Ab humko bhool Jaaiye... (Shikha)

by Shikha12 on November 29, 2007, 12:49:13 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2594 times)
versaygulf
Guest
«Reply #15 on: December 10, 2007, 07:47:13 PM »
Tum bin kahi karaar na aaye to kya karoon,
Har pal tumhari yaad sataye to kya karoon,
Tum ko to zid yahi hai, bhula du tumhe,magar
Dil se tumhari yaad na jaye to kya karoon.

Surat mai apni bhul gaya tum ko dekh kar,
Har aaine me tu nazar aaye to kya karoon,
Mere liye sharab ka chuna haraam hai,
Lekin teri nigahein pilaye to kya karoon.
 
                                JAKIR KHAN
                                 (GUMSUM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ham to, goyaa, cheez hee woh hain, ki, deykhey jaaiye! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zaraa paas aankhoun key aa jaaiye! by abdbundeli in Ghazals
{Tum Humko Bhool Na Paaoge} by angel4u in Shayri-E-Dard
Kyun Bhool Gaye Humko by suman59 in Share Poetry You Like
bhool gaya hai humko (nam) by poonamA in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #16 on: December 11, 2007, 04:43:23 PM »
Nice One,.
And Shyukriya Talat Ji,.
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #17 on: December 13, 2007, 11:47:56 AM »
Main kaise bhoolun tumko, mujhe itna bata do,
Ek kafan la ke usey mere dil pe udhaa do…
Ab khatam kar do silsila yeh chaahaton ka,
Jeene ki chaah ko bhi mere, dil se mita do…

Is kadar naa meherbaan ho kar dikhaao tum,
Chhoti si kisi baat par mujhse rooth jao tum…
Meri neendon ko meri aankhon se chura lo,
Kismat ke aansu sab meri palkon pe saja do...

Teri duniya mein rehein khushion ke manzar,
Bahaarein barsaaye hazaaron phool tum par…
Sirhane jo padi rehti hai, kitaab uthaa lo,
Simti hui meri gazal apne hothon se laga lo...

Bhool jaana tum ko  humse pyaar tha kabhi,
Khushion ki tere jeevan mein na ho koi kami…
Mujh par karo koi zulm, aaj mujhko rula do,
Aisa zakhm do ki zindagi bhar ko sula do...






Mein ranja na tha tu heer na thi
Hum apna pyaar nibaah na sake
Yun pyaar ke khwaab bahut dekhe
Tabiir magar hum  paa na sake !!

bahut acha likha hai Shikha ji - as usaual.


Bhul jana tumko, hamare bas ki baat nahin
Ik naam hai tera yaad, baaqi kuch yaad nahin

Mein kaseey zahen se teri tasweer hatta du ?
Hakikat hai meri zindgi ki, koi khwaab nahin

Hairaat se dekhte hai log, jha bhi jata hoon
Mein woh sawaal hoon ke, jiska koi jawab nahin !!





Logged
Shikha12
Guest
«Reply #18 on: December 14, 2007, 10:25:19 AM »
Nice One Shikha Sis,.
Niraj Ji,.
Khushboo Ji,.
Yunhi Likhte Rahiye,.


Thanks Azeem.. Usual Smile

Khud Ki Pehchaan Bhoolaa Di Humne,.
Kabhi Tumko Na Bhool Paaye Hum,.

Phool Bichaaye The Raahon Mein Aapki,.
Aapki Khateer Har Ek Se Chott Khaaye Hum,.

Ye Kaise Keh Ke Bhool Jaao Hume,.
Kya Itni Hi Jagaah aapke Dil Me Banaa Paaye Hum,.

_______________________________-Jaanasheen-




Very Very Nice... Usual Smile

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #19 on: December 14, 2007, 10:31:02 AM »

Beautiful Shikha.............!!!

Nice ones by Niraj. Muskan and Azeem !

Thanks a lot Talat... Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #20 on: December 14, 2007, 10:33:32 AM »
Hey Shikha,

One can die upon this kind of shayari and I may be one of them, but jeete hain kisike liye, mar gaye to kya bacha....kuchh nahi bas khaak.

Cheers!


I am really out of words..  icon_silent And I am so glad that you liked my work...  Embarrased

Thanks a lot for your appreciation Tinda... That were really very warm words.. Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #21 on: December 14, 2007, 10:36:06 AM »
all i can say here is that shikha u have written something which really touches a person's heart..great one
really nice one niraj..


Thanks a lot Shona.. Usual Smile It feels good, that you all  liked it so much.

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #22 on: December 14, 2007, 10:37:51 AM »
Tum bin kahi karaar na aaye to kya karoon,
Har pal tumhari yaad sataye to kya karoon,
Tum ko to zid yahi hai, bhula du tumhe,magar
Dil se tumhari yaad na jaye to kya karoon.

Surat mai apni bhul gaya tum ko dekh kar,
Har aaine me tu nazar aaye to kya karoon,
Mere liye sharab ka chuna haraam hai,
Lekin teri nigahein pilaye to kya karoon.
 
                                JAKIR KHAN
                                 (GUMSUM)


Very Nice Sharing Versaygulf... Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #23 on: December 14, 2007, 10:53:04 AM »

Mein ranja na tha tu heer na thi
Hum apna pyaar nibaah na sake
Yun pyaar ke khwaab bahut dekhe
Tabiir magar hum  paa na sake !!

bahut acha likha hai Shikha ji - as usaual.


Bhul jana tumko, hamare bas ki baat nahin
Ik naam hai tera yaad, baaqi kuch yaad nahin

Mein kaseey zahen se teri tasweer hatta du ?
Hakikat hai meri zindgi ki, koi khwaab nahin

Hairaat se dekhte hai log, jha bhi jata hoon
Mein woh sawaal hoon ke, jiska koi jawab nahin !!



Waah.. Bahut Khoob... Very Nice Reply Humtum.. Usual Smile



Haqiqat humko zindagi ki bataaya na karo,
Yaadon ka diya baar baar jalaaya na karo!

Hum la-jawaab se hai, nigaahon ki maar se,
Sare-aam aise sawaalon ko uthaaya na karo!

Yaad mein humari, kyon bheegi hai palkein,
In par tum ashkon ka bojh dhaaya na karo!

Humko zindagi mein jo laaoge to pachhtaoge,
Apni zindagi pe aisa zulm, khudaaya na karo!!!

Logged
mask
Guest
«Reply #24 on: December 14, 2007, 10:59:17 AM »
awesome shikha ji..
very nice
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #25 on: December 14, 2007, 11:01:25 AM »
Thanks so much... Mask.. Usual Smile
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #26 on: December 14, 2007, 12:07:04 PM »
Ishq pe zor nahin, hai yeh woh aatish "Ghalib"
Jo lagaye na lage, aur bujaye na bane !!

waah waah .... bahut achche Shikha ji!!

Ae kash ke mujhe apne dil pe ikhtiyaar hota
Na dil tum pe aa jata, na mujh ko pyaar hota

Ankhoon mein agar teri tasweer na uthrati to
Na palke bheegti, Na ankhon mein intzaar hota

Tum bhi agar ishq mein thodi si zu'rraat dhikahti
Na mein yun baadnaam hota, Ns sharaamsaar hota

Agar hote na aap jaseey ashiq to "HumTum" Ji
Muhoobat bazaron mein bikti, ishq ka karobaar hota !!















Logged
Shikha12
Guest
«Reply #27 on: December 14, 2007, 12:32:16 PM »
Excellent Reply HumTum (Ji).. Usual Smile


Ek chhoti si Koshish :



Apni muhabbat par itna gumaan na kariye,
Humari majbooriyon ko badnaam na kariye!

Hai haal kya tumhara, Yeh dil sab jaanta hai,
Aap bhi humare dil par koi ilzaam na kariye!!

Zur'rat to hum kar de, lekin kahin suna hai,
Jo kisi ka dil dukhaaye, woh kaam na kariye!!

Tum par hai naaz humko, Hai aitbaar tumhara,
Humare ikhtiyaar ka, yun katal-e-aam na kariye!!!  Usual Smile


Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #28 on: December 17, 2007, 03:22:40 PM »
Haye ! ke uss bewaffa ne bewaffai chood di
Kabr par aaya meri mujhko mita dene ke baad !!

Bahut achche Shikha ji …..

Wasta apni majbooriyooN ka khudaya na dijiye
Karte ho muhhobat to phir be-fikr kiya kijiye

Yeh kya ke pehle kar dena kissi ke dil ko barbad
Aur kehna ke, Haye ! mujhe koi ilzaam na dijiye?

Logo se kahi aksaar tumne, logo se suni aksaar
Kabhi humse kha kijiye kabhi hamari suna kijiye

Zakham Kitne aap ki chahat se mile hai mujhko
Sochta hoon ke ab khu aapse  magar Jane dijiye !!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: December 18, 2007, 12:45:30 PM »
Nice One Hum Tum Ji,.
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:57:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer