AE KHUDA HUM MAR KYON NAHI JAATE?????

by TOUCHY on June 27, 2005, 12:59:20 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 3692 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #15 on: July 04, 2005, 01:41:16 AM »
Good Work Again ................................................. .............Sarik
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #16 on: July 05, 2005, 12:35:00 AM »
thanx again..............................fareeeeeeeeeee
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #17 on: July 05, 2005, 04:57:56 AM »
Quote from: "TOUCHY"
kisi ne bhi to na dekha nighah bhar ke mujhe
gaya fir aaj ka din bhi udas kar ke mujhe
sabh bhi layi na koi payam apno ka
suna rahi hai fasane idhar-udhar ke mujhe
muaaf kijiye jo me ajnabi hoo mahfil me
ki raste nahi maloom is shahr ke mujhe
woh dard hai ki jise sah na sakoon na kah paaon
milega chain to ab jaan se gujar ke mujhe..


wah  touchy....................kiste   deep  words likhi  ho...........  very  nice......  

yeh  lines to  dil   ko  choo  gayee.........

woh dard hai ki jise sah na sakoon na kah paaon
milega chain to ab jaan se gujar ke mujhe..............
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #18 on: July 06, 2005, 01:14:50 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "TOUCHY"
kisi ne bhi to na dekha nighah bhar ke mujhe
gaya fir aaj ka din bhi udas kar ke mujhe
sabh bhi layi na koi payam apno ka
suna rahi hai fasane idhar-udhar ke mujhe
muaaf kijiye jo me ajnabi hoo mahfil me
ki raste nahi maloom is shahr ke mujhe
woh dard hai ki jise sah na sakoon na kah paaon
milega chain to ab jaan se gujar ke mujhe..


wah  touchy....................kiste   deep  words likhi  ho...........  very  nice......  

yeh  lines to  dil   ko  choo  gayee.........

woh dard hai ki jise sah na sakoon na kah paaon
milega chain to ab jaan se gujar ke mujhe..............

thanx waheed bhai.........
hum kahan likhte hain,  likhte toh aap ho........
you are  reallly wonderfull!!!!!!!
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #19 on: July 06, 2005, 01:45:12 AM »
Jee raha Hoon kis liye Mai iss gam-e Zindagi ko,
Marke bhi keh na sakoonga Apni kahaani ko !
Chup raha to mar degi Mujhe meri hi Tanhaaee,
Keh diya to seh Na sakoonga Mai Duniya ki Rusvaee !!
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #20 on: July 09, 2005, 12:51:22 AM »
Kab ki pathar ho chuki hein ye meri ankhein magar
chookey jab dekha to haat gheeley ho gaye!!!!!!!!!!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #21 on: July 09, 2005, 01:44:59 AM »








Hum Mar kr Bhi Jee Rhay Hain
Ghumon Ko Aaj Hum see RHAY hain







Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #22 on: July 15, 2005, 07:09:15 AM »
Pyaas Vo Dil Kii Bujhaane Kabhii Aayaa Bhii Nahin Kaisaa Baadal Hai Jiskaa Koi Saayaa Bhii Nahin Berukhii Is Se Barii Aur Bhalaa Kyaa Hogii
Ek Muddat Se Hamein Us Ne Sataayaa Bhii Nahin Roz Aataa Hai Dar-E-Dil Pe Vo Dastak Dene
Aaj Tak Hamne Jise Paas Bulaayaa Bhii Nahin
 Sun Liyaa Kaise Khudaa Jaane Zamaane Bhar Ne Vo Fasaanaa Jo Kabhii Hamne Sunaayaa Bhii Nahin Tum To Shayar Ho Aur Vo Ik Aam Sa Sakhs Us Ne Chaahaa Bhii Tujhe Aur Jataayaa Bhii Nahi
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #23 on: July 15, 2005, 07:15:14 AM »
Unki mohabbat ka abhi nishan baaki hai,
naam labh par hai jaan baki hai,
kya hua agar dekh kar muh fer lete hain,
tasalli hai ki abhi sakal ki pehchan baaki hai
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #24 on: July 15, 2005, 07:18:51 AM »
aapko bhool jau umar gujarne ki baat hai.........
aapko na ho yakeen ye aur baat hai..............
jab tak rahegi saans tab tak rahoge yaad ...........
ye saans toot jaaaye to aur baat hai..............
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #25 on: July 18, 2005, 01:24:56 AM »
Who gujar jata hai jhonke ki tarah
Milne aata hai na milne ki tarah
 Maut se seekh raha hoon jina
Doobta dil bhi hai ek tinke ki tarah
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #26 on: July 20, 2005, 12:46:29 AM »
Aankhon me der tak koi manzar nahin ruka
Aa kar bhi mere paas, sitamgar nahin ruka..

Katra ke yoon nikalne ki aadat si parh gayi
Raste me dekh kar bhi main aksar nahin ruka

Ik shaam dhal rahi thi wo manzar ajeeb tha
chaha jo rok len wahi manzar nahin ruka.

Wo ghar mujhe ajeeb sa weeran sa laga
jis ka makeen bhi wahan pal bhar nahin ruka

Mausam kabhi azaab ke badle nahin jamal
bahar ka wo safar mere andar nahin ruka..
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:44:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer