Ab bhi baki hai

by thycreator on April 03, 2005, 06:40:20 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 24
Print
Author  (Read 14445 times)
thycreator
Guest
«Reply #150 on: April 13, 2005, 05:05:24 PM »
Quote from: "Talat"
shayad le jaayegi waqt ki hawa uda ke un phhoolon ko
phir bhi beete hue pal ki khushbu bikhar jaayegi fiza me !!!


Wah talat ji.........ur worth 10,000 posts....
Wo aaj humse phoolon ke khusbu ki bat karte hai,
Koi unhe ye batlaye ki unki mehek kitni nasheeli hai....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baki... by neerajB in Shayri for Dard -e- Judai
Tere yaar ka jalna baki ha by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
baki ta sab kuch thik kurhe.. by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
~~~Yaad baki hai~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
Baki hai ? by medha_jain3 in Shairi - E - Zindagi
Talat
Guest
«Reply #151 on: April 13, 2005, 05:52:38 PM »
Quote from: "thycreator"

 Wah Talat Ji,
Kyu kehti ho aap hum aap se naraz ho gaye,
Aap se khafa hokar hum kahan jayenge,
Hum toh apke pyaar ke dor se bandhe hai,
Jab bhi pukaroge, hum kheeche chale aayenge.


Jisne kaanto pe hi chala ho sada
Har qadam pe dil saham jaata hai
Har pal dhadakta hai ye naadan dil
Kahin koi saath na chorh jaata ho!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #152 on: April 13, 2005, 05:55:20 PM »
Quote from: "thycreator"

Wah Talat ji..........
Waqt kab kissi ke ishare ka gulam hua hai,
Wo apne gati se chala tha aur chala hai,
Kisse ke milne ke waqt ki bat na karo dost,
Yahan toh khuda bhi hame bewaqt mila hai..


Waqt ke sitam hote hain hazaaron kis kis ka karen byaan
Phir bhi milaya hai tujh se, hum kahenge use maharbaan !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #153 on: April 13, 2005, 05:57:07 PM »
Quote from: "thycreator"

Wah Talat ji,
Jab sath ho humdum toh phir palon ka kya hisab,
hame toh uss waqt waqt bhi tehra hua lagta hai.........


Har lamha wahin ruk jaata hai
Jab saamne tu mere aa jata hai
Hosh bhula deti hoon main
Bas tu hi tu reh jaata hai !!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #154 on: April 13, 2005, 05:58:18 PM »
Quote from: "thycreator"

Wah talat ji.........ur worth 10,000 posts....
Wo aaj humse phoolon ke khusbu ki bat karte hai,
Koi unhe ye batlaye ki unki mehek kitni nasheeli hai....


Thanks Amit :D and good ones all!!!

Koi unse keh de na yoon taareef kiya karen
Sharm se kahin rang ye gulnaar na ho jaaye !!!!!!!!
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #155 on: April 13, 2005, 06:03:35 PM »
dil me unki vo kasak ab bhi baki hai
tan me vo phoolo ki mahek ab bhi baki hai
kaun kahta hai bhulna aasan hai dosto
unke aane ki aas ab bhi baki hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #156 on: April 13, 2005, 06:09:34 PM »
Quote from: "amit_is_always_cool"

dil me unki vo kasak ab bhi baki hai
tan me vo phoolo ki mahek ab bhi baki hai
kaun kahta hai bhulna aasan hai dosto
unke aane ki aas ab bhi baki hai...


Nice one Amit!!

wo aayen na aayen yaadain rehi hai saath saath
moti ban ke bas gayi dil me unki har ek baat!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #157 on: April 13, 2005, 06:15:17 PM »
unhi motiyooN ko aksar dekhta hoon ankhooN mein
apni to faqt AnssoN mein guzaar jati hai har raat !!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #158 on: April 14, 2005, 03:54:24 AM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"

 Wah Talat Ji,
Kyu kehti ho aap hum aap se naraz ho gaye,
Aap se khafa hokar hum kahan jayenge,
Hum toh apke pyaar ke dor se bandhe hai,
Jab bhi pukaroge, hum kheeche chale aayenge.


Jisne kaanto pe hi chala ho sada
Har qadam pe dil saham jaata hai
Har pal dhadakta hai ye naadan dil
Kahin koi saath na chorh jaata ho!!!


Jisne kaanto pe sada se hi chalna seekha,
Usko phoolon ke mehek ki jarurat hogi,
Har dam koi dokh mein hi kyu bhala jiye,
Aisa karna toh insaaniyat pe jyadti hogi..
Logged
thycreator
Guest
«Reply #159 on: April 14, 2005, 03:56:52 AM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"

Wah Talat ji,
Jab sath ho humdum toh phir palon ka kya hisab,
hame toh uss waqt waqt bhi tehra hua lagta hai.........


Har lamha wahin ruk jaata hai
Jab saamne tu mere aa jata hai
Hosh bhula deti hoon main
Bas tu hi tu reh jaata hai !!!!!


Teri Aankhon ke samandar mein doob kar bhi dekha,
Wo aisa nasha hai jo jeene nahi marne deta hai...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #160 on: April 14, 2005, 03:58:58 AM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"

Wah talat ji.........ur worth 10,000 posts....
Wo aaj humse phoolon ke khusbu ki bat karte hai,
Koi unhe ye batlaye ki unki mehek kitni nasheeli hai....


Thanks Amit :D and good ones all!!!

Koi unse keh de na yoon taareef kiya karen
Sharm se kahin rang ye gulnaar na ho jaaye !!!!!!!!


Tumhari ye sharm o haya hi toh dil lubhati hai,
Koi samjhaye ladkiyon ko waqt badla nahi hai....
Logged
Talat
Guest
«Reply #161 on: April 14, 2005, 11:30:36 AM »
Quote from: "HumTum"
unhi motiyooN ko aksar dekhta hoon ankhooN mein
apni to faqt AnssoN mein guzaar jati hai har raat !!


aansuon se bhigi palkain tere intezaar me rehti hain
kitne pal kitni sadian biteen kuch khabar hume nahin!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #162 on: April 14, 2005, 11:31:51 AM »
Quote from: "thycreator"

Jisne kaanto pe sada se hi chalna seekha,
Usko phoolon ke mehek ki jarurat hogi,
Har dam koi dokh mein hi kyu bhala jiye,
Aisa karna toh insaaniyat pe jyadti hogi..


Har kisi ko mayaasar nahin phoolon ki rehguzar
Hum khush hain kisi ne kaante to bichaaye hain !!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #163 on: April 14, 2005, 11:33:07 AM »
Quote from: "thycreator"

Teri Aankhon ke samandar mein doob kar bhi dekha,
Wo aisa nasha hai jo jeene nahi marne deta hai...


Ankhon me basa hai koi phir kyun door lage hai
Kyun apni wafaaon se hume majboor lage hai !!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #164 on: April 14, 2005, 11:35:00 AM »
Quote from: "thycreator"

Tumhari ye sharm o haya hi toh dil lubhati hai,
Koi samjhaye ladkiyon ko waqt badla nahi hai....


Sharm-o-haya se saja hai paikar-e-niswaan
Chalan ye magar aaj nazar aata nahin hai !!!

(Paikar = sarapa, Nuswaan = ladki)
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 02:32:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer