Abhi woh dard baqi hai...

by diya786 on May 29, 2008, 10:16:54 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2090 times)
diya786
Guest
Abhi woh dard baqi hai

agarche waqt marham hai

magar kuch waqt lagta hai

kisi ko bhool janey mein

dobara dil basaney mein

abhi kuch waqt lagna hai

abhi woh dard baqi hai

mein kaise naii ulfat mein

apni zaat ko gum kar doon

ke mere jism-o-wajdaan mein

abhi woh fard baqi hai

abhi us shakhs ki mujh per

nigah-e-sard baqi hai

abhi to ishq ke raston ki

mujh per gard baqi hai

abhi woh dard baqi hai ...  (NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Abhi Baqi Hai by Sukhijamona in SMS , mobile & JOKES
Mujhay kisi aur ka honay mei kuch rasomat abhi bhi baqi hai by SUMBUL QAISER in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai by imtiaz096 in Share: Poetry of Pain
Bachpana shayad abhi baqi hai ! by shara63 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
ABHI RAAT BAQI HAI...SOUDAGAR by soudagar in Miscellaneous Shayri
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: May 29, 2008, 06:30:18 PM »
Abhi woh dard baqi hai

agarche waqt marham hai

magar kuch waqt lagta hai

kisi ko bhool janey mein

dobara dil basaney mein

abhi kuch waqt lagna hai

abhi woh dard baqi hai

mein kaise naii ulfat mein

apni zaat ko gum kar doon

ke mere jism-o-wajdaan mein

abhi woh fard baqi hai

abhi us shakhs ki mujh per

nigah-e-sard baqi hai

abhi to ishq ke raston ki

mujh per gard baqi hai

abhi woh dard baqi hai ...  (NM)


Bahut Khoob!! thanx for sharing diya..
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #2 on: May 29, 2008, 06:40:59 PM »
Bohot umda nazm he...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: May 30, 2008, 02:17:56 PM »
 

Quote:
'Abhi woh dard baqi hai

 agarche waqt marham hai

 magar kuch waqt lagta hai

 kisi ko bhool janey mein'

      Muhturma diya786 ji,
     Bahut hi badhiyaa likhaa hai aapney!
     Bahut hi kuchh kuh diyaa hai aapney!
     Waqt bhi mushkil sey bhartaa hai woh jukhm,
     Jigar mein apney liyaa jo aapney!!
                       - abd bundeli
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: May 30, 2008, 02:22:25 PM »
good sharing Diya!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 30, 2008, 02:23:32 PM »
Nice Sharing Diya !
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #6 on: May 31, 2008, 05:27:48 AM »
nice shayring diya

mujhe abi dafnao na yaaron
kisi k aane ki umeed baqi hai
saansein ruk gayi to kya
ruh mei to uska pyaar baaqi hai
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: June 02, 2008, 06:43:59 AM »
THANK U SO MUCH KHWAISHJI, CELMIRAJI, ABADSAHAB, SAYYIDSAHAB, POOJAJI AND KAUSHIKJI FOR APPRECIATING MY WORK 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 24, 2008, 02:49:53 PM »
Nice One Diya ji,.
p/b]
Logged
diya786
Guest
«Reply #9 on: July 01, 2008, 11:45:28 AM »
thanks jaanasheenji
aapko yeh kalam pasand aaya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: July 02, 2008, 12:53:17 PM »
Sharminda Kyun Karte Ho,.
Kalaam To aapne Ba Khoob Bahoot Hi Badiya Likha Hai,.
Yunhi Likhte Rahiye,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: July 02, 2008, 12:54:47 PM »
Raaste Khud Hi Tabhaai ke Nikaale Humne,.
Kar Diya Dil Kisi Patthar ke Hawaale Humne,.

Humko Maloom Nahi Kya Shai hai Mohabbat Doston,.
Apna Ghar Phoonk Ke Dekhe hain ujaale Humne,.

_________________________-Jaanasheen-
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: July 02, 2008, 02:52:56 PM »
'Woh naheen hai to kisee kaam ki naheen duniyaa;
 Kaisey aabaad raheyga 'abd' binaa unkey?
 Jab bhi woh aayengey, fir ghar mein ujaalaa hogaa;
 Kuchh aur deir hi rahnaa hai ab binaa unkey!'
         Jaanasheen! Aapkey 'woh' jaldee hi aapkaa 'ujrhaa' ghar bassaa deyn; yahee meyree iltija hai! Subhaanallah!
Logged
azzi
Guest
«Reply #13 on: July 02, 2008, 04:08:32 PM »
dear bahooth khoob,fikr math karo o zaroo aayegi,agar o nahi ayegito koi aur aajayegi,lekin koi na koi jaldi ayegi..........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 04, 2008, 10:10:20 AM »
Shukriya Abd Ji,.
Aameen,.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:14:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer