Aey Zindagi Kyun Mujhe Aazmati Hai.!!!

by majid on August 20, 2008, 07:14:17 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 6836 times)
majid
Guest
Na Jee Paata Hoon Na Hi Maut Aati Hai.
Aey Zindagi Mujhe Kyun Itna Aazmati Hai.!

Jalti Har Shaam Aur Bujhti Hui Subah Hai Meri
Ye Matlabi Duniya Ab Mujhe Raas Nahi Aati Hai.

Na Hi Koi Tamanna Hai Aur Na Koi Aarzoo Rahi
Is Jism Main Ab Ruh Ko Badi Ghutan Si Hoti Hai.

Padte Rehte Hai Der Tak Ashq Chehre Ko Mere.
Ab Jhuthi Hasi Ki Baazi Mujhse Kheli Nahi Jaati Hai.

Aey Maut Banke Mehbooba Tu Hi Laga Le Gale Se
Ki Ye Zindagi Ab Mujhse Sambhali Nahi Jaati Hai.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaan kar kyun mujhe sataate rahe.. by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Kyun Kehete Ho Mujhe by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aey Zindagi Kyun Mujhe Aazmati Hai.!!! by majid in Shairi - E - Zindagi
Kyun Kiya Mujhe Khud Se Dur..By SK by Shayaries_King in Ghazals
gindgi ajmati hai by yok55555 in Other Languages
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: August 20, 2008, 08:44:12 AM »
Na Jee Paata Hoon Na Hi Maut Aati Hai.
Aey Zindagi Mujhe Kyun Itna Aazmati Hai.!

Jalti Har Shaam Aur Bujhti Hui Subah Hai
Ye Matlabi Duniya Ab Mujhe Raas Nahi Aati Hai.

Na Dil Main Kuch Hai Na Hi Zehan Main Kuch
Is Jism Main Ab Ruh Ko Ghutan Si Hoti Hai.

Padte Rehte Hai Der Tak Ashq Chehre Ko Mere.
Ki Ab Jhuthi Hasi Ki Baazi Kheli Nahi Jaati Hai.

Aey Maut Banke Mehbooba Tu Hi Laga Le Gale Se
Ki Ye Zindagi Ab Mujhse Sambhali Nahi Jaati Hai.



Buhat khoob Shihab dil ko chua hai aapki kalam superb!! lines.. Applause Thumbs UP
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: August 20, 2008, 11:50:54 AM »
bahoot Khoob Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: August 20, 2008, 12:03:27 PM »
Zindagi Tu Kyun Hume Is Kadar Aazmaati Hai,.
Kabhi Hasaati Hai To Kabhi Rulaati Hai,.

Bankar Khushi Kabhi Aaayi Na Tu Mere Chehre Pe,.
Phir Kyun Mere Haal Par Muskuraati Hai,.

Roz Jeete Rahe Hain, Roz Marte Rahe Hain Hum,.
Tujhse Rahat To Nahi Haseel, Phir Kyun Sataati Hai,.

Ban Na Saki Tu Kabhi Mere Labon Ki Hasi Umar Bhar,.
Phir Kyun Mujhe Tu Gham Ki Raah Bekhauf Dikhaati Hai,.

Ujaada Hai Tune sabko, Kisi Ko Abaad Na Kiya,.
Phir Kyun Tera Naam Hume Jeene Ki Aas Dilaati Hai,.

__________________________-Azeem-


Logged
rekha6a
Guest
«Reply #4 on: August 21, 2008, 03:01:08 PM »
Bahut khoob Shihab.achha likha hai.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #5 on: August 22, 2008, 03:55:25 AM »
Jee Bhai Shihab..aapne Bahot Hi Achchhe Ash'aar Likhe Hai
aap k kalaam ko har jagaah badhiya se badhiya paaya hai aur jo alfaaz bhi hote hai wo bhi saaf va suffaf hote hai jo asaani se Jehan me aa jaate Hai..
allaah se dua hai ki aapki Kalum bas yoonhi Rawaa'n Dawaa'n Rahe
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #6 on: August 22, 2008, 04:04:38 AM »
Bhai Azeem...aapne bahot badhiya Tarike se Zindagi k har pehlu ya Mod ko Ash'aar Me Pevast kiya Hai. Har Lafz B'Maani Bahot hi khoob hai. Aur aap k har Nazm wo kisi bhi Oonwaan par ho wo Jameelat-oo-n Juda'h  Hi Hoti Hai

allaah se dua Hai Ki aap ' Kalum ka har haqq va Fariza anjaam de Ba'khoobi '
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: August 24, 2008, 04:11:15 PM »
Bahoot Khoob Mere Bhai,.
KamaalKi Posting Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 27, 2008, 10:06:00 AM »
U Are Welcome Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: August 27, 2008, 10:08:55 AM »
Jaane Kyun Har Pal Zindagi Mujhe Aazmaati Rahi,.
Mere Bebasi Ki Wo Har Dum Hasi Udaati Rahi,.

Diya Na Isne Mujhe Kuch Zakhmon Ke Siwa "Jaanasheen",.
Aur Jaane Kyun Mujhe Isi Zindagi Pe Mohabbat Aati Rahi,.

_________________________________-Jaanasheen-

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: January 22, 2009, 05:39:35 AM »
Jaati Kyun Har Pal Zindagu Mujhe Aazmaati Rahi,.
Mere Bebasi Ki Wo Har Dum Hasi Udaati Rahi,.

Diya Na Isne Mujhe Kuch Zakhmon Ke Siwa "Jaanasheen",.
Aur Jaane Kyun Mujhe Isi Zindagi Pe Mohabbat Aati Rahi,.

_________________________________-Jaanasheen-


Nice lines Chote Bhai
Logged
k.shael
Guest
«Reply #11 on: January 22, 2009, 05:42:46 AM »
 Applause   Applause   Applause  Clapping Smiley
Bahut khoob Shihab Aur Azeem,


kya khoob likh rahe hai aap dono,

Jaane kyun ye zindagi doraahe par le aati hai,
Kabhi choot.ti hai khud tanha to kabhi hame tanha kar jaati hai,

Jaane kon ki har kisi pe ye aalag hi rang lutati hai,
Aamiro ke liye khushiyo ki sugaat aur garibo ke liye musibat ban jaati hai,

Shally.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #12 on: January 22, 2009, 06:42:14 AM »
Nice lines Shally Ji

Zindagi hume nahi, hum ne zindagi ko ajmayaa hai
Zindagi mein aur kuch nahi bas har taraf mayaa hai

Yeh to hamari kismat hai jis ko hum ne ajmayaa hai
Mayaa hume nachati hai yeh ab samajh mein aaya hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 22, 2009, 08:43:23 AM »
Bohat Achche Shally Behna..
And Rajesh Bhaiya Ji,.

Yunhi Likhte Rahiye,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #14 on: January 22, 2009, 05:57:43 PM »
Bohat Achche Shally Behna..
And Rajesh Bhaiya Ji,.

Yunhi Likhte Rahiye,.
Thanx Chote Bhai
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:48:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer