AE MAUT KAASH TUJHE BHI KABHI AA JAATI MAUT...

by diya786 on October 03, 2008, 09:41:41 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 13287 times)
diya786
Guest
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

...to zindagi yun hairaan na reh jaati
aankhein yun veeran na reh jaati
kuch khwab haqeeqat to ban jaate
aur kuch khwab bas khwab hi na reh jaate
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut ...
...to kuch lamhe yaadein na ban jaati'n
aur kuch yaadein bas beeti hui baatein na ban jaati'n
khwahishein meri kuch aur nikal jaati'n
hasratein saari yun dil mein na reh jaati'n
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...
...to pyar mera yun adhoora na rehta
dil mera phir khaali na hota
aankhein na talashti kisi ko
ashk palkon par hi na tham jaate
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MAUT by akela in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
maut by preeti in Shayri for Dard -e- Judai
- Aye Maut... - by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
maut by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
~Maut ke baad maut~ by Tosha in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
k.shael
Guest
«Reply #1 on: October 03, 2008, 09:45:51 AM »
 Applause  Applause  Applause
BAHUT KHOOB DIYA SIS....
KEEP GOING...
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #2 on: October 03, 2008, 09:52:23 AM »
bohat khoobsoorat likha diya ji... Applause Applause

Ek baar mujhe ye zindgi mein ehsaas hua tha,
shayad kuchh pal main apni manzil ke bohat paas hua tha.---Tanha
Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: October 03, 2008, 09:59:50 AM »
shukriya  Saurabhji
aapne bhi bahut hi accha likha hai
  Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: October 03, 2008, 10:02:08 AM »
shally sis aap kab aayi aur kab chali gayi pata hi nahin chala par aapka shukriya ki aapko pasand aayi meri nazm...
Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: October 03, 2008, 10:05:35 AM »
UR WELCOME DIYA SIS... icon_flower
AUR MEIN KAHI NAHI GAYI YAHI HO TUMHARE
PASS OK...
BY. K.SHAEL
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: October 03, 2008, 11:55:55 AM »
Bahut khoob likha hai Diya.. Applause Applause


Bahut dino ke baad aayi ho.. We really Missed You..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: October 03, 2008, 11:57:39 AM »
bohat khoobsoorat likha diya ji... Applause Applause

Ek baar mujhe ye zindgi mein ehsaas hua tha,
shayad kuchh pal main apni manzil ke bohat paas hua tha.---Tanha


Bahut khoob Saurabh..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: October 03, 2008, 03:20:57 PM »
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

...to zindagi yun hairaan na reh jaati
aankhein yun veeran na reh jaati
kuch khwab haqeeqat to ban jaate
aur kuch khwab bas khwab hi na reh jaate
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut ...
...to kuch lamhe yaadein na ban jaati'n
aur kuch yaadein bas beeti hui baatein na ban jaati'n
khwahishein meri kuch aur nikal jaati'n
hasratein saari yun dil mein na reh jaati'n
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...
...to pyar mera yun adhoora na rehta
dil mera phir khaali na hota
aankhein na talashti kisi ko
ashk palkon par hi na tham jaate
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...

 

Bahut Bahut Khoob!!
jazbaaton se bharpoor  aur bahut khoobsurati se likha hai aapne kashish.
bahut ache  Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: October 03, 2008, 03:22:05 PM »
bohat khoobsoorat likha diya ji... Applause Applause

Ek baar mujhe ye zindgi mein ehsaas hua tha,
shayad kuchh pal main apni manzil ke bohat paas hua tha.---Tanha


Bahut Khoob!!Do line mein bahut kuch keh diya. Applause Applause
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: October 03, 2008, 05:02:57 PM »
Bohat khoob diya kamaal ka likha hai dear... Clapping Smiley Thumbs UP

Wah very nice lines saurabh ji..   Clapping Smiley
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: October 04, 2008, 07:41:32 AM »
Bahut khoob likha hai Diya.. Applause Applause


Bahut dino ke baad aayi ho.. We really Missed You..

bahut bahut shukriya Mahiya dear ki aapne meri nazm pasand ki aur mujhe miss bhi kiya

shukriya khwaish aur jaya di aapka bhi shukriya
notworthy
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #12 on: October 04, 2008, 09:43:56 AM »
Ae maut kaash tujhe bhi kabhi aa jaati maut...
 

Diyaa...
aap ne Jis Mauzu pe Kalaam Likha waaqaee daad k kaabil hai,,
Aur Jis Tarha Likhne Ka Andaaz hai woh sahih Ma'ano mein Har Lafz ko Jode Rakhta Hai,,
Badhiya puri Nazm Ik Ibrat Soz Ma'ana bhi bayan karti hai

Aur Baat chali Hai To bataadun ki,,,,

Maut Khud apni Jaat-e-paak mein Khalq hai,,Khaaleeq nahi.
aur Joh Khalq Mein Shameel ho Jaise duniya ki harr shaiy khalq k zumre mein shameel hai...Use aaj Nahi To Kal Maut Aani hi aani Hai,,,kyunki Maut khudaa nahi,,Aur Sirf Khuda Hi ko Maut Nahi,,baaki sub FANAA....Hai..Baroz-e-Hashra Maut ko bhi Maut ayegi...Aur Is Tarha ki Maut Ko Marte Duniya Dekhegi !!!!
Logged
tushki47
Guest
«Reply #13 on: October 05, 2008, 01:33:21 PM »
zindagi ki rehgujar me, koi dildaar na mila
humrahi to buhut mile, koi humwaar na mila

dil humne bhi rakha tha, tizaarat ki khwahish se
par dil ka koi humare, kharidaar na mila

tasalli to bahut di hume, zamaane ki bheed ne
kaandhe pe rakh ke sar ro le, aisa yaar na mila

yun to har zakhm ki hoti he marham 'shatir'
sakoon de jo is dil ko, aisa pyyar na mila..
Logged
diya786
Guest
«Reply #14 on: October 05, 2008, 02:03:55 PM »
ba-mayane samjhane aur tareef karne ke liye bahut bahut shukriya Ashraf

tuski47 aapne bhi bahut accha likha hai nice lines!!!
Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 01:21:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer