Agar Tapakta Ashkon Ki Jagah Lahoo...

by Aryaan on May 18, 2005, 09:31:16 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
Print
Author  (Read 5866 times)
apnaa_koi
Guest
«Reply #60 on: May 25, 2005, 06:39:37 PM »
Quote from: "Aryaan"
Agar tapakta ashkon ki jagah lahoo aankhon se
Koi kisi ko phir shayed hi rulaata
Dil ke tootne ki hoti jo awaaz
Tau tumhein mere dard ka andaaza ho paata
Yaadein jo na aati yun khamoshi se chupke chupke
Tau mere ghar ki raunaQ hoti teri mehfil se zyada
Na hota agar chaand mein daagh
Teri khubsoorti ka mujhe toar mil jata
Agar karta na koi kisi se be-wafaai
Tau shayron mein mera naam kahan se aata


Kalam apka kitne arsaani say haqeekat bayarn kertha hai, achaa lagaa sher...

Always Anjli
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
agar tapakta ashqon by husain52 in Shayri-E-Dard
agar tapakta ashkon ke by isha_verma7 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Agar tapakta Ashkon ki jagah Lahoo aankhon se... by TOUCHY in Shayri-E-Dard
Ashkon ki jagah....... by mili_genie in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Ashkon tale Kahkahe.....! by sharmaarunkumar in Shayri for Dard -e- Judai
fakharenaveed
Guest
«Reply #61 on: May 25, 2005, 09:47:57 PM »
Sharm-o-haya ki kya baat karein hum unn se,
Deewanagi mein woh sab bhulaie baithey hain
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #62 on: May 26, 2005, 03:06:03 AM »
Quote from: "apnaa_koi"
Quote from: "Aryaan"
Agar tapakta ashkon ki jagah lahoo aankhon se
Koi kisi ko phir shayed hi rulaata
Dil ke tootne ki hoti jo awaaz
Tau tumhein mere dard ka andaaza ho paata
Yaadein jo na aati yun khamoshi se chupke chupke
Tau mere ghar ki raunaQ hoti teri mehfil se zyada
Na hota agar chaand mein daagh
Teri khubsoorti ka mujhe toar mil jata
Agar karta na koi kisi se be-wafaai
Tau shayron mein mera naam kahan se aata


Kalam apka kitne arsaani say haqeekat bayarn kertha hai, achaa lagaa sher...

Always Anjli

Thanks a lot Anjli....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #63 on: May 26, 2005, 03:30:58 AM »
Unko deykha to aisa laga,
Jaisey woh intazar mein baithey thay,
Ki koi to aayie iss taraf ko aaye...
Hanthon mein sanngh uthaie baithey thay.
Logged
jalpari
Guest
«Reply #64 on: May 27, 2005, 04:10:34 AM »
Lazim nahin ke usko bhi mera khayaal ho
Jo mera haal hai hai woh uska bhi haal ho
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #65 on: May 28, 2005, 06:57:39 PM »
Nafas nafas pe ubharti hon sooliaan jaise
Hayaat itni tau pehle kabhi tabaah na thi

Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #66 on: May 28, 2005, 08:11:26 PM »
Jo mera haal hai hai woh uska bhi haal ho
Khuda kre woh khush ho chahe jo bhi hal ho
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #67 on: June 20, 2005, 02:54:38 AM »
Iss zindagi ki shaam ka, mujhe darr tha iss anjaam ka
Mujhe ek aansoo ki tarha kaheen aankh se tum gira na do
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #68 on: June 22, 2005, 12:56:45 AM »
Jab Bhi Sooraj Ki Tapash Tujhe Sataane Lage
Ban Ke Baadal Main Tujh Pe Barasne Lagoon
Jab Bhi Bijli Ki karak Tujhe Daraane Lage
Ban Ke Hawa Tujhe Khud Main samait Loon
Jab Bhi Tu Andhere Se Ghabraane Lage
Ban Ke Jugnoo Tere Gird Mandlaaney Lagoon
Jab Bhi Tujhe Meri Yaad Sataaye
Ban Ke Moti Teri Aankh Se Tapkoon
...
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #69 on: June 22, 2005, 07:21:22 AM »
kya baat hai Aryaan very nice

Tujhe jo aankhon main basayega
phir kabhi na tujhe aankh se girayega
tuh tu hai deikhta ek dhakhan ki tarah
koi kaise tujhe chah se bhi khud se juda kar payega
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #70 on: June 22, 2005, 07:46:14 AM »
Wel said all.. Aryaan and sndhaya...



Keep it up..

Ques...

************************************
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #71 on: June 22, 2005, 12:47:01 PM »
Quote from: "sandhaya"
kya baat hai Aryaan very nice

Tujhe jo aankhon main basayega
phir kabhi na tujhe aankh se girayega
tuh tu hai deikhta ek dhakhan ki tarah
koi kaise tujhe chah se bhi khud se juda kar payega

Shukriya Sandhaya.. & beautiful reply.....

Shukriya Qutubuddin....
Logged
jalpari
Guest
«Reply #72 on: June 22, 2005, 04:33:36 PM »
Quote from: "Aryaan"
Jab Bhi Sooraj Ki Tapash Tujhe Sataane Lage
Ban Ke Baadal Main Tujh Pe Barasne Lagoon
Jab Bhi Bijli Ki karak Tujhe Daraane Lage
Ban Ke Hawa Tujhe Khud Main samait Loon
Jab Bhi Tu Andhere Se Ghabraane Lage
Ban Ke Jugnoo Tere Gird Mandlaaney Lagoon
Jab Bhi Tujhe Meri Yaad Sataaye
Ban Ke Moti Teri Aankh Se Tapkoon
...

Bohat ache Aryaan, bohat hi acha likhte ho tum......
Logged
dhruv_dvd
Guest
«Reply #73 on: June 22, 2005, 05:13:17 PM »
Mitti meri kabr se chura raha hai koi,
mar kar bhi yaad aa raha hai koi,
ae khuda ek pal ki zindagi aur de mujhe....
udaas hokar meri kabr se jaa raha hai koi..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #74 on: June 22, 2005, 10:40:08 PM »
Thank you Jalpari.....& Nice One dhruv_dvd ........
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 07:16:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer