Ahmed Faraaz Ji, Ki Dil Choone Waali Shayaris,.

by Jaanasheen on December 22, 2008, 01:36:19 PM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11
Print
Author  (Read 11740 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #135 on: February 05, 2009, 05:05:02 PM »
Good One Again Deewaani Ji,.
May Alla Bless You,.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghazl of Ahmed Faraaz by fayaz ali shaikh in SMS , mobile & JOKES
SHAYARIS FROM MY LUV by arsenmen in SMS , mobile & JOKES
Gazaloun Key Saath : Janab Ahmed Faraaz Sahib Kee Yaad Mein! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
CHOONE SE BIKHAR JAUNGA.... by pandit in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
deewaani
Guest
«Reply #136 on: February 13, 2009, 09:30:43 AM »
Tamaam umar ussi k khayaal mai guzri "Faraz",
Mera khayaal jissay umar bhar nahin aaya...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #137 on: February 13, 2009, 10:09:13 AM »
Tamaam umar ussi k khayaal mai guzri "Faraz",
Mera khayaal jissay umar bhar nahin aaya...

Waah Waah Kya Ashaar Share Kiye Hain Aapne,.
Dil Khush Hogaya Pardhke,.

Yunhi Post Kar Te Rahein,.

May Allah Bles You,.

Logged
deewaani
Guest
«Reply #138 on: February 13, 2009, 11:08:54 AM »
Ameen thank you Azeem bhai Allaah taa'la aapki saari mushkilain door Karray, Ameen

---

phir usi raahaguzar par shaayad
ham kabhi mil sake magar shaayad


jaan pahchaan se kya hoga
phir bhi ai dost gaur kar shaayad


muntazir jin ke ham rahe un ko
mil gaye aur hamsafar shaayad


jo bhi bichde hain kab mile hain "Faraz"
phir bhi tu intazaar kar shaayad


-Ahmed Faraz
Logged
deewaani
Guest
«Reply #139 on: February 13, 2009, 11:25:30 AM »
`Faraz` ab koi sauda koi junun bhi nahi
Magar qarar se din kaT rahe hon yun bhi nahi

Lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fan bhi mila
Magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahi

Meri zuban ki luknat se badguman na ho
Jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahi

`Faraz` jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
Tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahi

Logged
deewaani
Guest
«Reply #140 on: February 13, 2009, 11:33:13 AM »
Barason ke baad dekhaa ik shaKhs dil rubaa saa
Ab zehan mein nahin hai par naam thaa bhalaa saa

Abaru khinche khinche se aankhen jhukii jhukii sii
Baaten rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

Alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar mein
Ban jaaye jangalon mein jis tarah raastaa saa

Khvaabon mein Khvaab us ke yaadon mein yaad us kii
Niindon mein ghul gayaa ho jaise ke rat-jagaa saa

Pahale bhii log aaye kitane hii zindagii mein
Vo har tarah se lekin auron se thaa judaa saa


Agalii muhabbaton ne vo naa-muraadiyaan dein
Taazaa rafaaqaton se dil thaa Daraa Daraa saa

Kuchh ye ke muddaton se ham bhii nahin the roye
Kuchh zahar mein bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

Phir yun huaa ke saavan aankhon mein aa base the
Phir yun huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

Ab sach kahen to yaaro ham ko Khabar nahin thii
Ban jaayegaa qayaamat ik vaaqia araa saa

Tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
Vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

Ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
Naahaq thaa zonum ham ko jab vo nahin thaa pyaasaa

Ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
Apanaa bhii haal hai ab logo `Faraz` kaa saa
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #141 on: February 13, 2009, 12:01:52 PM »
Bohat kamaal Ki Sharing Ki Hai Aapne,.
D Aapa,.
May Allah Bless You too,.
Khush Raho, Aallah Aapki Bhi Har Pareshaani Door Kare,.
Logged
deewaani
Guest
«Reply #142 on: February 13, 2009, 01:14:50 PM »
Ameen, aapki bhi

Zabt-e-gham iss qadr asaan nahin hai Faraz
Aag hotay hain woh aansu jo piyay jaatay hain...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #143 on: February 13, 2009, 01:21:54 PM »
Ameen, aapki bhi

Zabt-e-gham iss qadr asaan nahin hai Faraz
Aag hotay hain woh aansu jo piyay jaatay hain...


Waah Nice One Again,.
Logged
diya786
Guest
«Reply #144 on: April 07, 2009, 10:01:55 AM »
Khwab marte nahin
khwab dil hai na aankhein na saansein ke jo
rezaa rezaa hue to bikhar jaayenge
jism ke maut se yeh bhi mar jaayenge

Khwab marte nahin
khwab to raushni hai navaa hai havaa hai
jo kaale pahaadon se bhi rukte nahin hain
zulm ke dozakhon se bhi phukate nahin hain
raushni havaa aur navaa ke aalam
muqtalon mein pahunch kar bhi jhukte nahin hain

Khwab to harf hain
khwab to noor hain
khwab to suqraat hain
khwab to mansuur hain...


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #145 on: April 07, 2009, 11:28:52 AM »
Khwab marte nahin
khwab dil hai na aankhein na saansein ke jo
rezaa rezaa hue to bikhar jaayenge
jism ke maut se yeh bhi mar jaayenge

Khwab marte nahin
khwab to raushni hai navaa hai havaa hai
jo kaale pahaadon se bhi rukte nahin hain
zulm ke dozakhon se bhi phukate nahin hain
raushni havaa aur navaa ke aalam
muqtalon mein pahunch kar bhi jhukte nahin hain

Khwab to harf hain
khwab to noor hain
khwab to suqraat hain
khwab to mansuur hain...




Nice One Kashish Ji,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #146 on: April 14, 2009, 07:03:22 AM »
Just too amazing Azeem...

Bahut Bahut Khoob..
Thanks for sharing..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #147 on: April 14, 2009, 07:06:16 AM »
Tu paas bhi ho to dil beqaraar apna hai,
ke hum ko tera nahin intezaar apna hai,

'faraz' raahat-e-jaan bhi wohi hia kya kijiye,
wo jiske haath se seena-figaar apna hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #148 on: April 14, 2009, 07:10:56 AM »
Zakhm Ko Phool to Sar Sar Ko Saba kehte hai,
jaane kya daur hia kya log hia, kya kehte hai,

Kya qayamat hai ke jinke liye ruk ruk ke chale,
ab wohi log hamein aabalaapaa kehte hai,

koi batlao ke ek umr ka bichhda mehboob,
ittefaaqan kahin mil jaaye to kya kehte hai,

ye bhi andaaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri,
gamza-o-ishwa-o-andaaz-o-ada kehte hai,

jab talak door hai tu teri parastish kar lein,
hum jise chhu na sakein usko khuda kehte hai,

Kya tajjub hai ke hum ahl-e-tamanna ko 'Faraaz',
wo jo mehroom-e-tamanna hai, bura kehe hai...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #149 on: April 14, 2009, 07:15:15 AM »
Just too amazing Azeem...

Bahut Bahut Khoob..
Thanks for sharing..

Shukriya Huzaina Sis,.
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:52:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer