achchha lagta hai .... zarraa

by zarraa on April 28, 2013, 02:35:15 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1516 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
dostoN ... aadaab ... kaafee waqt ke baad is bazm mein haaziri de raha hooN .... bas dil dimaag aur kalam ki zang saaf kar ke kuchchh likhne ki jurrat ki hai ... so achchha bura jaisa bhi hai apke supurd kar raha hoon ....


sadaayeiN sun’na khaamoshi ki shab-bhar achchha lagta hai
n kuchh ho saamne takna wo manzar achchha lagta hai
(sadaayeiN = voices/calling)


lage hai faasle se to darakshaaN hi har-ik bastee
n jab tak paas se dekho to har ghar achchha lagta hai
(darakshaaN = bright / illuminated)


bhare rehte the jinke haath donoN guncha-o-gul se
unheiN karna jama ab eeNt-patthar achchha lagta hai
(guncha = flower buds, gul=flowers)


saza gustaakhiyoN ki jurm se barhkar mila karteeN
magar rindoN ki waah-waahee bhi sun kar achchha lagta hai
(rindoN = carefree/drunk)


rawaaN aisa ki afsurda rahe zindaan-e-tan meiN ye
lahoo ko mere nazzara-e-khanjar achchha lagta hai
(rawaaN = flowing, afsurda = depressed, zindaan = prison)


shahaadat maghala mera naheeN yaaroN bas itna hai
jhuka ho is'se zyada to kata sar achchha lagta hai
(shahaadat = martyrdom, mashghala = occupation)


wafa wo garm kamli jis ko mausam ke badalne par
mile hai orh raahat ya jhatak kar achchha lagta hai
(kamli = blanket)


reham aataa hai un ke dil meiN dil ko torh dene par
reham-dil bhi unheiN hona ab aksar achchha lahta hai


maram’mat maaNgte kaafee dar-o-deewar-o-chhat is ke
mohabbat thorhee mil jaaye to ye ghar achchha lagta hai


nibhaate ja rahe rasm-e-maraasim kis jatan se par
kabhi kuchchh be-wajah bhi keh ke sun kar achchha laggta hai
(maraasim = relationship)


kaleja jal utha karta hai unki baat se lekin
n din bhar baat bhi ho to n din bhar achchha lagta hai


huwe bezaar kuchh aisee tarah hum zeest se “zarraa”
ke bas ab lutf meiN hi gharq reh kar achchha lata hai
(zeest = life, bezaar = disgusted, gharq = drowned / immersed)


- ZARRAA
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Achchha sila hai pyaar ka... by daljeet_faqeer in Shayeri for Dard -e- Bewafai
achchha lagta hai by ambuj in Shairi - E - Zindagi
bura aur achchha by Dineshkumarjonty in Chit - Chat & General Discussion
Achchha Nahi Lagta--- Kumaar by kumaar in Ghazals
zarraa .... dard lagta dawa ke jaisa hai by zarraa in Shairi - E - Zindagi
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: April 28, 2013, 03:11:42 AM »
So Nice.
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: April 28, 2013, 02:14:48 PM »
lage hai faasle se to darakshaaN hi har-ik bastee
n jab tak paas se dekho to har ghar achchha lagta hai (darakshaaN = bright / illuminated)

saza gustaakhiyoN ki jurm se barhkar mila karteeN
magar rindoN ki waah-waahee bhi sun kar achchha lagta hai (rindoN = carefree/drunk)

rawaaN aisa ki afsurda rahe zindaan-e-tan meiN ye
lahoo ko mere nazzara-e-khanjar achchha lagta hai (rawaaN = flowing, afsurda = depressed, zindaan = prison)

shahaadat maghala mera naheeN yaaroN bas itna hai
jhuka ho is'se zyada to kata sar achchha lagta hai (shahaadat = martyrdom, mashghala = occupation)

reham aataa hai un ke dil meiN dil ko torh dene par
reham-dil bhi unheiN hona ab aksar achchha lahta hai

maram’mat maaNgte kaafee dar-o-deewar-o-chhat
is ke mohabbat thorhee mil jaaye to ye ghar achchha lagta hai

nibhaate ja rahe rasm-e-maraasim kis jatan se par
kabhi kuchchh be-wajah bhi keh ke sun kar achchha laggta hai (maraasim = relationship)

kaleja jal utha karta hai unki baat se lekin
n din bhar baat bhi ho to n din bhar achchha lagta hai

huwe bazaar kuchh aisee tarah hum zeest se “zarraa”
ke bas ab lutf meiN hi gharq reh kar achchha lata hai
(zeest = life, bezaar = disgusted, gharq = drowned / immersed)

Kya baat hai..bahut khoob zarra sahab
maza aa gaya..bahut umda ghazal rahee janaab
ye ashaar..kya kahne..


Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #3 on: April 28, 2013, 03:21:31 PM »
bohut khub zaraa ji
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: April 28, 2013, 04:40:27 PM »
bahut khoob zarra sahib .bazm mein wapsi ke liye khush aamdeed.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #5 on: April 28, 2013, 05:28:18 PM »
So Nice.

Thank you Sagar ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #6 on: April 28, 2013, 05:30:50 PM »
lage hai faasle se to darakshaaN hi har-ik bastee
n jab tak paas se dekho to har ghar achchha lagta hai (darakshaaN = bright / illuminated)

saza gustaakhiyoN ki jurm se barhkar mila karteeN
magar rindoN ki waah-waahee bhi sun kar achchha lagta hai (rindoN = carefree/drunk)

rawaaN aisa ki afsurda rahe zindaan-e-tan meiN ye
lahoo ko mere nazzara-e-khanjar achchha lagta hai (rawaaN = flowing, afsurda = depressed, zindaan = prison)

shahaadat maghala mera naheeN yaaroN bas itna hai
jhuka ho is'se zyada to kata sar achchha lagta hai (shahaadat = martyrdom, mashghala = occupation)

reham aataa hai un ke dil meiN dil ko torh dene par
reham-dil bhi unheiN hona ab aksar achchha lahta hai

maram’mat maaNgte kaafee dar-o-deewar-o-chhat
is ke mohabbat thorhee mil jaaye to ye ghar achchha lagta hai

nibhaate ja rahe rasm-e-maraasim kis jatan se par
kabhi kuchchh be-wajah bhi keh ke sun kar achchha laggta hai (maraasim = relationship)

kaleja jal utha karta hai unki baat se lekin
n din bhar baat bhi ho to n din bhar achchha lagta hai

huwe bazaar kuchh aisee tarah hum zeest se “zarraa”
ke bas ab lutf meiN hi gharq reh kar achchha lata hai
(zeest = life, bezaar = disgusted, gharq = drowned / immersed)

Kya baat hai..bahut khoob zarra sahab
maza aa gaya..bahut umda ghazal rahee janaab
ye ashaar..kya kahne..




Mukesh ji ... apne jis shauq se parha aur jis prem se daad di ... us ke liye apka intehaayee shukrguzaar hoon !!
Logged
soudagar
Guest
«Reply #7 on: April 28, 2013, 05:47:44 PM »
bahut khub zaara sahbh bahut hee umda lajawab qalaam.... thoda padhte padhte jyada time lag gaya ... par bhut hee umda creation....


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #8 on: April 28, 2013, 06:33:56 PM »
bohut khub zaraa ji

Aapkaa bahaut bahaut shukriya Saahil ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #9 on: April 28, 2013, 06:37:30 PM »
bahut khoob zarra sahib .bazm mein wapsi ke liye khush aamdeed.

Aadaab Hassan sahab ...bazm aur dil mein jagah dene ke liye apka bahaut bahaut shukriya !!!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: April 28, 2013, 07:16:49 PM »
bahut khub zaara sahbh bahut hee umda lajawab qalaam.... thoda padhte padhte jyada time lag gaya ... par bhut hee umda creation....


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Dost, waqt dene ka aur pasand karne ka bahaut bahaut shukriya !!!
Logged
aqsh
Guest
«Reply #11 on: April 29, 2013, 12:44:37 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
badi achchi kalaam rahi. padhkar dil khush hua. hamari dili mubarakbad ko qubool kijiyega.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: May 01, 2013, 12:58:13 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
badi achchi kalaam rahi. padhkar dil khush hua. hamari dili mubarakbad ko qubool kijiyega.

Aqsh ji .... apka tah e dil se shukrguzaar hoon !!
Logged
suman59
Guest
«Reply #13 on: May 01, 2013, 01:22:34 AM »
Wah bahut badiya.. aapko padna bahut acccccchhaaa lagta hai zarraa jee.
Bahut daad

Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: May 11, 2013, 04:46:52 PM »
Wah bahut badiya.. aapko padna bahut acccccchhaaa lagta hai zarraa jee.
Bahut daad



Thank you for the kind words Suman ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:45:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer