<>*Agar main tumhari ho gai*<>

by *KasaK*....Dil Ki on July 28, 2010, 07:05:43 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1514 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
<>*Agar main tumhari ho gai*<>

agar main tumhari ho gai...

dil me na koi umang rahegi
na ruuh me sukuun hoga
na aankhon me nind hogi
na tumhe kabhi chain milega

agar main tumhari ho gai to...

har raat karwat badalte guzregi
har din tadapte hue bitega
har lamha dua hogi lub par
har saans me ek toofan hoga

agar main tumhari ho gai...

har pal mangoge apne marne ki dua
har pal maut ka intezar hoga
main dard ka jeeta jagta tohfa hun
mil gaya tumhe to na fir khushi ka basera hoga

agar main tumhari ho gai...

meri nigahon me zehar
meri chaahton me sirf badnami
mere pyaar me hai dhokha
main bewafai ki hun ek nishani

agar mail tumhari ho gai...

har pal ashkon ka aankhon me basera hoga
har pal bas tumhe gum me dube rehna hoga
lub bhul jayenge muskurana sanam
khudko har pal tumhe maarna hoga..

agar main tumhari ho gai....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pyar bankar tumhari raah main by poem143s in Shayri-E-Dard
kasam tumhari na main jee sakunga by samir_bc in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Main Tumhari Sangini.....!! by agp in Shayri for Khumar -e- Ishq
tumhari hun main by raghu ram in Miscellaneous Shayri
Main sada tumhari rahungi...Geetrukh... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #1 on: July 28, 2010, 07:28:38 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoob likha hai Kasak ji... par itna dard kyun... kahaan se laati hain aap itna dard... par shabdon ki khoobsurti dekhiye ko bas wah kehne ka mann karta hai...bahut khoob sarkaar ... bahut bahut khoob...!!!

mujhe kisi umang ki nahi, mujhe to teri jarurat hai,
mere ruh ko sukoon ki nahi, usey to teri jarurat hai,
mere aankhon ko neend ki nahi, tera tasavvur jaruri hai,
mere dil ko chain ki nahi, tujh sang dhadakne ki jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

raaton ko hum jaag bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,
din ki tadap hum jhel bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,
duwaon me bas tu hi hogi, jab tu mere saath me hogi,
har tofaan ko hum jhel bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,

maut se bhi humein dar nahi lagta, bas tere saath ki jarurat hai,
zindagi se kabhi chahat hi na ki thi, bas tere saath ki jarurat hai,
tere har dard ko main has ke seh lunga, bas tera saath jaruri hai,
khushiyon ko mai dhund hi lunga, bas tere saath ki jarurat hai,

tere pyaar me zeher pi lunga, bas tera saath jaruri hai,
har badnaami jhel bhi lunga, bas tera saath jaruri hai,
apne pyaar se tujhe jeet lunga, bas tera sath jaruri hai,
tujhe bewafaa hone nahi dunga, bas tera saath jaruri hai,

ashkon ko behne nahi dunga, bas mujhe teri jarurat hai,
ghum bhi tere rehne nahi dunga, bas mujhe teri jarurat hai,
muskaan hothon pe le hi aunga, bas mujhe teri jarurat hai,
khudko maarke bhi ji lunga, bas mujhe teri jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #2 on: July 28, 2010, 08:06:11 AM »
Bahut Bahut Bahut Khoob Anamika Ji..Behad Khoobsurat jazbaat!!!

Kya kehne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kabhi Kisi Ki Hokar To dekhiye
Kabhi Pyaar Ke jazbo mein Behkar To Dekhiye
Maana Ishq Ki Raah Asaan Nahi,
Par Do kadam hi sahi, Chalkar To dekhiye...

Maana,Judai Dard bahut deti hai
Sanam Ki Ruswaai Jaan Leti Hai
Aankhon Se Ashko Ki motiya Behti hai
Par Kabhi Ishq Ki madhosi mein Behkar to Dekhiye
Do kadam hi Sahi,Par Chalkar To dekhiye...

Duniya Ki Bheed Mein Koi Chehra Apna Lagta Hai
Haqeeqat Ka Ek-Ek pal, Ek haseen sapna Lagta Hai
Bina Wajeh Zindagi mein Khushi Se Chehkar To dekhiye
Do kadam hi Sahi par chalkar To dekhiye....

Ishq Ki har kahaani Mein Dono Ko tadapna Zaroori hota hai
Beshak!!!! Sach Yehi Hai ishq Karne wala hardam Rota Hai
Par Kisi Ke Liye Kabhi Rokar To dekhiye..
Ishq Ki raah Asaan Nahi Par do kadam Hi sahi,Chalkar To dekhiye...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #3 on: July 28, 2010, 09:19:56 AM »

kya kahun khwaish ji..aapne itna khubsurat likha hai k main padhti hi reh gai...sach hai ishq karne ka maza ishq me khoye bina nahin aa sakta...

ishk ki galiyon se hum bhi gujre hain
unke sath 2-4 kadam hum bhi chale hain
lekin na jane fir ye kya ho gaya
chhuta nahin sath par safar tanha ho gaya...

hum chalte rahe apni hi dhun me ee dost
wo humsafar hume pukarta reh gaya
khinchta raha wo aanchal hamara
aur aanchal mera na jane kaise badhta chala gaya...

sari madhoshi ishk ki hamari jane kahan kho gai
wo sari khumari ishq ki jane kab utar gai
wo pukarte rahe hume mahobbat ki duhai dekar
hum na jane kin apni uljhano me hi ulajh k reh gaye...

ye dard ye gum ye taklif  mahobbat ki
jani humne jab unko kho diya
taraste reh gaye hum unke sath k liye
aur wo hamare dard leke humse durr ho gaye...

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #4 on: July 28, 2010, 09:29:36 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoob likha hai Kasak ji... par itna dard kyun... kahaan se laati hain aap itna dard... par shabdon ki khoobsurti dekhiye ko bas wah kehne ka mann karta hai...bahut khoob sarkaar ... bahut bahut khoob...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

mujhe kisi umang ki nahi, mujhe to teri jarurat hai,
mere ruh ko sukoon ki nahi, usey to teri jarurat hai,
mere aankhon ko neend ki nahi, tera tasavvur jaruri hai,
mere dil ko chain ki nahi, tujh sang dhadakne ki jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

raaton ko hum jaag bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,
din ki tadap hum jhel bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,
duwaon me bas tu hi hogi, jab tu mere saath me hogi,
har tofaan ko hum jhel bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,
sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

maut se bhi humein dar nahi lagta, bas tere saath ki jarurat hai,
zindagi se kabhi chahat hi na ki thi, bas tere saath ki jarurat hai,
tere har dard ko main has ke seh lunga, bas tera saath jaruri hai,
khushiyon ko mai dhund hi lunga, bas tere saath ki jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

tere pyaar me zeher pi lunga, bas tera saath jaruri hai,
har badnaami jhel bhi lunga, bas tera saath jaruri hai,
apne pyaar se tujhe jeet lunga, bas tera sath jaruri hai,
tujhe bewafaa hone nahi dunga, bas tera saath jaruri hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

ashkon ko behne nahi dunga, bas mujhe teri jarurat hai,
ghum bhi tere rehne nahi dunga, bas mujhe teri jarurat hai,
muskaan hothon pe le hi aunga, bas mujhe teri jarurat hai,
khudko maarke bhi ji lunga, bas mujhe teri jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai....

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
no words for reply klaskar ji.....i m blank right now.....
kis feeling pe likhun kya likhun kuch samjh nahin aaraha...
u have written just wowwww.....ye feel ...ye need ..kisiko paane ki... jyada nahin likh paungi ji.... tearyeyed tearyeyed
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: July 28, 2010, 09:34:20 AM »
<>*Agar main tumhari ho gai*<>

agar main tumhari ho gai...

dil me na koi umang rahegi
na ruuh me sukuun hoga
na aankhon me nind hogi
na tumhe kabhi chain milega

agar main tumhari ho gai to...

har raat karwat badalte guzregi
har din tadapte hue bitega
har lamha dua hogi lub par
har saans me ek toofan hoga

agar main tumhari ho gai...

har pal mangoge apne marne ki dua
har pal maut ka intezar hoga
main dard ka jeeta jagta tohfa hun
mil gaya tumhe to na fir khushi ka basera hoga

agar main tumhari ho gai...

meri nigahon me zehar
meri chaahton me sirf badnami
mere pyaar me hai dhokha
main bewafai ki hun ek nishani

agar mail tumhari ho gai...

har pal ashkon ka aankhon me basera hoga
har pal bas tumhe gum me dube rehna hoga
lub bhul jayenge muskurana sanam
khudko har pal tumhe maarna hoga..

agar main tumhari ho gai....

Bahut khoob Anamika Ji
Kamaal ki peshkash hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #6 on: July 28, 2010, 01:24:56 PM »
bahut bahut shukriya Kasak ji... ye aapka protsaahan hi hai jo humein likhne ke liye majboor karta hai... par humein aapka likha padhne ki aadat si ho gayi hai... kuch likhte aap bhi to humein achcha lagta...!!!

Please take you time and when you feel like replying reply then only.

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
no words for reply klaskar ji.....i m blank right now.....
kis feeling pe likhun kya likhun kuch samjh nahin aaraha...
u have written just wowwww.....ye feel ...ye need ..kisiko paane ki... jyada nahin likh paungi ji.... tearyeyed tearyeyed

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #7 on: July 28, 2010, 05:12:54 PM »
Wah di kya kavita likhi hai.....bahut sunder shabdo ka chayan aur bakhubi sajaaya hai..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Par ek prashn hai.....kyu ?

Chaha tha jo lamha wo mila tujhe
Phir sakhee ye dil se bagaawat kaisi

Mann se chaha tha tumne dulhan banna unki
Phir sakhee ye milan me rukaawat kaisi

<>*Agar main tumhari ho gai*<>

agar main tumhari ho gai...

dil me na koi umang rahegi
na ruuh me sukuun hoga
na aankhon me nind hogi
na tumhe kabhi chain milega

agar main tumhari ho gai to...

har raat karwat badalte guzregi
har din tadapte hue bitega
har lamha dua hogi lub par
har saans me ek toofan hoga

agar main tumhari ho gai...

har pal mangoge apne marne ki dua
har pal maut ka intezar hoga
main dard ka jeeta jagta tohfa hun
mil gaya tumhe to na fir khushi ka basera hoga

agar main tumhari ho gai...

meri nigahon me zehar
meri chaahton me sirf badnami
mere pyaar me hai dhokha
main bewafai ki hun ek nishani

agar mail tumhari ho gai...

har pal ashkon ka aankhon me basera hoga
har pal bas tumhe gum me dube rehna hoga
lub bhul jayenge muskurana sanam
khudko har pal tumhe maarna hoga..

agar main tumhari ho gai....
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #8 on: July 28, 2010, 05:20:44 PM »
Kalaskerji bahut achha lika hai aapne..... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Apne pyaar ko paane k liye kisi bhi hadd tak jaane ka jajbaa...... icon_thumleft

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoob likha hai Kasak ji... par itna dard kyun... kahaan se laati hain aap itna dard... par shabdon ki khoobsurti dekhiye ko bas wah kehne ka mann karta hai...bahut khoob sarkaar ... bahut bahut khoob...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

mujhe kisi umang ki nahi, mujhe to teri jarurat hai,
mere ruh ko sukoon ki nahi, usey to teri jarurat hai,
mere aankhon ko neend ki nahi, tera tasavvur jaruri hai,
mere dil ko chain ki nahi, tujh sang dhadakne ki jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

raaton ko hum jaag bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,
din ki tadap hum jhel bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,
duwaon me bas tu hi hogi, jab tu mere saath me hogi,
har tofaan ko hum jhel bhi lenge, bas tera saath jaruri hai,
sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

maut se bhi humein dar nahi lagta, bas tere saath ki jarurat hai,
zindagi se kabhi chahat hi na ki thi, bas tere saath ki jarurat hai,
tere har dard ko main has ke seh lunga, bas tera saath jaruri hai,
khushiyon ko mai dhund hi lunga, bas tere saath ki jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

tere pyaar me zeher pi lunga, bas tera saath jaruri hai,
har badnaami jhel bhi lunga, bas tera saath jaruri hai,
apne pyaar se tujhe jeet lunga, bas tera sath jaruri hai,
tujhe bewafaa hone nahi dunga, bas tera saath jaruri hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai...

ashkon ko behne nahi dunga, bas mujhe teri jarurat hai,
ghum bhi tere rehne nahi dunga, bas mujhe teri jarurat hai,
muskaan hothon pe le hi aunga, bas mujhe teri jarurat hai,
khudko maarke bhi ji lunga, bas mujhe teri jarurat hai,

sach...mujhe sirf aur sirf teri jarurat hai....
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #9 on: July 28, 2010, 05:22:21 PM »
Khawaish-ji aapne bhi ati-sunder likha hai..... Applause Clapping Smiley Applause Clapping Smiley Applause Clapping Smiley

Bahut Bahut Bahut Khoob Anamika Ji..Behad Khoobsurat jazbaat!!!

Kya kehne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kabhi Kisi Ki Hokar To dekhiye
Kabhi Pyaar Ke jazbo mein Behkar To Dekhiye
Maana Ishq Ki Raah Asaan Nahi,
Par Do kadam hi sahi, Chalkar To dekhiye...

Maana,Judai Dard bahut deti hai
Sanam Ki Ruswaai Jaan Leti Hai
Aankhon Se Ashko Ki motiya Behti hai
Par Kabhi Ishq Ki madhosi mein Behkar to Dekhiye
Do kadam hi Sahi,Par Chalkar To dekhiye...

Duniya Ki Bheed Mein Koi Chehra Apna Lagta Hai
Haqeeqat Ka Ek-Ek pal, Ek haseen sapna Lagta Hai
Bina Wajeh Zindagi mein Khushi Se Chehkar To dekhiye
Do kadam hi Sahi par chalkar To dekhiye....

Ishq Ki har kahaani Mein Dono Ko tadapna Zaroori hota hai
Beshak!!!! Sach Yehi Hai ishq Karne wala hardam Rota Hai
Par Kisi Ke Liye Kabhi Rokar To dekhiye..
Ishq Ki raah Asaan Nahi Par do kadam Hi sahi,Chalkar To dekhiye...

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #10 on: July 29, 2010, 02:10:31 AM »
bahut bahut shukriya Koyal ji... main tahe dil se aapka shukriya adaa karta hoon jo aapne apna waqt diya , ise padha aur pasand kiya...!!!

Kalaskerji bahut achha lika hai aapne..... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Apne pyaar ko paane k liye kisi bhi hadd tak jaane ka jajbaa...... icon_thumleft

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:11:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.208 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer