
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #22 on: May 26, 2011, 05:23:18 PM »
Good Job Manjum Ji
Logged
manjum
Guest
«Reply #23 on: May 27, 2011, 03:42:01 AM »
bahut bahut shukriya shihabji….

Yun hi sath rahie…
Logged
manjum
Guest
«Reply #24 on: May 27, 2011, 03:43:07 AM »
bahut bahut shukriya nihaji….

sath rahiega…
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #25 on: May 27, 2011, 11:24:53 AM »
Manjum Jee Aadaab!

Janab aapki is khubsurat kalaam par ba dawat deri se aane
ke liye mazzarrat chahate hai... Usual Smile

Is khubsurat kalaam par dawat dene ke liye shukriyaa Usual Smile         




Mushkil tha jo safar wo ab aasaan ho gaya.
Paon ke chhale fod die tera ehsaan ho gaya.

Achcha Maqta hai daad Usual Smile         

Khushiyan kharidne ki koshish main ye paya,
Neelam apne ghar ka sab samaan ho gaya.

Bahut khoob daad daad daad Usual Smile         

Dil todkar sikhaya duniyan ne ek sabak,
Chot khana mere lie ehsaan ho gaya.

Achcha khayaal hai daad Usual Smile

Kahta tha zindgi bhi mere sath guzarega,
Mujhe apni gali mai dekh pareshan ho gaya.

Masha Allah Kia kahne Manjum jee bahut umda bahut khoob daad daad daad Usual Smile         

Ek bar tujhse milkar puchhenge ye sawal,
Tu kaise achanak youn beimaan ho gaya.

Bahut khoob daad Usual Smile         

Usko laga ke gham ke toofan main bah gaye,
Mahfil main hame dekh ke hairaan ho gaya.

Kia baat hai bade dilfareb khayaal bayaaN
kiye hai aapne daad Usual Smile         


Is ghar pe tha mera haq usse bhi kahin jyada,
Aaye yahan to paya "mann" mehmaan ho gaya.

Achcha maqta hai... Aik soch humare
zaheN ki bhi Usual Smile         


Jis ghar pe haq tha kisi aur se bhi jyada
"MANN" kyuN usi ghar meiN aaj mehmaan ho gaya         




Manju "mann"

Bahut khoob Manjum Jee behad khoob ahsas O khayaal pesh kiye hai aapne dil se daad O mubarakbad kabul kijiye,,,


Likahte rahiye...
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile         

Logged
manjum
Guest
«Reply #26 on: May 27, 2011, 11:58:03 AM »
bahut bahut shukriya parwazji.... aapne bahut ache se dad di.... aur bahut sikhate hain aap... sach kahe to hm shayari jante nahin hain jo mann main aata hai likh dete hain.... par aapke cmnt milte rahe to ek din acha likhne lagenge...

hanji.. aakhiri sher aapne bataya wesa bahut acha hai pr kya esa bhi thik hoga....

is ghar pe tha mera haq duniyan main sabse jyada,
kaise yahan pe aaj "mann' mehnman ho gaya.
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #27 on: May 27, 2011, 02:08:29 PM »
Mushkil tha jo safar wo ab aasaan ho gaya.
Paon ke chhale fod die tera ehsaan ho gaya.

Khushiyan kharidne ki koshish main ye paya,
Neelam mere ghar ka har samaan ho gaya.

Dil todkar sikhaya duniyan ne ek sabak,
Chot khana mere lie ehsaan ho gaya.

Kahta tha zindgi bhi mere sath guzarega,
Mujhe apni gali mai dekh pareshan ho gaya.

Ek bar tujhse milkar puchhenge ye sawal,
Tu kaise achanak yen beimaan ho gaya.

Usko laga ke gham ke toofan main bah gaye,
Mahfil main hame dekh ke hairaan ho gaya.

Is ghar pe tha mera haq usse bhi kahin jyada,
Aaye yahan to paya "mann" mehmaan ho gaya.


Manju "mann"

Nice one...
Logged
manjum
Guest
«Reply #28 on: May 28, 2011, 03:31:38 AM »
bahut bahut shukriya guruji.....

sath rahiega.....
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #29 on: March 27, 2012, 05:13:13 AM »
Bahut sunder badhai ho
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:27:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer