AE DIL-E-NADAAN!!!!!!!!

by Talat on December 13, 2004, 01:24:23 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 5657 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #15 on: December 14, 2004, 03:52:39 PM »
ur welcome pooja............... tongue3  Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil-e-nadaan tujhe hua kia hai? by Suhas in Shayri-E-Dard
Tum young ho, nadaan ho, ambitious ho by chahat in Miscellaneous Shayri
Nadaan Dil................... by palkhi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
dil - e- nadaan by diya786 in Ghazals
Ek dil tha mera nadaan by love_point12321 in Other Languages
Talat
Guest
«Reply #16 on: December 26, 2004, 10:53:07 AM »
Jab yunhi kabhi baithe baithe, kuch yaad achanak aa jaye
Har baat se dil bezaar sa ho, har cheez se dil ghabra jaye

Karna bhi mujhe kuch aur hi ho, kuch aur hi mujh se ho jaye
Kuch aur hi sochun main dil mai, kuch aur hi honton par aaye

Aise hi kisi ek lamhe main, chupke se kabhi khamoshi main
Kuch phool achanak khil jayen, kuch beete lamhe yaad aayen

Tab yaad tumhari aati hai ...

(NM)
Logged
diva
Guest
«Reply #17 on: December 26, 2004, 02:22:17 PM »
Quote from: "Talat"
Jab yunhi kabhi baithe baithe, kuch yaad achanak aa jaye
Har baat se dil bezaar sa ho, har cheez se dil ghabra jaye

Karna bhi mujhe kuch aur hi ho, kuch aur hi mujh se ho jaye
Kuch aur hi sochun main dil mai, kuch aur hi honton par aaye

Aise hi kisi ek lamhe main, chupke se kabhi khamoshi main
Kuch phool achanak khil jayen, kuch beete lamhe yaad aayen

Tab yaad tumhari aati hai ...

(NM)
that was touching da

n this is for u

inhi lamho mein to zindagi hai
yadon mein bhi ishq ki bandagi hai
toh kya gar dhadkane khamosh hai
par aaj bhi unmein mohabaat toh hai
par kuch logo ko toh woh bhi naseeb nahi
aapka  ishq hai khamosh par hai toh sahi
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: December 26, 2004, 02:25:08 PM »
Thanks!!! Diva!!! Very Nice!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #19 on: December 27, 2004, 04:23:06 PM »
Quote from: "diva"
Quote from: "Talat"
Jab yunhi kabhi baithe baithe, kuch yaad achanak aa jaye
Har baat se dil bezaar sa ho, har cheez se dil ghabra jaye

Karna bhi mujhe kuch aur hi ho, kuch aur hi mujh se ho jaye
Kuch aur hi sochun main dil mai, kuch aur hi honton par aaye

Aise hi kisi ek lamhe main, chupke se kabhi khamoshi main
Kuch phool achanak khil jayen, kuch beete lamhe yaad aayen

Tab yaad tumhari aati hai ...

(NM)
that was touching da

superbbbbbbbbbbb.......................diva...... ...talat ...........  :lol:
n this is for you

inhi lamho mein to zindagi hai
yadon mein bhi ishq ki bandagi hai
toh kya gar dhadkane khamosh hai
par aaj bhi unmein mohabaat toh hai
par kuch logo ko toh woh bhi naseeb nahi
aapka  ishq hai khamosh par hai toh sahi
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: December 31, 2004, 01:00:50 PM »
Ae meri zindagi tera shukriya
Nawazish teri jo bhi dukh diya
Palkon se sunhare khawab cheene
Tapte hue sahra me mujhe chorha
paanv me mere aable hain parhe
Dil mera hai zakhmon se bhara
Har khushi ab to hai begaani lage
Ghamon se barh gaya naata mera
Ek khalish, ek chubhan rehti hai har pal
Koi aas ka diya nahi hai harsu andhera
Aah bhi toot jaati hai lab tak aate aate
Ankhain hui hain meri wahshat zada
Bohot navaza hai tune mujhe
Ae meri zindagi tera shukriya!!!
:-(
Logged
HumTum
Guest
«Reply #21 on: February 10, 2005, 11:35:54 AM »
Quote from: "Talat"
Kyun har baat ko kaleje se laga leta hai tu
Kyun har shaks ko apna bana leta hai tu
Kyun chupke chupke siskiyan bharta hai tu
Kyun zindagi ka chalan nahi seekhta hai tu
Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai!!!

Kyun tanhaaiyon se ghabra jata hai tu
Kyun awaazo ke shor se dar jata hai tu
Kyun har qadam pe mud ke dekhta hai tu
Kyun na aanewaale ka rasta takta hai tu
Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai!!!

Har shaks behtar hai tujhse ye baat jaan le tu
Sab hain achche aur ek tu hi kharab maan le tu
Aahon aur ashkon ke sath jeena ab seekh le tu
Tanha hai tu aur tanha rahega...dekh le tu
Dil-e-naadan yunhi zindagi basar kar tu!!!!

wah talat bhai...... sari rachna bhut hi achi hai.....

dil se agar kabhi teraa aramaan jaayegaa
ghar ko lagaake aag ye mehamaan jaayegaa

duniyaa pe aisaa vaqt padegaa ki ek din
insaan ki talaash mein insaan jaayegaa
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #22 on: February 10, 2005, 04:25:21 PM »
Quote from: "HumTum"

excellent.....talat..................humtum...... .....

Kaal Shab Main Ne Sapna Dekha
Saath Main Tere Hud Ko Dekha

Hathun Main Haath Tha Tere
Mehka Hua Ghulshan Dekha

Phool Hi Phool The Charun Aor
Nachta Un Per Bhanwara Dekha

Tare Mil Ke Nach Rahe The
Chand Ke Sang Chandni Ko Dekha

Teri Chahat Tera Pyaar
Ankhon Main Teri Hud Ko Dekha

Pyaar Ki Barish Baras Rahi Thi
Bhigta Apna Tan Maan Dekha

Meri Khushiyan Merey Sapmne
Wabasta Sab Kuch Tujh Se Dekha

Tere Bin Adhhuri Main
Hud Ko Muqammal Tujh Se Dekha

Mere Angan Khushiyan Jhanki
Sukh Ka Badaal Tujh Se Dekha

Kaal Shab Main Ne Sapna Dekha
Saath Main Tere Hud Ko Dekha....................................(nm)
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: February 10, 2005, 04:27:30 PM »
Thanks!! Humtum n Waheed n Excellent both!!!!
n humtum i am a girl!!!!!!!!!!!! :evil:
Logged
HumTum
Guest
«Reply #24 on: February 10, 2005, 04:44:26 PM »
Quote from: "Talat"
Thanks!! Humtum n Waheed n Excellent both!!!!
n humtum i am a girl!!!!!!!!!!!! :evil:

ooppss.... sory Talat ji.......
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: February 10, 2005, 04:49:20 PM »
:lol:

main ne jis ke liye har shakhs ko naraaz kiya
rooth jaaye na yahi dar hai kayi sadiyon se !!!

(nm)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #26 on: February 12, 2005, 01:14:30 PM »
ur  welcome talat.........
very  nice  talat...............
Logged
abhishek_gaurav
Guest
«Reply #27 on: February 12, 2005, 01:24:51 PM »
bahut badhiya talat ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: February 12, 2005, 02:36:40 PM »
Quote from: "abhishek_gaurav"
bahut badhiya talat ji

Thanks Abhishek :D ..thanks Waheed..
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #29 on: September 13, 2009, 06:23:32 AM »
Wah wah Celmira ji,bahut khoob,really touching n mindblowing creation.
beautiful lines by JHL ji ,Samnoj ji.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 09:50:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer