Agar Tapakta Ashkon Ki Jagah Lahoo...

by Aryaan on May 18, 2005, 09:31:16 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
Print
Author  (Read 5903 times)
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #15 on: May 19, 2005, 05:50:08 PM »
Quote from: "Aryaan"
Shukriya Meena....aap bohat kam likh rahi hain aaj kal?

   
Aaj phir mere dil ki dharkan
tera naam lekar tujhe pukaar rahi hai
Jaane kin tanhaiyon ka ehsaas
 meri rooh ko jhanjhor kar rakh deta hai
Sab kuch jaankar bhi jaane kyun
dil ko jhuti tassalli deta hoon
 Harr haQeeQat se waaQif hote huwe
yeh dil tumhe itna kyun chahata hai
Keh teri judaai mein isey  dharakana bhi gawaara nahi....
very nice aryaan...... Usual Smile

Kuch likho meena sis Puzzled !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
agar tapakta ashqon by husain52 in Shayri-E-Dard
agar tapakta ashkon ke by isha_verma7 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Agar tapakta Ashkon ki jagah Lahoo aankhon se... by TOUCHY in Shayri-E-Dard
Ashkon ki jagah....... by mili_genie in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Ashkon tale Kahkahe.....! by sharmaarunkumar in Shayri for Dard -e- Judai
Aryaan
Guest
«Reply #16 on: May 19, 2005, 06:09:49 PM »
Bohat bohat shukriya Nidhi.........suna Meena aap ne? kuch likhiye.....ab tau Nidhi bhi keh rahi hain...Usual Smile
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #17 on: May 20, 2005, 10:39:26 AM »
Aryaan ji very nice wording again .........

teri har baat dil ko chu jati hai
abh saanson se bhi teri khusbhu aati hai
na jane kyun bina jane mujhe hassati hai
kya hai mahobaat kyun mere dil pe dastak lagati hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #18 on: May 20, 2005, 01:33:39 PM »
Quote from: "Aryaan"
Bohat bohat shukriya Nidhi.........suna Meena aap ne? kuch likhiye.....ab tau Nidhi bhi keh rahi hain...Usual Smile


well aryaan ji aur nidhi sis:

alfaz nahin milte, aab koi nazm kya banaon,
kahi tu mbhi na ro pado, aab koi zakhm kya dikhaon!  :wink:

waise doosre sections me bhi dekhiyega waha bhi psot karit hoon shayari mai: http://www.yoindia.com/forums/forum32.html

 :D
Logged
mehek
Guest
«Reply #19 on: May 20, 2005, 02:24:50 PM »
zakhm chipalo chahe jitne
dard aansu ban ke chalkenge
pathar dil nahi saare is duniya mein
dilwale aankhon ki zuban padlenge
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #20 on: May 21, 2005, 02:22:07 AM »
Quote from: "sandhaya"
Aryaan ji very nice wording again .........

teri har baat dil ko chu jati hai
abh saanson se bhi teri khusbhu aati hai
na jane kyun bina jane mujhe hassati hai
kya hai mahobaat kyun mere dil pe dastak lagati hai

Thanx alot Sandhaya..... & Beuatiful Reply!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #21 on: May 21, 2005, 02:24:37 AM »
Quote from: "Meena"
Quote from: "Aryaan"
Bohat bohat shukriya Nidhi.........suna Meena aap ne? kuch likhiye.....ab tau Nidhi bhi keh rahi hain...Usual Smile


well aryaan ji aur nidhi sis:

alfaz nahin milte, aab koi nazm kya banaon,
kahi tu mbhi na ro pado, aab koi zakhm kya dikhaon!  :wink:

waise doosre sections me bhi dekhiyega waha bhi psot karit hoon shayari mai: http://www.yoindia.com/forums/forum32.html

 :D

Meena... aapka style hi alag hai......Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #22 on: May 21, 2005, 02:46:57 AM »
Quote from: "mehek"
zakhm chipalo chahe jitne
dard aansu ban ke chalkenge
pathar dil nahi saare is duniya mein
dilwale aankhon ki zuban padlenge

Nice One Mehek..


Who mehfil hi kya jis mein
shama na ho
Who dil hi kya jis mein
yaad na ho
Who masjid hi kya jis mein
Khuda na ho
Who savera hi kya jis mein
Aaftaab ki laali na ho
Who suhaani raat hi kya jis mein
Chaand ki chandni na ho
Woh Zindagi hi kya jis mein
Kisi ke diye zakhm na hon
Logged
thycreator
Guest
«Reply #23 on: May 21, 2005, 04:32:18 AM »
Quote from: "sandhaya"
Aryaan ji very nice wording again .........

teri har baat dil ko chu jati hai
abh saanson se bhi teri khusbhu aati hai
na jane kyun bina jane mujhe hassati hai
kya hai mahobaat kyun mere dil pe dastak lagati hai


Wah..typical of sandhaya stuff.....
Kyu padh kar tumhe lagta hai ki aaina dekha humne,
Aise hi toh nahi mere dil ko koi chu jata hai............;-)
Logged
thycreator
Guest
«Reply #24 on: May 21, 2005, 04:35:11 AM »
Quote from: "Meena"
well aryaan ji aur nidhi sis:

alfaz nahin milte, aab koi nazm kya banaon,
kahi tu mbhi na ro pado, aab koi zakhm kya dikhaon!  :wink:

waise doosre sections me bhi dekhiyega waha bhi psot karit hoon shayari mai: http://www.yoindia.com/forums/forum32.html

 :D


Wah Meena ji......
Zhakm chupane se kabhi dard toh kam hota nahi hai,
Aansoo se bhari aankhen bhi dastaa sunati hai.........
Logged
thycreator
Guest
«Reply #25 on: May 21, 2005, 04:39:10 AM »
Quote from: "mehek"
zakhm chipalo chahe jitne
dard aansu ban ke chalkenge
pathar dil nahi saare is duniya mein
dilwale aankhon ki zuban padlenge


Wah Mehek ji.........gud one...
Dil walon ki bat nikali hai toh yu hi hans pade hai hum,
Dard aakhon mein liye firte hai wo deewano ki tarah,
Aise toh dunia mein har koi hi ghamjada hai aye dost,
Par wo gamgeen hai auron ke dard apne seene mein dekh kar.
Logged
thycreator
Guest
«Reply #26 on: May 21, 2005, 04:42:15 AM »
Quote from: "Aryaan"
Nice One Mehek..


Who mehfil hi kya jis mein
shama na ho
Who dil hi kya jis mein
yaad na ho
Who masjid hi kya jis mein
Khuda na ho
Who savera hi kya jis mein
Aaftaab ki laali na ho
Who suhaani raat hi kya jis mein
Chaand ki chandni na ho
Woh Zindagi hi kya jis mein
Kisi ke diye zakhm na hon


Wah Aryaan ji,
Yahi toh gam e jindagi hai warna bat hi kya thi,
Yahan har seh hi kissi na kissi ka gulam hai......
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #27 on: May 21, 2005, 05:00:46 AM »
sukhriya Aryaan ji aur Creator ji ...........and nice work both of u ..........good

Tere intezaar main hai itni sidaat
tere pyar ko hum kaise sahenge
yahi soch ke sayad uss khuda ne
hume tujhe pane ki kismat nahi bakhsi
Logged
thycreator
Guest
«Reply #28 on: May 21, 2005, 05:05:39 AM »
Quote from: "sandhaya"
sukhriya Aryaan ji aur Creator ji ...........and nice work both of you ..........good

Tere intezaar main hai itni sidaat
tere pyar ko hum kaise sahenge
yahi soch ke sayad uss khuda ne
hume tujhe pane ki kismat nahi bakhsi


Wah Wah Sandhaya ji......cool..

Kissi pane ki jaddojehed hai iss dil ko mai na samajh paya,
Kabse khuda ko talasha aur wo mujhe mehboob mein mila...;-)
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #29 on: May 21, 2005, 05:08:02 AM »
meena ji and mehek ji aapne bhi bahut acha likha hai ..........

Hum tuh auro ko hassi de ke unke aansu lete hai
na jane phir bhi kyun ye log hume marne ki dua dete hai
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:56:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer