Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajaana Hoga

by Sonu on July 15, 2006, 04:10:16 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3050 times)
Sonu
Guest
Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajaana Hoga
 


Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajaana Hoga
Charaagh Bhuj Gaye Khud Ko Jalaana Hoga
   
Na Samajhna Keh Tumse Bicharh Ke Khush Hain
Humein Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
   
Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga
   
Waada Khilaafi Kar Ke Muskurate Hain Aap
Dekhna Ek Din Sanam Aapko Pachtaana Hoga
   
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaaungi
Thaam Ke Haath Mein Phool Tumko Aana Hoga
   
Abhi Se Na Kijiye TaQaaz-E-Masroofiyat Ke Aap
Abhi Uth-na Hai Janaaza Kaandha Tau Dena Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intezaar Aye Sanam
Umr Kat Chuki Ab Tau Tujhe aana Hoga.
note mine

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil ke gham aansuon mein dhalte hai by Pooja in Miscellaneous Shayri
Rehta aankhon mein by diajee in Miscellaneous Shayri
Aansuon Mein Na Dhoondo Hamein.... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
aankhon mein by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
HAMARAA IRADHA TO USKE AANSUON MEIN DOOBNE KA THHA by surindarn in Miscellaneous Shayri
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: July 15, 2006, 04:39:41 PM »
Marvalous  =D>
Logged
Sonu
Guest
«Reply #2 on: July 15, 2006, 04:41:46 PM »
thanks Gaurav....

Quote from: "badnaam_shayar"
Marvalous  =D>
Logged
Sonu
Guest
«Reply #3 on: July 15, 2006, 09:16:51 PM »
Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte


Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte


Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte


Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte


Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo
Jayen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte
Logged
roshni246
Guest
«Reply #4 on: July 15, 2006, 10:02:37 PM »
bohot khoob..! aapne bohot acha likha...!=D>


aaj asuoon ko ankhon main sajana hoga...
hume aaj khud tumse haath chudana hoga...

tu kya jaane mohobbat humari....
hume aaj isse khud se chupana hoga...

unko humse kitni shikayat thi...
yeh aaj unhe bhari mehfil ko sunana hoga...

sundhar sapne saja k humne apni zindagi guzari hai...
use aaj unhe haqiqat banana hoga....

chuti gayi ab to umeed ki ladiyan in haathon se...
unhe ab ake humari yaadon ko pirona hoga...

phir aya hai mausan tanhaii ka...
ab unhe yeh bezar tanhaii ko mitana hoga...


bohot mushkil lagta hai humara zindagi ki manzil palena...
ab unhe humara saath deke yeh safar guzarna hoga...


~rosh~
Logged
Sonu
Guest
«Reply #5 on: July 15, 2006, 10:10:48 PM »
Thanks Roshni..

Quote from: "roshni246"
bohot khoob..! aapne bohot acha likha...!=D>


aaj asuoon ko ankhon main sajana hoga...
hume aaj khud tumse haath chudana hoga...

tu kya jaane mohobbat humari....
hume aaj isse khud se chupana hoga...

unko humse kitni shikayat thi...
yeh aaj unhe bhari mehfil ko sunana hoga...

sundhar sapne saja k humne apni zindagi guzari hai...
use aaj unhe haqiqat banana hoga....

chuti gayi ab to umeed ki ladiyan in haathon se...
unhe ab ake humari yaadon ko pirona hoga...

phir aya hai mausan tanhaii ka...
ab unhe yeh bezar tanhaii ko mitana hoga...


bohot mushkil lagta hai humara zindagi ki manzil palena...
ab unhe humara saath deke yeh safar guzarna hoga...


~rosh~
Logged
Sonu
Guest
«Reply #6 on: July 15, 2006, 11:18:31 PM »
Ho sakta hai usne anjane mein hamein rula diya,
Unhone duniya ke kehne pe humko bhula diya,
Hum to waise bhi akele the,
Kya hua agar unhone ehsaas dila diya....
Logged
jalpari
Guest
«Reply #7 on: July 16, 2006, 03:34:09 AM »
nice poem Suno ji, lekin ye Aryaan pehle post kar chuke hain  Usual Smile

Logged
Sonu
Guest
«Reply #8 on: October 29, 2006, 04:37:19 AM »
jal pari ji hu sakta hia kerdeya hu per meyney end mey likha huya hai key not mine ...:D

phir bhi bataney ka shukriya...

 
Quote from: "jalpari"
nice poem Suno ji, lekin ye Aryaan pehle post kar chuke hain  Usual Smile

Logged
Sonu
Guest
«Reply #9 on: October 29, 2006, 04:39:29 AM »
Chale jaoge beshak merei zindagi se,
magar is dil se kis tarah jaoge,
ayegi jab meri yaad to aansu bahaoge,
chagoge mujhse milna par mil nahi paoge,
puchega koi mere baare me to, galti meri bataoge,
honge teri mehfil me sabhi,magar hume nahi paoge,
mehfil me rehkar b tanho ho jaoge,
sochoge jab mere baare me to phir pachtaoge,
meri nazar me hamesha bewafa kehlaoge
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: October 29, 2006, 07:19:18 AM »
wah... bahoot khoob sonu and roshini....
Logged
Sonu
Guest
«Reply #11 on: October 29, 2006, 04:00:14 PM »
Pooja sis shukriya.... :D

Quote from: "Pooja"
wah... bahoot khoob sonu and roshini....
Logged
Sonu
Guest
«Reply #12 on: October 29, 2006, 04:02:53 PM »
Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim hai
hum vo dard hain jo ankho se chalakte hain
Logged
Sonu
Guest
«Reply #13 on: November 18, 2006, 05:14:27 AM »
Dar dar bhatakte hai arman ki tarha,
Har koi milta hai anjaan ki tarha.
Iss duniya se khushi ki aas kya rakhn,
Yahan to gham bhi dete hai ehsaan ki tarha .
Logged
Sonu
Guest
«Reply #14 on: November 30, 2006, 05:30:48 AM »
Jinki yaad mein hum deewane ho gaye,
Wo hum hi se begaane ho gaye
Shayad unhe talash hai ab naye pyaar ki
Kyunki unki nazar mein hum purane ho gaye
 
Baaki kuch na raha zamaane mein
Jawani guzar rahi mehkhaane mein
Ab to karle mere pyaar pe yakeen
Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein
 
Tumhari har adaa ka kya jawab du
Apne pyaar ko kya upahaar du
Koi acha sa phool hota to maali se mangwati
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab du.
 
Waqt hume bhula chuka hai,
Mukaddar bhi na bhula de
Hum pyaar isliye nahi karte
Ki kahin hume phir se koi na rula de
 
Aankhon mein aansu aa jaate hain
Phir bhi labo pe hansi rakhni padti hai
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron
Jisse kartey hain useese chupani padti hai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:37:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer