Ahmed Faraaz Ji, Ki Dil Choone Waali Shayaris,.

by Jaanasheen on December 22, 2008, 01:36:19 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11
Print
Author  (Read 11922 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #105 on: January 22, 2009, 03:17:10 PM »
Shukriya Bekarar Bhaiya,.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghazl of Ahmed Faraaz by fayaz ali shaikh in SMS , mobile & JOKES
SHAYARIS FROM MY LUV by arsenmen in SMS , mobile & JOKES
Gazaloun Key Saath : Janab Ahmed Faraaz Sahib Kee Yaad Mein! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
CHOONE SE BIKHAR JAUNGA.... by pandit in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
diya786
Guest
«Reply #106 on: January 29, 2009, 10:53:26 AM »
Yeh meri personal fav8 mein se hai Azeem
kaafi had tak meri zindagi k aaina bhi hai

Haath uthey hain magar lab pe dua koi nahin
ki ibaadat bhi woh ki jiski jazaa koi nahin

Yeh bhi waqt aanaa thaa ab to khosh har aawaaz hai
aur mere barbaad-e-dil mein sadaa koi nahin

Aa ke ab tasleem kar le tuu nahin to ab main sahii
kaun manega ki hum mein bewafaa koi nahin

Waqt ne woh khaak udhaai hai ki dil ke dasht se
qaafile guzre hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahin

Khud ko yuun mahasuur kar baitha hoon apni zaat mein
manzilein chaaron taraf hain raasta koi nahin

Kaise raaston se chale aur kis jagah pahuche 'Faraz'
yaa hujoom-e-dostaan thaa saath yahan koi nahin
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #107 on: January 29, 2009, 11:53:54 AM »
bahoot khoob diya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #108 on: January 29, 2009, 12:29:20 PM »
Yeh meri personal fav8 mein se hai Azeem
kaafi had tak meri zindagi k aaina bhi hai

Haath uthey hain magar lab pe dua koi nahin
ki ibaadat bhi woh ki jiski jazaa koi nahin

Yeh bhi waqt aanaa thaa ab to khosh har aawaaz hai
aur mere barbaad-e-dil mein sadaa koi nahin

Aa ke ab tasleem kar le tuu nahin to ab main sahii
kaun manega ki hum mein bewafaa koi nahin

Waqt ne woh khaak udhaai hai ki dil ke dasht se
qaafile guzre hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahin

Khud ko yuun mahasuur kar baitha hoon apni zaat mein
manzilein chaaron taraf hain raasta koi nahin

Kaise raaston se chale aur kis jagah pahuche 'Faraz'
yaa hujoom-e-dostaan thaa saath yahan koi nahin


Bohat Bohat Achchi Hai, Ab ye Meri Bhi Pasandida Shayari Hai,.
Thanks For Sharing Kashish Ji,.
Logged
deewaani
Guest
«Reply #109 on: February 03, 2009, 12:12:30 PM »
Main Uska Hoon, Ye Raaz To usne jaan Liya "Faraaz,.
Wo Kiska Ka Hai,. Ye Sawal Mujhe Sone Nahi Deta,.

Wah... bohat nice sharing...
Logged
deewaani
Guest
«Reply #110 on: February 03, 2009, 12:13:50 PM »
Kitni Ajeeb hai Nekiyohn Ki Justaju Faraaz,.
Namaaz Bhi Jaldi Pardh Lete Hain Gunaah karne Ke Liye,.



bohat khoob..!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #111 on: February 03, 2009, 12:18:02 PM »
Shukriya Deewaani, And Welcome To Yoindia,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #112 on: February 03, 2009, 01:48:16 PM »
Faraz Sahab humesha mere pasandeeda shayaron main rahe hain...Allah unhe Jannat naseeb kare......Nice collection Janasheen
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #113 on: February 03, 2009, 01:50:02 PM »
Aameen, And Thank U Sis,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #114 on: February 05, 2009, 02:58:17 AM »
Barson ke baad dekha ek shakhs dilruba sa,
ab zehen mein nahi hia par naam tha bala sa,

abaroo khinche khinche se aankhein jhuki jhuki si,
baatein ruki ruki si lehja thaka thaka sa,

alfaaz the ke jugnoo aawaz ke safar mein,
ban jaaye jangalon mein jis tarah raasta sa,

Khwaabon mein khwaab uske yaadon mein yaad uski,
neendon mein ghul gaya ho jaise ke rattjaga sa,

Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein,
wo har tarah se lekin auron se tha juda sa,

Agli mohabbatone wo na-muraadiyan di,
taaza rafaqatonse dil tha dara dara sa,

Kuchh ye ke muddaton se kam bhi nahi the roye,
kuch zeher mein bujha tha ehbaab ka dilasa,

Phir yun hua ke saawan aankhon mein aa base the,
phir yun hua ke jaise dil bhi tha aabala sa,

Ab sach kahein to yaaron humko khabar nahi thi,
ban jayega qayamat ek waaqeya zara sa,

Tevar the berukhi ke andaaz dosti ke,
wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa,

Hum dasht the ke dariya hum zeher the ke amrit,
naahaq tha zonum humko jab wo nahi tha pyaasa,

humne bhi usi ko dekha kal shaam ittefaaqan,
apna bhi haal hai ab logon 'faraz' ka sa...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #115 on: February 05, 2009, 02:59:05 AM »
Kuch Tu Hee Mere Dard Ka Mafhoom Samajh Lay Faraz,
Hansta Howa Chehra To Zamaane Ke Liye Hay....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #116 on: February 05, 2009, 03:00:15 AM »
Tum Taalluq todne Ka Kahin ZiQr Na Karna Faraz,
Main Logon Se Keh Doonga Ke use Fursat Nahi Milti...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #117 on: February 05, 2009, 03:01:16 AM »
Kuch is tarah nazar andaaz ho gay Faraz
Jaise izafi hurf the hum teri zindagi ki kitaab me...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #118 on: February 05, 2009, 11:49:14 AM »
Waah Waah, Kya Baat Hai, Huzaina Aapa,.
Kamaal Ki Collection Hai, Thank U Hamaare Beech Share Karne Ke LIye,.
Logged
deewaani
Guest
«Reply #119 on: February 05, 2009, 03:39:38 PM »
Sochta Hoo K Kabi Tery Dil Mai Uter Kar Daikh Loo Faraz
Kon Basa Hai Tery Dil Mai Jo Mughey Basnay Nai Daita
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:38:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer