Aasuon se bhari hai zindigi ye meri

by Lawa on December 21, 2004, 01:41:25 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1420 times)
Meena
Guest
«Reply #15 on: December 23, 2004, 05:25:53 PM »
wahhhhhhhhhh bohot badiya kamal ji!

zindagi ka hisab kitab rakhne wale hum kaun hote hai,
Khuda ki  dain hai to wohi hisab rakhte hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri zindigi ye meri zindigi by tushar_4u_im in Shairi - E - Zindagi
zindigi meri,..... by tushar_4u_im in Shairi - E - Zindagi
Aasuon ke chalne ki awaaz nahi hoti by sem in Shayri for Khumar -e- Ishq
shabnam ke aasuon ne shaam ke darwaaze seeche.. by @kaash in Ghazals
Aasuon Me Meri Jaan Thi..!!..Miru by Miru;;;; in Share: Poetry of Pain
Namkeen
Guest
«Reply #16 on: December 23, 2004, 05:59:21 PM »
Quote from: "KaMaL"
Quote from: "Meena"
Quote from: "Lawa"
Yeh maine mere ek dost ke liye likhi, jise Cancer hua hai
Huh...Achi khaasi zindigi chal rahi thi uski
Par jab ye baat saamne aayee, to sab kuch badal gaya.
To maine yeh shairee uski jagah par khud ko rakh ke likhi hai.
Umeed hai aapko pasand aayegi.



|||
Aasuon se bhari hai zindigi ye meri
Mujh gam-e-saar se aashiqui na karo
Gam to mile hain mujhko sougaat mein
Yoon barbaad apni zindigi na karo

Jaam se lipti piya nahin karte
Leeron ko kabhi siya nahin karte
Kuch inke hi jaisi hai haalat meri
Khud apne dil se dillagi na karo

Bin nindiya ke sapno se kya faayeda
Pyar ke in sapno se kya faayeda
Ye sapne poore nahin hote kabhi
Jaan boojh ke bekhudi na karo

Meri asaliyat tumko maaloom hi hai
Meri haqekat tumko maaloom hi hai
Bhula do jahan se kahani meri
Khushiyon se tum dushmani na karo

|||


very nice!

zindagi ko azmana se kya faida,
jab humari sansen hi bewafa hai,
hum marham bhi nahin mang sakhte,
humara dard jo bedawa hai! (NM)


wah....Bahut khoob Meena ji...

Shaayad koi pichle janam ka,
Hum pe mout ka karz pada hai.
Liye honge kuch pal udhaar humne pehle bhi,
Jo ab zindagi ko girwi rakha hai.



Nice you all

khwab dikhe bhi nahi or toot gaye,
vo humse mile bhi nahi or ruth gaye,
hum jagte rahe duniya soti rahi,
ek baarish hi thi jo sath mein roti rahi...
Logged
Meena
Guest
«Reply #17 on: December 23, 2004, 06:20:47 PM »
nice one namkeen!

 :D
Logged
Namkeen
Guest
«Reply #18 on: December 23, 2004, 08:36:29 PM »
Woh Hamare nahin toh kya gum hain....
Hum toh unhi ke hain yeh kya kum hain....
Na gum hain na AAsoo Kum hain....
Dekhtey hain Rone walen main kitna dum hain.....N/M
Logged
Lawa
Guest
«Reply #19 on: December 24, 2004, 01:58:43 AM »
Quote from: "Namkeen"
Quote from: "KaMaL"
Quote from: "Meena"
Quote from: "Lawa"
Yeh maine mere ek dost ke liye likhi, jise Cancer hua hai
Huh...Achi khaasi zindigi chal rahi thi uski
Par jab ye baat saamne aayee, to sab kuch badal gaya.
To maine yeh shairee uski jagah par khud ko rakh ke likhi hai.
Umeed hai aapko pasand aayegi.



|||
Aasuon se bhari hai zindigi ye meri
Mujh gam-e-saar se aashiqui na karo
Gam to mile hain mujhko sougaat mein
Yoon barbaad apni zindigi na karo

Jaam se lipti piya nahin karte
Leeron ko kabhi siya nahin karte
Kuch inke hi jaisi hai haalat meri
Khud apne dil se dillagi na karo

Bin nindiya ke sapno se kya faayeda
Pyar ke in sapno se kya faayeda
Ye sapne poore nahin hote kabhi
Jaan boojh ke bekhudi na karo

Meri asaliyat tumko maaloom hi hai
Meri haqekat tumko maaloom hi hai
Bhula do jahan se kahani meri
Khushiyon se tum dushmani na karo

|||


very nice!

zindagi ko azmana se kya faida,
jab humari sansen hi bewafa hai,
hum marham bhi nahin mang sakhte,
humara dard jo bedawa hai! (NM)


wah....Bahut khoob Meena ji...

Shaayad koi pichle janam ka,
Hum pe mout ka karz pada hai.
Liye honge kuch pal udhaar humne pehle bhi,
Jo ab zindagi ko girwi rakha hai.



Nice you all

khwab dikhe bhi nahi or toot gaye,
vo humse mile bhi nahi or ruth gaye,
hum jagte rahe duniya soti rahi,
ek baarish hi thi jo sath mein roti rahi...


Quote from: "Namkeen"
Woh Hamare nahin toh kya gum hain....
Hum toh unhi ke hain yeh kya kum hain....
Na gum hain na AAsoo Kum hain....
Dekhtey hain Rone walen main kitna dum hain.....


|||
Thanks Namkeen
And very good
Wah wa
-- Lawa
|||
Logged
Lawa
Guest
«Reply #20 on: December 24, 2004, 02:02:05 AM »
Quote from: "KaMaL"
Shaayad koi pichle janam ka,
Hum pe mout ka karz pada hai.
Liye honge kuch pal udhaar humne pehle bhi,
Jo ab zindagi ko girwi rakha hai.


|||
Bahut achhe...kamal
|||
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #21 on: December 24, 2004, 02:34:43 AM »
Thanks all.... Usual Smile
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #22 on: July 01, 2005, 08:42:20 PM »
Quote from: "Lawa"
Yeh maine mere ek dost ke liye likhi, jise Cancer hua hai
Huh...Achi khaasi zindigi chal rahi thi uski
Par jab ye baat saamne aayee, to sab kuch badal gaya.
To maine yeh shairee uski jagah par khud ko rakh ke likhi hai.
Umeed hai aapko pasand aayegi.



|||
Aasuon se bhari hai zindigi ye meri
Mujh gam-e-saar se aashiqui na karo
Gam to mile hain mujhko sougaat mein
Yoon barbaad apni zindigi na karo

Jaam se lipti piya nahin karte
Leeron ko kabhi siya nahin karte
Kuch inke hi jaisi hai haalat meri
Khud apne dil se dillagi na karo

Bin nindiya ke sapno se kya faayeda
Pyar ke in sapno se kya faayeda
Ye sapne poore nahin hote kabhi
Jaan boojh ke bekhudi na karo

Meri asaliyat tumko maaloom hi hai
Meri haqekat tumko maaloom hi hai
Bhula do jahan se kahani meri
Khushiyon se tum dushmani na karo

|||



Wow It's really great lawa
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:21:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer