-Aaye They Mere Ghar Mein-

by HumTum on January 28, 2009, 08:13:51 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1665 times)
HumTum
Guest

Aaye they mere ghar mein bhi chand sitare kabhi
Khiza hi khiza hai har sou ab woh baharien nahin

Dil tu kyun nakaam-e-muhhobat ki baat karta hai?
Hum to ho gaye hai unke agar woh hamare nahin

Behtar yhi ke ab bando saaz-o-samaan aur nikalo
Ab iss shahar mein janab tumhaare guzaare nahin

 Ja kar koi uss sitam_gaar ko yeh ithelaah kar de
QurbaaN ho gaye hai ishq mein magar hare nahin

Daftaan chend logo ne hath mein utha to liye sang
 Magar jane kya yaad aaya unko, ke maare nahin?
        (Sang = Pathar / stone)

Shayaad usne bhi khola hoga khaat koi puraana
     Tabhi aaj usne apne gesu sawarien nahin
        (Gesu = Julfien)

        Phir hum uss bewffa ko yaad karte hai
Wohi din hai hamare aur hamari raatein hai wohi

 Ilaahi, mujhe uss basti ka pta bta de ke jahaaN pe
TeG nahin lahuu nahin dhuan nahin angarien nahin
        (TeG = Talwar/Sword)

Asia nai ke humse ishq karne walon ki kami hai magar
    Dil toot kar unhi ko chahta hai jo hamare nahin
 
Kahin koi masoom apne ghar se be_ghar na ho jaye
Yahi soch kar humne apne ghar mein jale uthare nahin
       (Jale = Spider’s Net)

Ajab mod par aa kar rukh gyi hai zindagi :HumTum:
Dil wohi dilbhar nahin ankhien wohi nazarien nahin !!




HumTum
Logged
Roja
Guest
«Reply #1 on: January 28, 2009, 08:27:00 AM »
Wah wah waaaaahh.. HumTum... Bahut umda likha hai  Applause Applause

Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: January 28, 2009, 08:31:33 AM »

Aaye they mere ghar mein bhi chand sitare kabhi
Khiza hi khiza hai har sou ab woh baharien nahin

Dil tu kyun nakaam-e-muhhobat ki baat karta hai?
Hum to ho gaye hai unke agar woh hamare nahin

Behtar yhi ke ab bando saaz-o-samaan aur nikalo
Ab iss shahar mein janab tumhaare guzaare nahin

 Ja kar koi uss sitam_gaar ko yeh ithelaah kar de
QurbaaN ho gaye hai ishq mein magar hare nahin

Daftaan chend logo ne hath mein utha to liye sang
 Magar jane kya yaad aaya unko, ke maare nahin?
        (Sang = Pathar / stone)

Shayaad usne bhi khola hoga khaat koi puraana
     Tabhi aaj usne apne gesu sawarien nahin
        (Gesu = Julfien)

        Phir hum uss bewffa ko yaad karte hai
Wohi din hai hamare aur hamari raatein hai wohi

 Ilaahi, mujhe uss basti ka pta bta de ke jahaaN pe
TeG nahin lahuu nahin dhuan nahin angarien nahin
        (TeG = Talwar/Sword)

Asia nai ke humse ishq karne walon ki kami hai magar
    Dil toot kar unhi ko chahta hai jo hamare nahin
 
Kahin koi masoom apne ghar se be_ghar na ho jaye
Yahi soch kar humne apne ghar mein jale uthare nahin
       (Jale = Spider’s Net)

Ajab mod par aa kar rukh gyi hai zindagi :HumTum:
Dil wohi dilbhar nahin ankhien wohi nazarien nahin !!




HumTum


Kya likha hai janab apke har alfaaz me ahesaas ko mahesoos kiya humne !! bahoth umda peskash hai apki ye !! maza agaya padke !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #3 on: January 28, 2009, 09:50:20 AM »
Eak Koshish hamari bhi humtum sahab tawajo chahonga janab !!

Dekh ke mere Janaze ko wo muskura rahi hai  Qadeer !!
Maine suncha bhi na tha ke meri mahobbath itni zalim hogi

Qadeer Toopchi
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: January 28, 2009, 01:21:21 PM »
Yaar humtum 5th sher ke kya kehne aur 6th sher ne kaleja cheer diya yaar Bohat bohat zabardast peshkash mere bhai  Clapping Smiley Clapping Smiley

Gham ki Barish ne bhi Uske Naksh ko Dhoya Nahin..
Usne Mujhe Kho diya Main ne Use Khoya Nahin..


Nice Sharing Shihab......

Eak Koshish hamari bhi humtum sahab tawajo chahonga janab !!

Dekh ke mere Janaze ko wo muskura rahi hai  Qadeer !!
Maine suncha bhi na tha ke meri mahobbath itni zalim hogi

Qadeer Toopchi

Bohat khoob Qadeer........ Clapping Smiley
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2009, 08:41:54 AM »
Bahut bahut Shukariya DostooN.

Shihab -  "Faraz" sahab ne khoob likha hai:


Gham ki Barish ne bhi Uske Naksh ko Dhoya Nahin..
Usne Mujhe Kho diya Main ne Use Khoya Nahin..

Neend ka halka Gulabi sa Khumar Aankhon mein tha..
Yun Laga Jeise Wo Shab ko Dair tak Soya Nahin..

Janta hon Aik Aeise Shaks ko Main bhi 'Faraz..
Gham se Pathar ho Gaya Lekin Kabhi Roya Nahin !!


Accha lga phir se iss Gazal ko padh kar magar aap apna kucch likhte to aur bhi accha lagta. aur haan jasei ki Yoindia ka rule hai .. Aap please NotMine likh diya kariye agar aap apna kudh ka likha post nahin karte to. aur haan yaqeen maniye jab aap kudh sochkar likhna shuru karenge to dhiree dhiree iss se bhi jiada accha likhange. 


HumTum   
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: January 29, 2009, 08:46:50 AM »
Eak Koshish hamari bhi humtum sahab tawajo chahonga janab !!

Dekh ke mere Janaze ko wo muskura rahi hai  Qadeer !!
Maine suncha bhi na tha ke meri mahobbath itni zalim hogi

Qadeer Toopchi

waah Qadeer Sahab .. kya khoob kha .. mazza aa gya. bahut acche... Kucch arz hai ....


Kucch aur bhi nikhar aayega teri Heena ka rang
Jab mere lahhu ki bhoonde ismein Shamil hongi!! 



HumTum
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2009, 09:25:15 AM »
Wah Wah kya kahene is kalaam ke janab bahoth qoob !! Aur humtum sahab app ke sher pe ajj shayari ka matlab hi rakh deta hon Tawajo chahonga aur ye kahena munsaib samjhonga ke ye eak nayab ashar hai mera !! agar ashar ke matlab tak pahonc gaye to nawaz dena "Humtum"sahab !!

Sher ,Shayari kya hai "Qadeer" Eak alfaz ka namona !
Ye hunar hai Samandar-a-jazbath ko "kuze" me band karna !!

Qadeer Toopchi
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2009, 09:38:15 AM »
waah waah waah .. Qadeer sahab....  kya kehne iss sher ke ...  Samander-e-Jazbaat ko Kuze mein band karna ... waah ... yeh hunar to khuda ne shayrooN ko baskha hi hai .... kucch arz hai .... Gour farmaiyega....


GumooN ne aakar jab mera Dil Chaak kar diya
Seena nikal kar apna AsharaaN mein bhar diya !! 


HumTum
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: January 29, 2009, 10:05:33 AM »
Wah wah lage rahiye HT and QT bada maza aa raha hain.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2009, 03:20:08 PM »
Shihab - Shukriya ... Usual Smile
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:16:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer