Ahmed Faraaz Ji, Ki Dil Choone Waali Shayaris,.

by Jaanasheen on December 22, 2008, 01:36:19 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 11
Print
Author  (Read 11928 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #75 on: December 23, 2008, 12:17:17 PM »
Shukriya Kashish Ji,.
Aur Shukriya Ke Aap Bhi Saath Dene Ke Liye,.
Ahmed Faraaz Ji Ki Nazm Ko Share Kiya,.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghazl of Ahmed Faraaz by fayaz ali shaikh in SMS , mobile & JOKES
SHAYARIS FROM MY LUV by arsenmen in SMS , mobile & JOKES
Gazaloun Key Saath : Janab Ahmed Faraaz Sahib Kee Yaad Mein! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
CHOONE SE BIKHAR JAUNGA.... by pandit in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #76 on: December 23, 2008, 12:26:06 PM »
Dasht-e-Gurbat Mein Tumhe Kaun Pukaarega "Faraaz',.
Chal Pardo Khud Hi Jidhar Dil Ki Sadaa Le Jaaye,.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #77 on: December 23, 2008, 05:37:33 PM »
Kya Baat hai Azeem Bro...aapka teh dil se shukriya jo aapne humein Faraaz  saheb ki itni khoob shayari padhne ka mauka diya..

bahut hi khoob likha hai faraaz saheb ne,padhkar Rooh ko ek sukoon sa mila... Applause Applause Applause Applause

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #78 on: December 23, 2008, 05:42:01 PM »
Der Se Aankh Pe Utara Nahi Ashko ka Ajaab,
Apne Zimme Hai Tera Karz Na Jaane Kab se...
                    -Ahmed Faraaz-
Logged
diya786
Guest
«Reply #79 on: December 24, 2008, 03:02:04 PM »
Ek aur nazm pesh hai Azeem sahab
gaur farmaiyega...

Hu.ii hai shaam to aa.nkhon mein bas gaya phir tuu
Kahaa.n gaya hai mere shar ke musafir tuu

Bahut udaas hai ik shaks tere jaane se
ho sake to chala aa usi ki khaatir tuu

Meri misaal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahaara hoo.n
tera khayal ki shaakh-e-chaman ka taa_ir tuu

Main jaan_ta hoon ki duniya tujhe badal degii
main maan_ta hoon ki aisa nahin bazaahir tuu

Han.si khushi se bichad jaa agar bichadna hai
yeh har makaam pe kya sochta hai aakhir tuu

'Faraz' tune use mushkilo.n mein daal diya
zamaana saahib-e-zar aur sirf shayar tuu



Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #80 on: December 24, 2008, 04:16:35 PM »
Kya Baat hai Azeem Bro...aapka teh dil se shukriya jo aapne humein Faraaz  saheb ki itni khoob shayari padhne ka mauka diya..

bahut hi khoob likha hai faraaz saheb ne,padhkar Rooh ko ek sukoon sa mila... Applause Applause Applause Applause



Shukriya Bhaijaan,.
Ke Aapne Bhi Is Pardhkar Sarhaaya,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #81 on: December 24, 2008, 04:17:49 PM »
Der Se Aankh Pe Utara Nahi Ashko ka Ajaab,
Apne Zimme Hai Tera Karz Na Jaane Kab se...
                    -Ahmed Faraaz-


Waah Waah Bohat Khoob,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #82 on: December 24, 2008, 04:18:30 PM »
Ek aur nazm pesh hai Azeem sahab
gaur farmaiyega...

Hu.ii hai shaam to aa.nkhon mein bas gaya phir tuu
Kahaa.n gaya hai mere shar ke musafir tuu

Bahut udaas hai ik shaks tere jaane se
ho sake to chala aa usi ki khaatir tuu

Meri misaal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahaara hoo.n
tera khayal ki shaakh-e-chaman ka taa_ir tuu

Main jaan_ta hoon ki duniya tujhe badal degii
main maan_ta hoon ki aisa nahin bazaahir tuu

Han.si khushi se bichad jaa agar bichadna hai
yeh har makaam pe kya sochta hai aakhir tuu

'Faraz' tune use mushkilo.n mein daal diya
zamaana saahib-e-zar aur sirf shayar tuu





Waah Kashish Ji.
Waah Kya Khoob Share Ki Hai Aapne,.
Nice One,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #83 on: December 24, 2008, 05:33:32 PM »
woh jo aa jaate thay aankhon mein sitaare le kar
jaane kis dais gaye khwab humare le kar

chhaon mein baiThnay wale hi to sabse pehle
paiR girta hai to aa jaate hain aare le kar

wo jo aasooda-e-saahil hain inhein kya maaloom
ab ke mauj aai to palTe gi kinaare le kar

aisa lagta hai ke har mausam-e-hijraan mein bahaar
honT rakh deti hai shaakhon pe tumhaare le kar

sheher walon ko kahan yaad hai woh khwab farosh
phirta rehta tha jo galiyon mein ghubaare le kar

naqd-e-jaan sarf hua kulfat-e-hasti mein FARAZ
ab jo zinda hain to kuch saans udhaare le kar
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #84 on: December 30, 2008, 09:58:13 PM »
Dil Ki Chokhat Pe Ek Deep Jala Rakha Hai,
Tere Laut Aane Ka IMkaan Saja Rakha Hai,

Saans Tak Bhi Nahi Lete Hai Tujhe Sochte Waqt,
HuMne Is KaaM Ko Bhi Kal Pe Utha Rakha Hia,

Rooth Jaate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho,
HuMne Ye Soch Kar Hi TuMko Khafa Rakha Hai,

TuM Jise Rota Hua Chhod Gaye The Ek Din,
HuMne Us ShaaM Ko Seene Se Laga Rakha Hia,

Chain Lene Nahi Deta Ye Kisi Taur Mujhe,
Teri Yaadone Jo Toofan Utha Rakha Hai,

Jaane Wale Ne Kaha Tha Wo Laut Ayega Zaroor,
Ek Isi Aas Pe Darwaza Khula Rakha Hia,

Tere Jaane Se Jo Dhool Uthi Thi GaM Ki,
HuMne Us Dhool Ko Aankhon Mein Basa Rakha Hia,

Mujhko Kal ShaaM Se Wo Bahut Yaad Aane Laga,
Dil Ne Muddat Se Jo Ek Shakhs Bhula Rakha Hai,

Aakhri Baar Jo Aaya Tha Mere NaaM Wasi,
Maine Is Khat Ko Kaleje Se Laga Rakha Hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #85 on: December 30, 2008, 10:04:29 PM »
good collection
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #86 on: December 30, 2008, 10:11:22 PM »
Bahut sundar sangraha hai Bhai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #87 on: December 30, 2008, 10:18:25 PM »
Ek shayri mein bhi share kar raha hoon

zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hai.n
jaane kyaa daur hai kyaa log hai.n kyaa kahate hai.n

kyaa qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahii log hame.n aabalaapaa kahate hai.n

ko_ii batalaao ke ik umr kaa bichha.Daa mahabuub
ittefaaqan kahii.n mil jaaye to kyaa kahate hai.n

ye bhii andaaz-e-suKhan hai ke jafaa ko terii
Gamzaa-o-ishvaa-o-andaaz-o-adaa kahate hai.n

jab talak duur hai tuu terii parastish kar le.n
ham jise chhuu na sake.n us ko Khudaa kahate hai.n

kyaa ta'ajjub hai ke ham ahl-e-tamannaa ko 'Faraaz'
vo jo maharuum-e-tamannaa hai.n buraa kahate hai.n
Logged
gurinder
Guest
«Reply #88 on: December 31, 2008, 12:28:54 AM »
lovely  Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #89 on: December 31, 2008, 06:38:57 AM »
Thanks Gurinder
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:26:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer