Agar Tapakta Ashkon Ki Jagah Lahoo...

by Aryaan on May 18, 2005, 09:31:16 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
Print
Author  (Read 5823 times)
Aryaan
Guest
Agar tapakta ashkon ki jagah lahoo aankhon se
Koi kisi ko phir shayed hi rulaata
Dil ke tootne ki hoti jo awaaz
Tau tumhein mere dard ka andaaza ho paata
Yaadein jo na aati yun khamoshi se chupke chupke
Tau mere ghar ki raunaQ hoti teri mehfil se zyada
Na hota agar chaand mein daagh
Teri khubsoorti ka mujhe toar mil jata
Agar karta na koi kisi se be-wafaai
Tau shayron mein mera naam kahan se aata
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
agar tapakta ashqon by husain52 in Shayri-E-Dard
agar tapakta ashkon ke by isha_verma7 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Agar tapakta Ashkon ki jagah Lahoo aankhon se... by TOUCHY in Shayri-E-Dard
Ashkon ki jagah....... by mili_genie in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Ashkon tale Kahkahe.....! by sharmaarunkumar in Shayri for Dard -e- Judai
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #1 on: May 18, 2005, 09:52:05 AM »
Quote from: "Aryaan"
Agar tapakta ashkon ki jagah lahoo aankhon se
Koi kisi ko phir shayed hi rulaata
Dil ke tootne ki hoti jo awaaz
Tau tumhein mere dard ka andaaza ho paata
Yaadein jo na aati yun khamoshi se chupke chupke
Tau mere ghar ki raunaQ hoti teri mehfil se zyada
Na hota agar chaand mein daagh
Teri khubsoorti ka mujhe toar mil jata
Agar karta na koi kisi se be-wafaai
Tau shayron mein mera naam kahan se aata
wahhh aryaan....bohat hi khubsoorat sher likha aapne :D ,very nice.

"Ashq,lahoo,dard,bewafaai,
 pyar karne wale har insaan ne,
 inhi shabdon me zindagi khoyi.....inhi shabdon me zingadi aapyi."
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: May 18, 2005, 10:54:03 AM »
Thanks a lot Nidhi..........................Usual Smile
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #3 on: May 18, 2005, 07:47:08 PM »
Maine socha woh hai be-jaan
Dil bola "yeh pehli mehman"
Woh khari rahi, bas khari rahi
Sochon mei gum, mujhse anjaan
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #4 on: May 19, 2005, 05:07:18 AM »
yahan tuh log ankhen band karke zulam kiya karte hai
aankhon se ashq bahe chahe lahoo vo tuh zakhm diya karte hai
unka nahi vasta kisi ke dard se koi bhi Aryaan
ye tuh vo jalad hai jo jinda logon ko dafan kiya karte hai
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #5 on: May 19, 2005, 05:17:14 AM »
Quote from: "sandhaya"
yahan tuh log ankhen band karke zulam kiya karte hai
aankhon se ashq bahe chahe lahoo vo tuh zakhm diya karte hai
unka nahi vasta kisi ke dard se koi bhi Aryaan
ye tuh vo jalad hai jo jinda logon ko dafan kiya karte hai


WOW very nice......very close to real life situations.........just amazing......and others u guyz r wonderful too!!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #6 on: May 19, 2005, 05:23:58 AM »
Quote from: "isha_verma7"
Quote from: "sandhaya"
yahan tuh log ankhen band karke zulam kiya karte hai
aankhon se ashq bahe chahe lahoo vo tuh zakhm diya karte hai
unka nahi vasta kisi ke dard se koi bhi Aryaan
ye tuh vo jalad hai jo jinda logon ko dafan kiya karte hai


WOW very nice......very close to real life situations.........just amazing......and others u guyz r wonderful too!!!
sukhriya Isha ji..............

hum tuh aashiqh hai sachai ki baat karte hai
jite hai zindgai sachai se gum ke naam pe marte hai
yahan tuh aadat hai sab ko jutt bolne ki SANDHAYA
yahan tuh log sachai ke naam se bhi darte hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: May 19, 2005, 02:08:19 PM »
Thanks Isha..... & Beautiful Sandhaya......Bohat khoob!
Logged
mehek
Guest
«Reply #8 on: May 19, 2005, 02:38:39 PM »
your shaer were so touching that tears felt out of my eye
it was fabulous!!! really touching!!
keep up the good work!!
bye
take care
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #9 on: May 19, 2005, 02:59:29 PM »
Quote from: "mehek"
your shaer were so touching that tears felt out of my eye
it was fabulous!!! really touching!!
keep up the good work!!
bye
take care

Thank you so much Mehek....
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: May 19, 2005, 03:21:57 PM »
Quote from: "Aryaan"
Agar tapakta ashkon ki jagah lahoo aankhon se
Koi kisi ko phir shayed hi rulaata
Dil ke tootne ki hoti jo awaaz
Tau tumhein mere dard ka andaaza ho paata
Yaadein jo na aati yun khamoshi se chupke chupke
Tau mere ghar ki raunaQ hoti teri mehfil se zyada
Na hota agar chaand mein daagh
Teri khubsoorti ka mujhe toar mil jata
Agar karta na koi kisi se be-wafaai
Tau shayron mein mera naam kahan se aata


Wah Aryaan ji........beautiful as always.........kudos to you...

Yahi toh hum toote dil walon ka gam e afsana hai,
Ashk bhari aakhen hai aur bas veeran jamana hai,
Shayar kehti hai dunia hame,bas hum pe hansti hai,
Kabhi na dekha wo dard kissi ne jo hame dikhana hai....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #11 on: May 19, 2005, 03:23:19 PM »
Bohat shukriya thycreator....& Nice Reply......
Logged
thycreator
Guest
«Reply #12 on: May 19, 2005, 03:26:30 PM »
ur welcome dear, it was just a try to reply to match ur beautiful creation.........
Logged
Meena
Guest
«Reply #13 on: May 19, 2005, 03:48:11 PM »
Quote from: "Aryaan"
Agar tapakta ashkon ki jagah lahoo aankhon se
Koi kisi ko phir shayed hi rulaata
Dil ke tootne ki hoti jo awaaz
Tau tumhein mere dard ka andaaza ho paata
Yaadein jo na aati yun khamoshi se chupke chupke
Tau mere ghar ki raunaQ hoti teri mehfil se zyada
Na hota agar chaand mein daagh
Teri khubsoorti ka mujhe toar mil jata
Agar karta na koi kisi se be-wafaai
Tau shayron mein mera naam kahan se aata


humesha ki tara bohot hi khoobsurat likha apne aryaan ji!!!

 :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #14 on: May 19, 2005, 05:42:29 PM »
Shukriya Meena....aap bohat kam likh rahi hain aaj kal?

   
Aaj phir mere dil ki dharkan
tera naam lekar tujhe pukaar rahi hai
Jaane kin tanhaiyon ka ehsaas
 meri rooh ko jhanjhor kar rakh deta hai
Sab kuch jaankar bhi jaane kyun
dil ko jhuti tassalli deta hoon
 Harr haQeeQat se waaQif hote huwe
yeh dil tumhe itna kyun chahata hai
Keh teri judaai mein isey  dharakana bhi gawaara nahi....
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:31:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer