Aasmaan Roya...

by Aryaan on June 14, 2005, 01:08:52 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2911 times)
Aryaan
Guest

Meri tarap se tarap kar yeh aasmaan roya
Lahoo bahaya sitaaron ne aur samaa roya

Mujhe harr aarzu se waQat ne nashaad kar dala
Bahaaron ne mera gulahsan yunhi barbaad kar dala

Khizaan bhi ro pari ujra huwa jab dekha mera aangan
Mere dukh mein meri haalat pe sara yeh jahaan roya

Harr ik majboor hai meri tarha aatish bhi Qismat bhi
Mujhe yazdaa ne sab kuch de diya hasrat bhi himmat bhi

Giri jab bijli mere aashiyan par main nahi roya
Jala ke mere ghar ko jaate jaate yeh dhuaan roya

Mere aansoo bahe rukhsaar se tau dard ke maare
Meri taQdeer ka kaatib bhi gham se be-panah roya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aasmaan aaj phir se roya hai...... by Just_Hate_Love in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Younhi Roya Nahin Kartey ... by Qutubuddin in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Roya karo gay tum... by maya01 in Shayri-E-Dard
Roya nahi hu main.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Aarzu-E-Dil Mein Utar Kar Roya by angel4u in Shayri-E-Dard
sanya310
Guest
«Reply #1 on: June 14, 2005, 01:48:06 PM »
wahh aryaan bohot hi acha likha hai!!!!                                                                                                         ..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: June 14, 2005, 01:55:30 PM »
Quote from: "sanya310"
wahh aryaan bohot hi acha likha hai!!!!                                                                                                         ..

Bohat shukriya Sanya......
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #3 on: June 14, 2005, 02:21:42 PM »
Quote from: "Aryaan"

Meri tarap se tarap kar yeh aasmaan roya
Lahoo bahaya sitaaron ne aur samaa roya

Mujhe harr aarzu se waQat ne nashaad kar dala
Bahaaron ne mera gulahsan yunhi barbaad kar dala

Khizaan bhi ro pari ujra huwa jab dekha mera aangan
Mere dukh mein meri haalat pe sara yeh jahaan roya

Harr ik majboor hai meri tarha aatish bhi Qismat bhi
Mujhe yazdaa ne sab kuch de diya hasrat bhi himmat bhi

Giri jab bijli mere aashiyan par main nahi roya
Jala ke mere ghar ko jaate jaate yeh dhuaan roya

Mere aansoo bahe rukhsaar se tau dard ke maare
Meri taQdeer ka kaatib bhi gham se be-panah roya


wah aryaa,bohat khoob Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: June 14, 2005, 03:14:01 PM »
Thank you so much Nidhi...Usual Smile..................
Logged
jalpari
Guest
«Reply #5 on: June 15, 2005, 10:47:46 AM »
Wow Aryaan ji... bohut hi khoob likha, very nice.........
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: June 15, 2005, 03:24:35 PM »
as usuall...bohot acha likha aryaan ji!!!!!!!!!!!!!!

 :D
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #7 on: June 15, 2005, 04:14:17 PM »
wah wah wah kya likha.......very sad but GOOD and these lines "Giri jab bijli mere aashiyan par main nahi roya
Jala ke mere ghar ko jaate jaate yeh dhuaan roya "very touchy........dil ko chuu gayee
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2005, 08:48:54 PM »
Quote from: "Aryaan"

Meri tarap se tarap kar yeh aasmaan roya
Lahoo bahaya sitaaron ne aur samaa roya

Mujhe harr aarzu se waQat ne nashaad kar dala
Bahaaron ne mera gulahsan yunhi barbaad kar dala

Khizaan bhi ro pari ujra huwa jab dekha mera aangan
Mere dukh mein meri haalat pe sara yeh jahaan roya

Harr ik majboor hai meri tarha aatish bhi Qismat bhi
Mujhe yazdaa ne sab kuch de diya hasrat bhi himmat bhi

Giri jab bijli mere aashiyan par main nahi roya
Jala ke mere ghar ko jaate jaate yeh dhuaan roya

Mere aansoo bahe rukhsaar se tau dard ke maare
Meri taQdeer ka kaatib bhi gham se be-panah roya


Wah kahein ya Aah kahein....................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #9 on: June 16, 2005, 12:56:53 AM »
Jalpari, Meena, Isha & Aarzuu...
pasand karne ka bohat bohat shukriya dosto....
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #10 on: June 16, 2005, 04:58:05 AM »
Quote from: "Aryaan"

Meri tarap se tarap kar yeh aasmaan roya
Lahoo bahaya sitaaron ne aur samaa roya

Mujhe harr aarzu se waQat ne nashaad kar dala
Bahaaron ne mera gulahsan yunhi barbaad kar dala

Khizaan bhi ro pari ujra huwa jab dekha mera aangan
Mere dukh mein meri haalat pe sara yeh jahaan roya

Harr ik majboor hai meri tarha aatish bhi Qismat bhi
Mujhe yazdaa ne sab kuch de diya hasrat bhi himmat bhi

Giri jab bijli mere aashiyan par main nahi roya
Jala ke mere ghar ko jaate jaate yeh dhuaan roya

Mere aansoo bahe rukhsaar se tau dard ke maare
Meri taQdeer ka kaatib bhi gham se be-panah roya


wahhhhh................ aryaan............. bahut khoob
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #11 on: June 17, 2005, 01:51:15 AM »
Quote from: "khushiiiii"

wahhhhh................ aryaan............. bahut khoob

Thanks a lot Khushiiiii......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: June 18, 2005, 01:52:52 AM »
Abhi tau ishQ mein aisa bhi haal hona hai
Keh ashk rokna tum se mohaal hona hai

Harr ek lab pe hai meri wafaa k afsaane
Tere sitam ko abhi lazawaal hona hai

Baja hai ke khaar hain lekin bahaar ki rutt mein
Yeh teh hai ke hamein bhi nehaal hona hai

Tumhain khabar hi nahi tum tau lut jaao ge
Tumhare hijr mein ik lamha bhi saal hona hai

Hamari rooh pe jab bhi azaab utre hain
Tumhari yaad ko iss dil ki dhaal hona hai

Kabhi tau roye ga woh bhi kisi ki baahon mein
Kabhi tau uss ki hansi ko zawaal hona hai

Milein gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hai kab yeh kamaal hona hai

Harr shakhs chale ga hamari raahon par
Mohabbaton mein hamein woh misaal hona hai

Zamaana jiske kham-o-paich mein ulajh jaye
Hamari zaat ko aisa sawaal hona hai

Wasi yaQeen hai mujh ko woh laut aaye ga
Usey bhi apne kiye ka malaal hona hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #13 on: June 18, 2005, 01:59:34 AM »
Quote from: "Aryaan"
Abhi tau ishQ mein aisa bhi haal hona hai
Keh ashk rokna tum se mohaal hona hai

Harr ek lab pe hai meri wafaa k afsaane
Tere sitam ko abhi lazawaal hona hai

Baja hai ke khaar hain lekin bahaar ki rutt mein
Yeh teh hai ke hamein bhi nehaal hona hai

Tumhain khabar hi nahi tum tau lut jaao ge
Tumhare hijr mein ik lamha bhi saal hona hai

Hamari rooh pe jab bhi azaab utre hain
Tumhari yaad ko iss dil ki dhaal hona hai

Kabhi tay roye ga woh bhi kisi ki baahon mein
Kabhi tau uss ki hansi ko zawaal hona hai

Milein gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hai kab yeh kamaal hona hai

Harr shakhs chale ga hamari rahon par
Mohabaton mein hamahin woh misaal hona hai

Zamaana jis k kham-o-paich mein ulajh jaye
Hamari zaat ko aisa sawaal hona hai

Wasi yaQeen hai mujh ko woh laut aaye ga
Usey bhi apne kiye ka malaal hona hai



I have read it before on a site......................and i mail it to my frndz............

Thanx Aryaan ..............................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #14 on: June 18, 2005, 02:06:40 AM »
Quote from: "fakharenaveed"
Quote from: "Aryaan"


I have read it before on a site......................and i mail it to my frndz............

Thanx Aryaan ..............................

zaroor parhi hogi Naveed.....yeh mere favr8 poet Wasi Shah ki hai.Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:25:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer