Ab bhi baki hai

by thycreator on April 03, 2005, 06:40:20 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 24
Print
Author  (Read 14447 times)
thycreator
Guest
Unke laraztein hue hothon ki kasak ab bhi baki hai,
Jisse maine khuda mana wo jhalak ab bhi baki hai,
Uski aankhon se hi toh rang dunia ke sabhi dekhe,
Andhera hai magar aankhon mein chamak ab bhi baki hai,
Jin aankhon mein mohabbat ka samandar rehte tha kabhi,
Un aankhon mein mohabbat ki chalak ab bhi baki hai,
Jinke jism ko chu kar pighal hi jate the hum khud hi,
Iss dil mein unke aag ki wo dehek ab bhi baki hai,
Jinke saansoon ne mere jiwan ke har ek pal ko mehkaya,
Mere ssansoon mein unki wo mehek ab bhi baki hai,
Aaj mai maut ke aage baitha hu ussi muskan ke sath,
Unke muskan se chalti dil ki dhadak ab bhi baki hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baki... by neerajB in Shayri for Dard -e- Judai
Tere yaar ka jalna baki ha by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
baki ta sab kuch thik kurhe.. by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
~~~Yaad baki hai~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
Baki hai ? by medha_jain3 in Shairi - E - Zindagi
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: April 03, 2005, 06:51:18 PM »
Quote from: "thycreator"
Unke laraztein hue hothon ki kasak ab bhi baki hai,
Jisse maine khuda mana wo jhalak ab bhi baki hai,
Uski aankhon se hi toh rang dunia ke sabhi dekhe,
Andhera hai magar aankhon mein chamak ab bhi baki hai,
Jin aankhon mein mohabbat ka samandar rehte tha kabhi,
Un aankhon mein mohabbat ki chalak ab bhi baki hai,
Jinke jism ko chu kar pighal hi jate the hum khud hi,
Iss dil mein unke aag ki wo dehek ab bhi baki hai,
Jinke saansoon ne mere jiwan ke har ek pal ko mehkaya,
Mere ssansoon mein unki wo mehek ab bhi baki hai,
Aaj mai maut ke aage baitha hu ussi muskan ke sath,
Unke muskan se chalti dil ki dhadak ab bhi baki hai.

Bohat khoob thycreator....
Logged
thycreator
Guest
«Reply #2 on: April 03, 2005, 06:54:54 PM »
Quote from: "Aryaan"

Thanks Aaryan... Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #3 on: April 03, 2005, 07:16:07 PM »
wah thy ji...........kya baat hai.............................................. ................................................. .................................................
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: April 04, 2005, 06:50:03 AM »
Phir ek subah unki yad aayi hai,
Kuch nahi hai pas bas tanhai hai,
Kya karo dil bata in ujali kirno ka,
Mere sath mein jab na meri parchai hai.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: April 04, 2005, 10:46:51 AM »
Nice One thycreator   ................................................. ............
Logged
thycreator
Guest
«Reply #6 on: April 04, 2005, 10:48:45 AM »
Dil mera dhoondhta aaj bhi teri palkon ki chaon ko,
Jisme jeewan guzarenge hum uss sapno ke gaon ko,
Magar phir sochta hu kyu talaash hai mujhe unki,
Jab wo sathi nahi apna jiski jarurat thi un rahon ko.
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: April 04, 2005, 11:04:07 AM »
Quote from: "thycreator"
Dil mera dhoondhta aaj bhi teri palkon ki chaon ko,
Jisme jeewan guzarenge hum uss sapno ke gaon ko,
Magar phir sochta hu kyu talaash hai mujhe unki,
Jab wo sathi nahi apna jiski jarurat thi un rahon ko.

Bohot khoob Amit!!! its really very nice!!! all of them!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #8 on: April 04, 2005, 02:29:36 PM »
Thanx a lot talat ji.....apke liye,
Jisse apno mein chaha tha usse maine tujhme paya hai,
Jane kis liye khuda ne hame ye din dikhaya hai,
Magar gam phir bhi nahi koi mujhe, ek adad khushi hi hai,
Log khote hi khote hai, maine kho kar bhi paya hai.
Logged
thycreator
Guest
«Reply #9 on: April 04, 2005, 04:37:24 PM »
Kuch logon ke seene mein jane kyu, bas patthar ke dil hote hai,
Wo jashn manate hai jab bhi, hum khoon ke aansoo rote hai,
Unko na mile kuch bhi jiss se, wo kam wahi kar jate hai,
Wo pate toh hai kuch bhi nahi, bas hum apna sab khote hai..
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: April 04, 2005, 05:11:30 PM »
Quote from: "thycreator"
Thanx a lot talat ji.....apke liye,
Jisse apno mein chaha tha usse maine tujhme paya hai,
Jane kis liye khuda ne hame ye din dikhaya hai,
Magar gam phir bhi nahi koi mujhe, ek adad khushi hi hai,
Log khote hi khote hai, maine kho kar bhi paya hai.

its very nice !! Amit!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: April 04, 2005, 05:14:47 PM »
Quote from: "thycreator"
Kuch logon ke seene mein jane kyu, bas patthar ke dil hote hai,
Wo jashn manate hai jab bhi, hum khoon ke aansoo rote hai,
Unko na mile kuch bhi jiss se, wo kam wahi kar jate hai,
Wo pate toh hai kuch bhi nahi, bas hum apna sab khote hai..

kya majbooriyan hain kya batayen tumhe
is dil se magar na bhulate hain hum tumhe
jahan ki saari khushian tere qadmo tale hon
dil ke zakhmon ke sath jiye hana hai hume!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #12 on: April 05, 2005, 02:38:23 PM »
Bahut acche talat ji,
Kyu mayus ho itne, jahan mein gam kisse nahi,
Jo hans kar ke jiye magar, jeeta hai bas wahi,
Tum bhi tanha ho udhar, idhar hum bhi akele hai,
Kuch pal sath jo chal le toh bas khushiyon ke mele hai,
Gam ke aadhiyon mein bhi khushi ke deep jalte hai,
Agar saathi saccha ho, toh sahil khud hi milte hai...
Logged
pandit
Guest
«Reply #13 on: April 05, 2005, 02:50:21 PM »
wah bahut cacche thyji.............
ye sach hai ki saathi ho saccha to safar hota hai suhana,
parwah nahi karte chahe jitna bhi gum de ye jamana.
Logged
thycreator
Guest
«Reply #14 on: April 05, 2005, 02:53:35 PM »
Aaj phir dil ki ye gujarish hai ki kuch tumhare nazar karu,
Jisne mere iss dil ko toda hai phir usspe kuch lamhe basar karu,
Kalam bhi rukti nahi dekho, wo khud hi chalti jati hai,
Pyar ke aise aalam mein kaho kaise jeewan guzar karu.
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 24
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 05:52:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer