AAYA HOON PAANE...................TANHA(SAURABH)

by Tanha(Saurabh) on November 29, 2008, 10:06:20 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 859 times)
Tanha(Saurabh)
Guest
AAYA HOON PAANE KUCHH DILKASH NAZAARON KO,
SUNA HAI KHUSHI MERI YAHIN KAHIN RAHTI HAI ABHI.

NAAM MIT JAYEGA LAHRON SE FIR TERA MALOOM HAI
UNGLI RET PAR FIR BHI BE-CHAIN RAHTI HAI ABHI.

NA-MANZOOR USKO HAMSAFAR HONA HAI MERA,
PAR KADAM, DO-KADAM SAATH MERE RAHTI HAI ABHI.

DIL SE RANJ MITA DIYE TUMNE YE JAANA MAGAR,
CHEHRE PE KOI AN-CHHUPI SHIKAN RAHTI HAI ABHI.

KOSHISH MERI AUR TUJHKO BHULAANA HAR DIN MERA,
HAR KOSHISH MEIN KUCHH BHOOL SI RAHTI HAI ABHI.

SAPNE MERE HAKEEQAT KI NAZAR KE NAHI HONGE,
PAR KHWAHISH TERI MUJHKO KUCHH RAHTI HAI ABHI.

NA JAANE BACHH GAYA KAISE TOOFAAN SE KOOCHA APNA,
PAR IS SHAHAR MEIN AANDHIYON KI RUT RAHTI HAI ABHI.

ROZ DIL KE ZAKHM MITAATA HOON SEENE SE,
MARHAM SE BACHI KOI CHOT MAGAR RAHTI HAI ABHI.

KABHI LAZZAT AAJAAYE UNKI YAAD SE AGAR BHI,
US PAL MEIN AFSOS KI HAR GHADI RAHTI HAI ABHI.

MILA NAHI WO KUCHH KAMI RAHI MUJHME HI KAHIN,
PAR ZINDGI SE YAHI SHIKAAYAT MERI RAHTI HAI ABHI.

MILEGA CHAIN LAGTA HAI BAS AB JAAN JAANE PAR,
MURJHAAYE PHOOL MEIN KUCHH KHUSHBOO RAHTI HAI ABHI.

KYA JAANIYE KYA-KYA KAH GAYE SHAYAR ZAMAANE KE,
AUR ADHOORI ‘TANHA’ KI HAR GHAZAL RAHTI HAI ABHI.

-----TANHA(SAURABH)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAJ EK AUR DAFA.........................TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
KAISE PAAYE KOI...........................TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
LUTF MILTA HAI...........................TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
DHOONDHTE HAIN WO.............TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
BOHAT TOOTA HOON............TANHA(SAURABH) by Tanha(Saurabh) in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: November 29, 2008, 10:53:30 AM »
Bohat Badhiyaa Saurabh Ji,.
Nice One,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: November 29, 2008, 12:51:33 PM »
Ek ek sher tumhara khoobsurat aur kabile dad hain puri ghazal ko kahi bhi kamzor hone nahi diya beautiful work Tanha  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley dil me aaya kuch likhu par baad me socha shayed itni pyaari ghazal ke aage mere sher pani kum chay lagege  DOH



Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: November 29, 2008, 02:42:02 PM »
 Applause Applause

Bohat khoob Sourabh ji....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:58:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer