Ahmed Faraaz Ji, Ki Dil Choone Waali Shayaris,.

by Jaanasheen on December 22, 2008, 01:36:19 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11
Print
Author  (Read 11836 times)
deewaani
Guest
«Reply #120 on: February 05, 2009, 03:40:12 PM »
Aankhen Khuli Tou Jaag Uthi Hasraten “FARAZ”
Us Ko Bhi Kho Diya Jisay Paya Tha Khuwab Main..!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghazl of Ahmed Faraaz by fayaz ali shaikh in SMS , mobile & JOKES
SHAYARIS FROM MY LUV by arsenmen in SMS , mobile & JOKES
Gazaloun Key Saath : Janab Ahmed Faraaz Sahib Kee Yaad Mein! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
CHOONE SE BIKHAR JAUNGA.... by pandit in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
deewaani
Guest
«Reply #121 on: February 05, 2009, 03:40:58 PM »
Wo Parinda Jisy Apni Parwaaz Sy Fursat Na Thi
FARAZZ
Aaj Tanha Howa To Meri Hi Deewar Pay Aa Baitha
Logged
deewaani
Guest
«Reply #122 on: February 05, 2009, 03:41:57 PM »
Kitni Nafrat Hy Usay Teri Tasveer Se Faraz
K Apna Hath He Jala Dala Teri Tasveer Jalany K Bad
Logged
deewaani
Guest
«Reply #123 on: February 05, 2009, 03:44:31 PM »
Us Ne Ik Baar Bataya Tha Mujhe
K Barasti Barish Se Ishq Hai Usko
So Uska Ishq Apnanay K Liye Faraz
Meri Aankhen Her Raat Barasti Hain
Logged
deewaani
Guest
«Reply #124 on: February 05, 2009, 03:45:26 PM »
Dil To Roya Tha Faraz Khoon Kay Aansu Lekin
Aankhon Ne Tere Raaz Ko Ruswa Na Kya
Logged
deewaani
Guest
«Reply #125 on: February 05, 2009, 03:46:45 PM »
Uss Fizaa Mein Bhi Jalte Rahe Hum Kisi K Liye
FARAZ
Jahan Chirag Taraste Thay Roshni K Liye
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #126 on: February 05, 2009, 03:51:49 PM »
Khush Kar Diya Deewaani Ji Aapne In Ashaaron KO Post Karke,.
Maine Pardhe Nahi The, Inke Ye Ashaar,.

Thank U Very Very Much,.

Dil Sach Mein Bohat Khush Hua,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #127 on: February 05, 2009, 03:56:14 PM »
ham to yuN Khush the ke ek taar gariibaan meN hai
kyaa khabar thii ke bahaar uske bhi armaan meN hai

ek zarb aur bhii ai zindagii tesha-e-badast
saaNs lene kii sakat ab bhii merii jaan meN hai

maiN tujhe kho ke bhi zindaa huN, ye dekhaa tuune
kis qadar hoaslaa haare hue insaan meN hai

faasile qurb ke sholon ko havaa dete hain !
main tere shh’r se duur aur tuu mere dhyaan meN hai

sar diivaar farozaaN hai, hai abhii ek chiraaG
ai naseem-e-sahrii ! kuch tere imkaan meN hai

dil dhaRakne kii sadaa aatii hai gaahe gaahe
jaise ab bhii terii aavaaz mere kaan meN hai

khalqat-e-shah’r ke har zulm ke bawasaaf “Faraz”
haaye vo haath ke apne hii gariibaan meN hai

Ahmed Faraz
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #128 on: February 05, 2009, 03:59:08 PM »
tujhse bicchaR ke ham bhii muqaddar ke ho gaye
phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye

phir yuN hu’aa ke Ghair ko dil se lagaa liyaa
andar vo nafrateN thiiN ke baahar ke ho gaye

kyaa log the ke jaan se baRh kar aziiz the
ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye

ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye

samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-e-shehar
phir raftaa raftaa Khud usii kaafir ke ho gaye

ab ke na intizaar kareN chaaragar kaa ham
ab ke gaye to kuu-e-sitamgar ke ho gaye

rote ho ek jaziira-e-jaaN ko “Faraz” tum
dekho to kitne shah’r samandar ke ho gaye

Ahmed Faraz
Logged
deewaani
Guest
«Reply #129 on: February 05, 2009, 04:00:15 PM »
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ
Kacha Makan Hai Tera Kuch Yu Khayal Kar

------------------------------

Aap Chahay Bhula Dain Hamain Ek Pal Main Hi FARAZZ
Aapko Bhulanay Main Shayad Hamain Zamana Lagay

------------------------------

Mudatoon Baad Mila To Naam Pooch Liya ! FARAZ
Bicharte Waqt Jis Ne Kaha Tha K Tum Bohat Yaad Aaoge

------------------------------

Iqrar Karte Hain Ab Mohabbat Ka Woh Bhi FARAZZ
Jab Duniya Chor K Hum Janay Lagay Hain

------------------------------

KhudKhushi Karne Ki Kya Zaroorat Haii FARAZ
Suna Hai Wo To Apni Adaa'on Se Qatl-e-Aam Kartay Hain


---------

bohat shukriya Janasheen bhai, plz dua'on main yaad rakhiyai ga
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #130 on: February 05, 2009, 04:01:34 PM »
dil giraftaa hii sahii bazm sajaa lii jaaye
yaad-e-janaaN se ko’ii shaam na khaalii jaaye

raftaa raftaa yahii zindaaN meN badal jaate haiN
ab kisii shah’r kii bunyaad na daalii jaaye

mas’haf-e-ruKh hai kisii kaa ke bayaaz-e-Hafiz
aise chehre se to bas faal nikaalii jaaye

vo muravvat se milaa hai to jhukaa duun gardan
mere dushman kaa ko’ii vaar na khaalii jaaye

be-navaa shah’r kaa saayaa hai ke mere dil pe “Faraz”
kis tarah se merii aashuftaa Khyaalii jaaye

Ahmed Faraz
Logged
angel4u
Guest
«Reply #131 on: February 05, 2009, 04:09:43 PM »
Welcome azeem...
Logged
deewaani
Guest
«Reply #132 on: February 05, 2009, 04:23:06 PM »
Ghazal: Teri Baatain Hi Sunane Aye
(They Came Only to Talk of You)



They came only to talk of you

My friends came only to break my heart

When flowers bloom, I start wondering
Whether the times of your return have arrived.

Such a quietude has taken over me as if
I have come to narrate to you how I've been!

Love stands alone at the end of the path of Sorrow
Who offers to share such a burden?

Look at me, O stranger friend
I have come to remind you of something...

My heart beats during the din of the journey,
Would someone come to ask me to return back?

Now I realise even crying makes me ache,
Perhaps I will come to my senses now.

Did a ghetto burn down again, somewhere?
Is that why people have come out to celebrate?

Lie down in the lap of death, Faraz,


Who knows when Sleep will come!
Logged
deewaani
Guest
«Reply #133 on: February 05, 2009, 04:23:37 PM »
kuchh na kisii se bole.nge


kuchh na kisii se bole.nge
tanhaa_ii me.n ro le.nge

ham berahabaro.n kaa kyaa
saath kisii ke ho le.nge

[berahabaro.n=pathless travellers]

Khud to hue rusavaa lekin
tere bhed na khole.nge

jiivan zahar bharaa saaGar
kab tak amrit ghole.nge

niind to kyaa aayegii 'Faraz'
maut aa_ii to so le.nge
Logged
deewaani
Guest
«Reply #134 on: February 05, 2009, 04:24:21 PM »
terii baate.n hii sunaane aaye


terii baate.n hii sunaane aaye
dost bhii dil hii dukhaane aaye

phuul khilate hai.n to ham sochate hai.n
tere aane ke zamaane aaye

aisii kuchh chup sii lagii hai jaise
ham tujhe haal sunaane aaye

ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-Gam
kaun ye bojh uThaane aaye

ajanabii dost hame.n dekh ke ham
kuchh tujhe yaad dilaane aaye

dil Dha.Dakataa hai safar ke hangaam
kaash phir ko_ii bulaane aaye

ab to rone se bhii dil dukhataa hai
shaayad ab hosh Thikaane aaye

kyaa kahii.n phir ko_ii bastii uja.Dii
log kyuu.N jashn manaane aaye

so raho maut ke pahaluu me.n 'Faraz'
niind kis vaqt na jaane aaye
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:58:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer