AE KHUDA HUM MAR KYON NAHI JAATE?????

by TOUCHY on June 27, 2005, 12:59:20 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3674 times)
TOUCHY
Guest

julmat ke talatum se ubhar kyon nahi pate
utra hua hai dariya tum gujar kyon nahi jate
baadal ho toh barso kabhi be aab jameen par
khusboo agar ho toh bikhar kyon nahi jate
jab doob hi jane ka yakeen ho toh na jane
ye log safino se utar kyon nahi jate
tum rah me chupchap khade toh ho gaye ho
kis kis ko bataoge ki ghar kyon nahi jate!!
:cry:  :cry:
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #1 on: June 27, 2005, 01:34:37 AM »
Nice Yaar Aap ney tu dil khsuh kr diya Sarik Bhai Jaan......................................
Logged
rbh
Guest
«Reply #2 on: June 27, 2005, 07:00:42 AM »
jo ek baar mud kar bhi na dekhen
aisi hasraton ka peechha na kijiye...........
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #3 on: June 28, 2005, 12:18:19 AM »
thankx fakhar bhai tumhari khusi ke liye toh hum kuch bhi kar sakte hain!!!!!!!!!!!!!!!

nice!!!!!!!!!!!!!!!!!    rbh
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #4 on: June 28, 2005, 12:36:14 AM »
woh rat ko khawabon me aana nahi bhoole
chehre pe meri julfe girana nahi bhoole
yeh sach hai raqibon ne rokna to bahut chaha
par woh dekh kar hamko hath hilana nahi bhoole
yeh baat aur hai ki tahreer hain abhi paani
abhi tasweer aapki ham banana nahi bhoole
tum dil ko bachaye rakhna har kisi ke saye se
yeh likh kar nam dil pe mitana nahi bhoole
hota hai husn qafir bewafa be-murabbat
yeh unse jara kah do joh dil lagana nahi bhoole
ham toh yeh dua mange na unko kabhi bhoole
jo  dil se tujhe bhulana nahi bhoole
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: June 28, 2005, 06:48:46 PM »
Quote from: "TOUCHY"

julmat ke talatum se ubhar kyon nahi pate
utra hua hai dariya tum gujar kyon nahi jate
baadal ho toh barso kabhi be aab jameen par
khusboo agar ho toh bikhar kyon nahi jate
jab doob hi jane ka yakeen ho toh na jane
ye log safino se utar kyon nahi jate
tum rah me chupchap khade toh ho gaye ho
kis kis ko bataoge ki ghar kyon nahi jate!!
:cry:  :cry:


wonderfullllllllll    touchy................  tongue3
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #6 on: June 29, 2005, 12:26:57 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "TOUCHY"

julmat ke talatum se ubhar kyon nahi pate
utra hua hai dariya tum gujar kyon nahi jate
baadal ho toh barso kabhi be aab jameen par
khusboo agar ho toh bikhar kyon nahi jate
jab doob hi jane ka yakeen ho toh na jane
ye log safino se utar kyon nahi jate
tum rah me chupchap khade toh ho gaye ho
kis kis ko bataoge ki ghar kyon nahi jate!!
:cry:  :cry:


wonderfullllllllll    touchy................  tongue3


thanx waheed bhai tongue3
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #7 on: June 29, 2005, 12:29:52 AM »
kisi ne bhi to na dekha nighah bhar ke mujhe
gaya fir aaj ka din bhi udas kar ke mujhe
sabh bhi layi na koi payam apno ka
suna rahi hai fasane idhar-udhar ke mujhe
muaaf kijiye jo me ajnabi hoo mahfil me
ki raste nahi maloom is shahr ke mujhe
woh dard hai ki jise sah na sakoon na kah paaon
milega chain to ab jaan se gujar ke mujhe..
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #8 on: July 01, 2005, 12:26:09 AM »
daulat mili  jahan ki na woh nishan mile
sab kuch mila hame na magar meharwan mile
badhta hi gay manjile mahboob ki taraf
tha ilm agarche rah me sange garan mile
hamko khusi mili toh bas aaj hi mili
lekin joh gham mile woh ghm-e-jaan wida mile
fir kyon kare talash koi aur aasra
woh khusnaseeb jisko tera aasra mile
najre talash karti rahi jinko umar bahr
hum ko sukoon ke woh lamhe kaha mile
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #9 on: July 01, 2005, 06:58:05 PM »
Quote from: "TOUCHY"

julmat ke talatum se ubhar kyon nahi pate
utra hua hai dariya tum gujar kyon nahi jate
baadal ho toh barso kabhi be aab jameen par
khusboo agar ho toh bikhar kyon nahi jate
jab doob hi jane ka yakeen ho toh na jane
ye log safino se utar kyon nahi jate
tum rah me chupchap khade toh ho gaye ho
kis kis ko bataoge ki ghar kyon nahi jate!!
:cry:  :cry:



Nice touchy
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #10 on: July 04, 2005, 01:09:16 AM »
thanx rohit............................................ .......
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #11 on: July 04, 2005, 01:14:10 AM »
Sarik..........................................po st here more.....................................
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #12 on: July 04, 2005, 01:24:36 AM »
Beeti baten dohraaneki aadat si ho gayi hai,
chalte chalte ruk jaane ki aadat si ho gayi hain...

Hum ko ye bhi yaad nahi , kya khoya hai kya paaya hai,
logon se Dhoka khhane ki , aadat si ho gayi hain ...

Jab dil par koyi zakhm laga, khaamosh rahe yaa hassne lage,
hum ko aansoon pee jaane ki , aadat si ho gayi hain..
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #13 on: July 04, 2005, 01:26:29 AM »
zakham dene ka andaaz kuch aisa hai,
 zakham dekar puchte hain ab haal kaisa hai,
 kissi ek se gila kya karna yaaro,
 saari duniya ka mizaaz ek jaisa hai.
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #14 on: July 04, 2005, 01:34:04 AM »
Sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista
nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista

JawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda
hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista

Sab-e-furkat ka jaaga hoon faristhoN ab to sone do
kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista

BaDi bedardi se sar kaate ameer aur maiN kahooN unse
huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 08:28:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer