Ab bhi baki hai

by thycreator on April 03, 2005, 06:40:20 PM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 24
Print
Author  (Read 14323 times)
Talat
Guest
«Reply #180 on: April 16, 2005, 05:59:29 PM »
Quote from: "thycreator"

sach kaha hai apne talat ji,
jane kaha gayi wo sharm o haya ladkiyon ki,
wo jamana bhi kya tha jo unki hansi se phool khilte the...


phool aaj bhi khilte nahin par sar-e-raah wo girte hain
gulon ki raunaq gulshan me hai koi keh de naadano se
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baki... by neerajB in Shayri for Dard -e- Judai
Tere yaar ka jalna baki ha by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
baki ta sab kuch thik kurhe.. by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
~~~Yaad baki hai~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
Baki hai ? by medha_jain3 in Shairi - E - Zindagi
thycreator
Guest
«Reply #181 on: April 16, 2005, 06:02:06 PM »
wah talat ji........khub kaha....
Ab toh gulshan ki raunak bhi jane si lagi hai,
sari dunia hi mere jeewan si veeran hui hai..
Logged
pandit
Guest
«Reply #182 on: April 16, 2005, 06:02:47 PM »
ab to phoolo me bhi kaate humne dekhe hai,
kaato ko bewafao se bhi wafa karte dekha hai.
Logged
thycreator
Guest
«Reply #183 on: April 16, 2005, 06:11:04 PM »
Quote from: "Talat"
kabhi kitabon main phool rakhna
kabhi darakhton pe naam likhna
humen bhi yaad hai wo ab tak
nazar se harf-e-salam likhna
woh chaand chehre woh behki batain
sulagte din the mehakti ratain
woh chote chote kagazon par
mohabbaton ke payaam likhna
gulaab chehron se dil lagaana
woh chupke chupke nazar milaana
woh aarzuon ke khawab bunna
woh qissa-e-natamam likhna
mere nagar ki haseen fizaon
kahin jo un ke nishaan pao
tu puchna ye kahan base ho
kahan hai un ka qayaam?....  likhna!!

(NM)


wah talat ji,
Tere har labz mein wo pyar wo nashe ki kasak hai,
Har ek shabd tera dil mein ek nashtar chubhota hai...
Logged
pandit
Guest
«Reply #184 on: April 16, 2005, 06:14:59 PM »
gud thy,......................................................................................................................
Logged
thycreator
Guest
«Reply #185 on: April 16, 2005, 06:21:00 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"

Tumhari ye sharm o haya hi toh dil lubhati hai,
Koi samjhaye ladkiyon ko waqt badla nahi hai....


Sharm-o-haya se saja hai paikar-e-niswaan
Chalan ye magar aaj nazar aata nahin hai !!!

(Paikar = sarapa, Nuswaan = ladki)


excellent..............thy................talat.. .........

Yeh Teray Husn Ka Aaalam Bhi Kaisa Aaalam Hai
Meri Nazar Mein Khudayee Bhi Aaj Kum  Ha..............nm


thanx waheed bhai n gud one bro....
Mere mehboob ki toh har ada hi ek najakat ka aaina hai,
Pareshan hai dil kaise uske daman ko sambhale hum...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #186 on: April 16, 2005, 06:21:37 PM »
Quote from: "pandit"
gud thy,......................................................................................................................


Thanx pandit ji.........kuch sunaiye aap bhi tadakta bhadakta sa...;-)
Logged
pandit
Guest
«Reply #187 on: April 16, 2005, 06:24:28 PM »
thy...........
saari dhadkane jawab de rahi hai,
ki jo deedar e yaar nahi hai...........................
marjaana kabool hai ki,
ye judai bardaasht nahi hai................
Logged
thycreator
Guest
«Reply #188 on: April 16, 2005, 06:28:48 PM »
wah wah.............
koi bat nahi apko wo dildar milega,
agar chahat hai sacchi toh wo pyar milega,
Par bach ke rahiye aap phir bhi dunia se,
Suna hai uske papa sa sasur na milega...;-)
Logged
Talat
Guest
«Reply #189 on: April 17, 2005, 07:43:56 AM »
Quote from: "thycreator"
wah talat ji........khub kaha....
Ab toh gulshan ki raunak bhi jane si lagi hai,
sari dunia hi mere jeewan si veeran hui hai..


gulshan na veeran tha na hoga kabhi dost
ye jo khizaan hai wo to apni ankhon me hai!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #190 on: April 17, 2005, 07:46:43 AM »
Quote from: "thycreator"

wah talat ji,
Tere har labz mein wo pyar wo nashe ki kasak hai,
Har ek shabd tera dil mein ek nashtar chubhota hai...


thanks Amit!!!

Yeh lafza nahin hain, guzre dino ki khushbu hain
wo phool murjha gaye par mahak ab tak baaqi hai!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #191 on: April 17, 2005, 08:50:54 AM »
Wah Talat ji.........bahut khoob....
phool murjaye hai aaj toh kal baharein bhi aayengi,
Apne dil se uss khusbu ko kabhi jane nahi dena...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #192 on: April 17, 2005, 08:53:40 AM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "thycreator"
wah talat ji........khub kaha....
Ab toh gulshan ki raunak bhi jane si lagi hai,
sari dunia hi mere jeewan si veeran hui hai..


gulshan na veeran tha na hoga kabhi dost
ye jo khizaan hai wo to apni ankhon me hai!!!!!


Wah talat ji..........bahut khoob,
Ye toh sach hai ki hamari nigahon mein gam hi gam hai,
Par kya kare ki iss dunia ne hi hame tanha choda hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #193 on: April 17, 2005, 09:11:58 AM »
Quote from: "thycreator"
Wah Talat ji.........bahut khoob....
phool murjaye hai aaj toh kal baharein bhi aayengi,
Apne dil se uss khusbu ko kabhi jane nahi dena...


Thanks......good one......

Phool khilte nahin hai kabhi dil ki ujdi zameen par
Baharain bhi aati hain phir khizaan ka roop le kar
Logged
Talat
Guest
«Reply #194 on: April 17, 2005, 09:13:29 AM »
Quote from: "thycreator"

Wah talat ji..........bahut khoob,
Ye toh sach hai ki hamari nigahon mein gam hi gam hai,
Par kya kare ki iss dunia ne hi hame tanha choda hai...


Thanks Amit..........Nice

Is dil main ghum hain aur aankhain nam hain meri
Maine dekha ki zamana khush the mere haalat pe!!
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 09:04:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer