Ae-waqt thehar jaa !

by salma786 on April 20, 2009, 02:10:14 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1926 times)
salma786
Guest
Ae-waqt tu thehar jaa,
Muddato baad mujhe so jane de,
Kitna sukoon milta hai is dard me,
Aaj ishq me mujhe kho jane de!

Barso jaagi hu mai is intezaar me,
Aaj unko mujh me samane de,
Jo dard hai dil me mere,
Us dard ko aaj mitane de!

Tanhaa bitaye jitne pal maine,
Sare pal phir laut aane de,
Bahoor royi hu yadoon me unke,
Aaj phir mujhe muskurane de!

Jo dard ko mere taza kar jati thi,
Un hawaao ko aaj ohir aane de,
Challi kar jati thi jo rooh ko mere,
Aaj meri rooh ko pyaar se choo jane de!

Bahoot jaagi hu unki yaad me,
Aaj aagosh me unki mujhe so jane de,
Ae-waqt zara thehar jaa tu,
Meri kabr pe unhe phool chadane de!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tum jo thehar jao by innocent.devil20 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shaam thehar jaati hain by chaitali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Jab Had Se Badhega To Thehar Jaayega ..!! by Talat in Ghazals « 1 2 3 4 »
kyunki khush hai wo mere thehar jaane se... by apriya in Shayri for Khumar -e- Ishq
Wo Sham Thehar Jayegi by Rajnish.raaj in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #1 on: April 20, 2009, 02:22:52 PM »
Waah Salma... Bohot hi Khoob dear !
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: April 20, 2009, 02:29:40 PM »
Waah Salma, Kya Khoob Yaar, Ye To Romantic Hai, Mujhe Behad Pasand Aayi, Yahi Andaaz Barkharaar Rahe, Rab Tumhe Aur Hausla De, Is Taraah Dil Choo Ne waale Kalaam Likhne Ka,.

Bohat Achche Dear,.
Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: April 20, 2009, 02:40:47 PM »
Waah Salma... Bohot hi Khoob dear !

Shukriya Talat sis Usual Smile
Logged
salma786
Guest
«Reply #4 on: April 21, 2009, 06:04:56 AM »
Waah Salma, Kya Khoob Yaar, Ye To Romantic Hai, Mujhe Behad Pasand Aayi, Yahi Andaaz Barkharaar Rahe, Rab Tumhe Aur Hausla De, Is Taraah Dil Choo Ne waale Kalaam Likhne Ka,.

Bohat Achche Dear,.


Shukriya Azeem ji.. apne waqt diya mere kaam ko.. or acha analyse kiya... ye romatic to hai par dard bhi gehra hai isme... Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: April 21, 2009, 06:15:43 AM »
So beautiful & romantic..  Very Good Salma
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #6 on: April 21, 2009, 03:00:14 PM »
Ae-waqt tu thehar jaa,
Muddato baad mujhe so jane de,
Kitna sukoon milta hai is dard me,
Aaj ishq me mujhe kho jane de!

Barso jaagi hu mai is intezaar me,
Aaj unko mujh me samane de,
Jo dard hai dil me mere,
Us dard ko aaj mitane de!

Tanhaa bitaye jitne pal maine,
Sare pal phir laut aane de,
Bahoot royi hu yadoon me unke,
Aaj phir mujhe muskurane de!

Jo dard ko mere taza kar jati thi,
Un hawaao ko aaj phir aane de,
Challi kar jati thi jo rooh ko mere,
Aaj meri rooh ko pyaar se choo jane de!

Bahoot jaagi hu unki yaad me,
Aaj aagosh me unki mujhe so jane de,
Ae-waqt zara thehar jaa tu,
Meri kabr pe unhe phool chadane de!!

Awesome Salmaji
Bahoot Khob Likha Aapne
 Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 21, 2009, 03:15:07 PM »
Shukriya Azeem ji.. apne waqt diya mere kaam ko.. or acha analyse kiya... ye romatic to hai par dard bhi gehra hai isme... Usual Smile

Haan Dono Hain, Meetha Dard Bhi, Kardwa Dard Bhi.
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #8 on: April 21, 2009, 03:36:07 PM »
Ek chhoti si koshish mai bhi kar raha hun
Galtion pe maf kijiyega

Aye waqt thehar ja ,Sanso ko manana hai...
Raste me hai mehboob mera,Aur mujhe door jana hai...

Roka hai is beqrari ko kis tarah se dil me,
Chup rah kar sari dastaan asko se sunana hai...

Diya dard maine apni bewafayi me hamesha,
Uski wafaao ka karz aaj jee bhar ke chukana hai...

Chhipa lunga dil me tasveer mehboob ki,
Aakhon me basa chehra uska khuda ko bhi dikhana hai...
~Pank~
Logged
salma786
Guest
«Reply #9 on: April 24, 2009, 08:26:39 AM »
So beautiful & romantic..  Very Good Salma
Shukriya Sophi sis Usual Smile
Logged
salma786
Guest
«Reply #10 on: April 24, 2009, 08:28:02 AM »
Awesome Salmaji
Bahoot Khob Likha Aapne
 Applause Applause Applause
Shukriya  Pank ji Usual Smile
Logged
TruefrienD
Guest
«Reply #11 on: April 24, 2009, 08:29:32 AM »
Aankho se beh jaye wo to hai pani ki Bund,
Par jo tadap ke ankho me reh jaye woh hai Aansu..

Lafzo me jo bayan kar sake woh nahi hota Dard,
Par jo hotho pe aake ruk ke reh jaye woh hai Dard..


Not Mine
Logged
salma786
Guest
«Reply #12 on: April 24, 2009, 08:38:01 AM »
Haan Dono Hain, Meetha Dard Bhi, Kardwa Dard Bhi.
Thumbs UP
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: April 24, 2009, 09:16:40 AM »
Nice one Salma Ji




Logged
salma786
Guest
«Reply #14 on: April 24, 2009, 09:30:16 AM »
Ek chhoti si koshish mai bhi kar raha hun
Galtion pe maf kijiyega

Aye waqt thehar ja ,Sanso ko manana hai...
Raste me hai mehboob mera,Aur mujhe door jana hai...

Roka hai is beqrari ko kis tarah se dil me,
Chup rah kar sari dastaan asko se sunana hai...

Diya dard maine apni bewafayi me hamesha,
Uski wafaao ka karz aaj jee bhar ke chukana hai...

Chhipa lunga dil me tasveer mehboob ki,
Aakhon me basa chehra uska khuda ko bhi dikhana hai...
~Pank~

Waah bahoot khoob Pank ji.. Galtiyo ka sawaal hi nahi Thumbs UP
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:59:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer