Ab bhi baki hai

by thycreator on April 03, 2005, 06:40:20 PM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 24
Print
Author  (Read 14322 times)
Talat
Guest
«Reply #165 on: April 16, 2005, 07:24:52 AM »
kabhi kitabon main phool rakhna
kabhi darakhton pe naam likhna
humen bhi yaad hai wo ab tak
nazar se harf-e-salam likhna
woh chaand chehre woh behki batain
sulagte din the mehakti ratain
woh chote chote kagazon par
mohabbaton ke payaam likhna
gulaab chehron se dil lagaana
woh chupke chupke nazar milaana
woh aarzuon ke khawab bunna
woh qissa-e-natamam likhna
mere nagar ki haseen fizaon
kahin jo un ke nishaan pao
tu puchna ye kahan base ho
kahan hai un ka qayaam?....  likhna!!

(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baki... by neerajB in Shayri for Dard -e- Judai
Tere yaar ka jalna baki ha by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
baki ta sab kuch thik kurhe.. by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
~~~Yaad baki hai~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
Baki hai ? by medha_jain3 in Shairi - E - Zindagi
waheed_rose2004
Guest
«Reply #166 on: April 16, 2005, 07:46:40 AM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"

Tumhari ye sharm o haya hi toh dil lubhati hai,
Koi samjhaye ladkiyon ko waqt badla nahi hai....


Sharm-o-haya se saja hai paikar-e-niswaan
Chalan ye magar aaj nazar aata nahin hai !!!

(Paikar = sarapa, Nuswaan = ladki)


excellent..............thy................talat.. .........

Yeh Teray Husn Ka Aaalam Bhi Kaisa Aaalam Hai
Meri Nazar Mein Khudayee Bhi Aaj Kum  Ha..............nm
Logged
Talat
Guest
«Reply #167 on: April 16, 2005, 02:39:23 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"

Yeh Teray Husn Ka Aaalam Bhi Kaisa Aaalam Hai
Meri Nazar Mein Khudayee Bhi Aaj Kum  Ha..............nm


Thanks Waheed happy9 n Good one!!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #168 on: April 16, 2005, 04:10:01 PM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "HumTum"
unhi motiyooN ko aksar dekhta hoon ankhooN mein
apni to faqt AnssoN mein guzaar jati hai har raat !!


aansuon se bhigi palkain tere intezaar me rehti hain
kitne pal kitni sadian biteen kuch khabar hume nahin!!!


wah talat ji.......nice one...
Hai hosh kab raha muhabbat karne wale ko waqt ka,
Ye toh pak dil hai jo waqt ki parwah bhi nahi karte...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #169 on: April 16, 2005, 04:12:45 PM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"

Jisne kaanto pe sada se hi chalna seekha,
Usko phoolon ke mehek ki jarurat hogi,
Har dam koi dokh mein hi kyu bhala jiye,
Aisa karna toh insaaniyat pe jyadti hogi..


Har kisi ko mayaasar nahin phoolon ki rehguzar
Hum khush hain kisi ne kaante to bichaaye hain !!!!


wah talat ji.......
Yahi toh gam hai ki wo kanton ko bhi pakar khush hai,
Koi toh ho jo inn bewafa dilon ko bhi sabak sikhaye.....
Logged
thycreator
Guest
«Reply #170 on: April 16, 2005, 04:18:38 PM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"

Teri Aankhon ke samandar mein doob kar bhi dekha,
Wo aisa nasha hai jo jeene nahi marne deta hai...


Ankhon me basa hai koi phir kyun door lage hai
Kyun apni wafaaon se hume majboor lage hai !!!


Wo jo aankhon mein basa hai wo hai tere pas kahi,
Ye bat aur hai ki tujhko ye ehsas nahi.......... :wink:
Logged
Talat
Guest
«Reply #171 on: April 16, 2005, 04:21:00 PM »
Quote from: "thycreator"

wah talat ji.......nice one...
Hai hosh kab raha muhabbat karne wale ko waqt ka,
Ye toh pak dil hai jo waqt ki parwah bhi nahi karte...


Thanks ji!!!

Hosh humne bhulaya hai mohabbat me teri
nahin khabar kaise din raat guzarte ab hain!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #172 on: April 16, 2005, 04:22:15 PM »
Quote from: "thycreator"

wah talat ji.......
Yahi toh gam hai ki wo kanton ko bhi pakar khush hai,
Koi toh ho jo inn bewafa dilon ko bhi sabak sikhaye.....


Thanks Amit!!

humne maana bichaaye the usne kaante raahon main
uski bewafai main bhi dikhi thi wafa ki jhalak hum ko!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #173 on: April 16, 2005, 04:23:23 PM »
Quote from: "thycreator"

Wo jo aankhon mein basa hai wo hai tere pas kahi,
Ye bat aur hai ki tujhko ye ehsas nahi.......... :wink:


wo jo paas hai phir bhi bohot door hai humse
kyun waqt ne khela hai ye khel humare saath!!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #174 on: April 16, 2005, 04:24:28 PM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"

wah talat ji.......nice one...
Hai hosh kab raha muhabbat karne wale ko waqt ka,
Ye toh pak dil hai jo waqt ki parwah bhi nahi karte...


Thanks ji!!!

Hosh humne bhulaya hai mohabbat me teri
nahin khabar kaise din raat guzarte ab hain!!!!


wah ji wah,
Gar khabar hi rahe humko iss zamane ki humdum,
Toh kya khak hai muhabbat ye hamari tumhari... :wink:
Logged
Talat
Guest
«Reply #175 on: April 16, 2005, 04:26:34 PM »
Thanks happy9

Khabar hai angaare hain phoolon ke daaman me
Phir bhi dekho humne haath wahin barhaya hai !!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #176 on: April 16, 2005, 04:31:31 PM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"

Wo jo aankhon mein basa hai wo hai tere pas kahi,
Ye bat aur hai ki tujhko ye ehsas nahi.......... :wink:


wo jo paas hai phir bhi bohot door hai humse
kyun waqt ne khela hai ye khel humare saath!!!!


waqt ke khel nirale hai koi samjhe toh samjhe,
kyu bhulte hai usne hi toh humko milaya hai..
Logged
pandit
Guest
«Reply #177 on: April 16, 2005, 04:36:38 PM »
wah thy...................................
nice conversation..................................... ...........
talat.............................
Logged
Talat
Guest
«Reply #178 on: April 16, 2005, 04:37:01 PM »
Quote from: "thycreator"

waqt ke khel nirale hai koi samjhe toh samjhe,
kyu bhulte hai usne hi toh humko milaya hai..


hazaar ghum diye hain is waqt ne hum ko
ek tohfa bhi daaman main mere daal diya hai!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #179 on: April 16, 2005, 05:57:54 PM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"

Tumhari ye sharm o haya hi toh dil lubhati hai,
Koi samjhaye ladkiyon ko waqt badla nahi hai....


Sharm-o-haya se saja hai paikar-e-niswaan
Chalan ye magar aaj nazar aata nahin hai !!!

(Paikar = sarapa, Nuswaan = ladki)


sach kaha hai apne talat ji,
jane kaha gayi wo sharm o haya ladkiyon ki,
wo jamana bhi kya tha jo unki hansi se phool khilte the...
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 08:28:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer