Adat

by Pooja on March 22, 2007, 01:25:27 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 4450 times)
Pooja
Guest
Mujko na jaane kyun her kisi se shikayat ho gai hai
Mile jo bhi mujhse, unse juda hone ki adat ho gai hai

Batorati hu khud hi dukh apne liye
Khud hi khud main rone ki jaise adat ho gai hai

Chalo chale ab Pooja, door kahin andhero  main
Ubhar gaye phir kuch zakham, phir se tanhaai ho gai hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Unki adat thi tadpne ki by Asif samani jaunpuri in Shayri for Khumar -e- Ishq
Adat se majboor ek saks.... by Monu.verma in Shayri for Khumar -e- Ishq
adat by insu in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meri adat ka by anmolarora in Shayri for Khumar -e- Ishq
adat E Mohabbat by saira hafeez in Shairi - E - Zindagi
Pooja
Guest
«Reply #1 on: March 22, 2007, 01:36:48 PM »
Khud hi khud ko rishto main bandhati hu
Khud hi khud ki socho main jhankati hu

Kuch nahi duniya main mere liye
Yah bhi tahe dil se main janati hu

Tootati hai soch aor tadap jaati hu main
Kyun khud ko her waqat, gumo se bandhati hu
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: March 22, 2007, 01:47:17 PM »
Nice one Pooja di... Bahut achha likha hai aapne...  =D>

Ek chhotii si koshish....


POETRY DELETED BY SHIKHA....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: March 22, 2007, 01:56:02 PM »
bahoot sahi kaha Shikha!!

Muskurahat meri main, rona kisi ko najar nahi atta
Dil kahin ander her pal, magar hai toot.ta jaata

Apni is adat per naaz karu ya khud ko kahu bewafa
Apni kismet main khud se bhi nahi wafa, yah dukh bhi hai maar jaata

Dekha kiye unhe roj, naye naye chehro ke sath
Phir bhi yah dil, kyun unhe bhool nahi  paata

Suna tha kabhi, samjha hai ajj is mord per, e-dost
Payaar karne wala, jayada waqat duniya mai rah nahi paata!!!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #4 on: March 22, 2007, 02:05:37 PM »
paththar bhi pigal jata hai
jab teri aankhon me nami hoti hai

vahi jyada mushkurata hai
jise muskurahat ki kami hoti hai
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: March 22, 2007, 02:15:52 PM »
Thanks Pooja di... and Nice one Again....
Niraj... Very well said....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: March 22, 2007, 02:19:57 PM »
Koi bhi shabad ab is dil ko bahlaata nahi
Ab to rone se bhi is dil ko karaar atta nahi

Cheekhta hai yah dil, aor lub sil jaate hai
Sochati hu bahoot, samjh kuch atta nahi

Kahna chahti hu bahoot, shabad sath chor jaate hai
Man ke bhawo ko, samjhana atta nahi

Khamoshi meri, meri hi ban gai dushman
Samjhana chahti hu unhe, jinhe khuli kitab ka shabd bhi samjh atta nahi!!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #7 on: March 22, 2007, 04:50:14 PM »
bate karte hai usse jo parda nasheeen hai
naqab na hatana chehre se mujhe aankhon ki guftagu me yaken hai

dard deta hai tujhe jo vo tera jansheen hai
gawah iske aashma or jameen hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: March 22, 2007, 04:59:10 PM »
wah kaya baat hai Niraj.. bahoot khoob....

yah line bahoot hi achi lagi ""naqab na hatana chehre se mujhe aankhon ki guftagu me yaken hai ""

Padta tha koi ankhon se
Wo ankhon ko neer de gaya
Samjh jaata tha jo ahat se
Wo umarbhar ki aah de gaya

Jis per tha sab lutaaya
Wo mujko loot le gaya
Payaar ke badle bewafaai
Acha sabak de gaya
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: March 22, 2007, 05:06:58 PM »
wonderful...
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #10 on: March 22, 2007, 06:21:40 PM »
Quote from: "Pooja"
wah kaya baat hai Niraj.. bahoot khoob....

yah line bahoot hi achi lagi ""naqab na hatana chehre se mujhe aankhon ki guftagu me yaken hai ""

Padta tha koi ankhon se
Wo ankhon ko neer de gaya
Samjh jaata tha jo ahat se
Wo umarbhar ki aah de gaya

Jis per tha sab lutaaya
Wo mujko loot le gaya
Payaar ke badle bewafaai
Acha sabak de gaya


thx !! aise alfaz to aap jaisa koi samne ho to hi niklte hai
varna meri aisi soch kaha....

aashiq ki jindgi me kuch aisa bhi mukam aata hai
bukhar jo unhe aata hai to bande ka hi nam aata hai

vo kyun apna sab kuch us par lutata hai
jo hamesha use rula kar jata hai

dil ki bhavanaon par sailab tab aata hai
chot unhe lage aur doshi khud ko pata hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: March 22, 2007, 07:29:28 PM »
wah wah wah ... last line kamal ki likh gaye app Niraj!!  bahoot hi acha likhte hai app.

sath dene ka shukaria, sath hai to likha ja raha hai...

Khud ki gustakhio se wo chot kha baithe
Hum yah gum bhi khud per laga baithe

Dekha kiya roj unhe, unke payaro ke sath
Aor hum khud per tanhaai ki shaul urda baithe

Samjhaya bahoot jamane ne , badal jao waqat ke sath
Hum hai ki beete waqat ko sathi bana baithe
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #12 on: March 23, 2007, 04:00:24 AM »
Quote from: "Pooja"
Mujko na jaane kyun her kisi se shikayat ho gai hai
Mile jo bhi mujhse, unse juda hone ki adat ho gai hai

Batorati hu khud hi dukh apne liye
Khud hi khud main rone ki jaise adat ho gai hai

Chalo chale ab Pooja, door kahin andhero  main
Ubhar gaye phir kuch zakham, phir se tanhaai ho gai hai


Waah Ji pooja ji!!! Very Nice written!! :D

Kyoon log hain mere zakhmon se saabka rakhne ko beqarar!!
Mujhko to tanhai mein inhein gin ne ki aadat ho gayi hai!

Woh chahe mohabbat mein Tizaarat karta rahe,
apne liye to ab mohabbat hi Ibadat Ho gayii hai!

Na mujhe chinta kisi kanoon ki ab, na kisi hukkam ka hai dar,
Is Gham ki maari duniya mein apni to baadshaahat ho gayee hai!

Suna tha kabhi mohabbat mein  jaan de dete the aashiq,
magar ab to ishq mein dil todne ki rawayat ho gayi hai!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: March 23, 2007, 04:03:22 AM »
wah kaya baat hai AKS JI!!! APKO YAHA DEKH KAR MAN KHUSH HO GAYA!! Welcome back ji... ab atte rahiyega....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: March 23, 2007, 04:17:10 AM »
Bahoot sahi kaha AKS ji!!

Dil ki ahmiyat ab kuch bhi nahi
Paiso ki khanak hi ab zindagi bani

Kuch sikke aor badal gaya imaan
Ajj ki duniya main koi insaaniyat nahi

Hu apni adat se majboor, jo khud ko badalti nahi
Badlta dekha her ek shakas, jo kaha kiye, badlna unki fidrat nahi
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:18:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer