fakharenaveed
Guest
|
«Reply #15 on: June 18, 2005, 02:17:39 AM » |
|
But You have not mentioned there .....................
Its not ur`s............................
And Y u Edit Your Post................?
It`s okey my dear................................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #16 on: June 18, 2005, 02:46:27 AM » |
|
But You have not mentioned there .....................Its not ur`s............................ And Y you Edit Your Post................? It`s okey my dear................................ Wasi yaQeen hai mujh ko woh laut aaye ga Usey bhi apne kiye ka malaal hona hai iss sher se pata chalta hai na keh yeh Wasi ki ghazal hai? main ne kab kaha keh yeh meri hai bhai?
|
|
|
Logged
|
|
|
|
fakharenaveed
Guest
|
|
«Reply #17 on: June 18, 2005, 02:51:12 AM » |
|
Bhai hum ney kab kha hai k sari shyari aap ki hai sabhi tu yeh mere bhai logon ki hi hai....................!!!
kuch ayi smjah......................... :D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #18 on: June 18, 2005, 02:54:47 AM » |
|
Bhai hum ney kab kha hai k sari shyari aap ki hai sabhi tu yeh mere bhai logon ki hi hai....................!!!
kuch ayi smjah......................... :D Ji huzoor kaafi hadh tak samajh aa hi gai.........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #19 on: June 18, 2005, 03:02:22 AM » |
|
Koi kabhi unn chehron ko parhe Jo afsaanon ki tarha hote hain Woh aankhein jin mein shokhion ki jagah Gehre gehre samander hote hain Woh hont jinhon ne hansi ki bajaye Chup ki chaadarein orhi hoti hain Woh dil jin mein hazaar khwahishen nahi Toote huwe armaan chupe hote hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
fakharenaveed
Guest
|
|
«Reply #20 on: June 18, 2005, 03:06:21 AM » |
|
hmmmmmmmmmmmmm good achi baat hai
kia khoob woh log hotey hain jo unkkahi bata smjhtey hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
jalpari
Guest
|
|
«Reply #21 on: June 19, 2005, 09:12:21 PM » |
|
Koi kabhi unn chehron ko parhe Jo afsaanon ki tarha hote hain Woh aankhein jin mein shokhion ki jagah Gehre gehre samander hote hain Woh hont jinhon ne hansi ki bajaye Chup ki chaadarein orhi hoti hain Woh dil jin mein hazaar khwahishen nahi Toote huwe armaan chupe hote hain wow Aryaan.. very nice..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #22 on: June 20, 2005, 03:31:06 AM » |
|
Shukriya Jalpari.....
Shikwa kaanton se kyun kar ho zakhm khaane ka Phool chun-ne ki sazaa payi hai main ne.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nidhi_yadein
Umda Shayar
Rau: 2
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~
Posts: 5725 Member Since: Nov 2004
|
|
«Reply #23 on: June 20, 2005, 04:06:51 AM » |
|
Abhi tau ishQ mein aisa bhi haal hona hai Keh ashk rokna tum se mohaal hona hai
Harr ek lab pe hai meri wafaa k afsaane Tere sitam ko abhi lazawaal hona hai
Baja hai ke khaar hain lekin bahaar ki rutt mein Yeh teh hai ke hamein bhi nehaal hona hai
Tumhain khabar hi nahi tum tau lut jaao ge Tumhare hijr mein ik lamha bhi saal hona hai
Hamari rooh pe jab bhi azaab utre hain Tumhari yaad ko iss dil ki dhaal hona hai
Kabhi tau roye ga woh bhi kisi ki baahon mein Kabhi tau uss ki hansi ko zawaal hona hai
Milein gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan Bas intizaar hai kab yeh kamaal hona hai
Harr shakhs chale ga hamari raahon par Mohabbaton mein hamein woh misaal hona hai
Zamaana jiske kham-o-paich mein ulajh jaye Hamari zaat ko aisa sawaal hona hai
Wasi yaQeen hai mujh ko woh laut aaye ga Usey bhi apne kiye ka malaal hona hai masterpiece aryaan
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #24 on: June 20, 2005, 12:46:23 PM » |
|
Bohat bohat shukriya Nidhi............. .......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #25 on: June 21, 2005, 12:46:53 AM » |
|
Duniya se wafaa kar ke sila dhoondh rahe hain Hum log bhi nadaa'n hain kya dhoondh rahe hain
Yeh bhi tau sazaa hai keh giraftaar-e-wafaa hoon Kyun log Mohabbat ki sazaa dhoondh rahe hain
Kuch deir tehar jaa aye banda-e-insaaf Hum apne gunaahon mein khata dhoondh rahe hain
Duniya ki tamanna thi kabhi hum ko bhi aryaan Ab zakhm-e-tamanna ki dawaa dhoondh rahe hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
jalpari
Guest
|
|
«Reply #26 on: June 21, 2005, 04:29:04 PM » |
|
Duniya se wafaa kar ke sila dhoondh rahe hain Hum log bhi nadaa'n hain kya dhoondh rahe hain
Yeh bhi tau sazaa hai keh giraftaar-e-wafaa hoon Kyun log Mohabbat ki sazaa dhoondh rahe hain
Kuch deir tehar jaa aye banda-e-insaaf Hum apne gunaahon mein khata dhoondh rahe hain
Duniya ki tamanna thi kabhi hum ko bhi aryaan Ab zakhm-e-tamanna ki dawaa dhoondh rahe hain
wow Aryaan.. bohat khooooob....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #27 on: June 21, 2005, 06:09:41 PM » |
|
wow Aryaan.. bohat khooooob....
Thanks Jalpari......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #28 on: June 26, 2005, 03:32:35 PM » |
|
Ab yeh socha hai apne zaat mein simtey rahien Hum ne kar ke dekh li sub se shanasaai bohat Apna saaya bhi juda lagta hai apni zaat se Hum ne uss se dil lagaane ki saza payi bohat
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|