Ahmed Faraaz Ji, Ki Dil Choone Waali Shayaris,.

by Jaanasheen on December 22, 2008, 01:36:19 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11
Print
Author  (Read 11927 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #90 on: January 01, 2009, 04:59:22 PM »
Shukriya didijan,.
And Nice One rajesh Bhai,.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghazl of Ahmed Faraaz by fayaz ali shaikh in SMS , mobile & JOKES
SHAYARIS FROM MY LUV by arsenmen in SMS , mobile & JOKES
Gazaloun Key Saath : Janab Ahmed Faraaz Sahib Kee Yaad Mein! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Shayari,.. Dil Se, Dil Tak Pahoonchne Waali,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
CHOONE SE BIKHAR JAUNGA.... by pandit in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
Rajesh Harish
Guest
«Reply #91 on: January 01, 2009, 05:02:41 PM »
Thanx Jaanasheen Bhai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #92 on: January 01, 2009, 05:05:31 PM »
Welcome Ji,.



zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz'
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #93 on: January 01, 2009, 05:09:59 PM »
Good sharing Jaanasheen Bhai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #94 on: January 02, 2009, 10:24:24 AM »
Bhai Ahmed Faraaz Ji Ki Shayaari Hi Aisi Hai,.
Jitna Pardhte Hain,.'Utna Mazaa Aata Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #95 on: January 02, 2009, 10:27:42 AM »


qurbaton main bhi judai ke zamane mange
dil wo bemehar ki rone ke bahane mange

apana ye hal ke ji har chuke lut bhi chuke
aur muhabbat vahi andaz purane mange

ham na hote to kisi aur ke charche hote
khalqat-e-shahar to kahane ko fasane mange

dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhi to kya aur na jane mange
Logged
diya786
Guest
«Reply #96 on: January 02, 2009, 10:36:24 AM »
Azeem sahab aapke collectoin mein ek aur nazm pesh hai
umeed hai ki aapko pasand aayegi

Teri baatein hi sunaane aaye
dost bhi dil hi dukhane aaye

Phuul khilte hain to hum sochte hain
tere aane ke zamaane aaye

Aisi kuch chup si lagi hai jaise
hum tujhe haal sunaane aaye


Ishq tanha hai saar-e-manzil-e-gam
kaun yeh bojh uthane aaye

Ajnabe dost humein dekh ki hum
kuch tujhe yad dilane aaye

Dil dhadhakta hai safar ke hangaam
kaash phir koi bulane aaye

Ab to rone se bhi dil dukhta hai
shayad ab hosh thikaane aaye

Kya phir kahin koi basti ujdi
log kyun jashn manaane aaye

So raho maut ke pehluu mein 'Faraz'
neend kis waqt na jaane aaye




Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #97 on: January 02, 2009, 11:03:50 AM »
Mohatarma Aap Posting Karte Raho,.
Ahmed Faraaz Ji Ki Har Ek Shayari Dil Ko Choone Waali Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #98 on: January 02, 2009, 11:10:06 AM »


huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu

main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii
main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu

hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #99 on: January 18, 2009, 01:44:06 PM »
ye meri gazlen ye meri nazmain tamam teri hikayaten hain
ye tazkary teri lutf k hain ye sher teri shikayaten hain


main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ki s'aten hain
jo zindagi k naye safar main tujhe kisi roz yad ayen


to ek ek harf ji uthega pahan k anfas ki qabayen
udas tanahaiyon k lamhon main nach uthengi ye apasarayen


mujhe teri dard k alava bhi aur dukh the, ye janta hun
hazar gam the jo zindagi ki talash main the, ye janta hun


mujhe khabar hai ki teri anchal main dard ki ret chanta hun
magar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hina bani hai


ye zakhm gulzar ban gaye hain ye ahen-sozan ghata bani hai
ye dard mauj-e-saba hua hai ye ag dil ki sada bani hai


aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain
ye dukh k nauhe ye sukh k nagmain jo kal mere the vo ab tere hain


jo teri qurbat teri judai main kat gaye roz-o-shab tere hain
vo tera shayar tera muganni vo jis ki baten ajib si thi


vo jis k andaz khusro-vana the aur adayen garib si thin
vo jis k jine ki khvahishen bhi khud us k apne nasib si thin


na puch us ka ki vo divana bahut dinon ka ujar chuka hai
vo kohakan to nahin tha lekin kari chattanon se lar chuka hai
vo thak chuka hai aur us ka tesha usi k sehan main gar chuka hai
 
 
Logged
diya786
Guest
«Reply #100 on: January 22, 2009, 09:47:46 AM »
Yeh kya ki sabse bayan dil ki halatein karani
'Faraz' tujhko na aain mohabbatein karani

Yeh qurb hai kya ki tu saamne hai aur humein
shumaar abhi se judaai ki sa'aten karani

Koi khuda hoke bhi pathar jise hum chahein
tamam umr usi ki ibadatein karani

Sab apne apne tareeke se muntazir uske
kisi ko shukr kisi ko shikayatein karani

Hum apne dil se hain majboor aur logon ko
zaraa si baat pe barpaa qayamatein karani

Milein jab unse to mubaham si guftugu karaanaa
phir apne aap se sau-sau vazaahatein karani

Yeh log kaise magar dushmani nibhate hain
humein to raas na aain nohabbatein karani

Kabhi 'Faraz' naye mausamon mein ro dena
kabhi talaash puraani raqaabatein karani

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #101 on: January 22, 2009, 12:55:19 PM »
Waah Ji,./
Kya Kehne Aapke,.
Nice One,.
Kashish Ji,.
Logged
Fatima..
Guest
«Reply #102 on: January 22, 2009, 03:07:51 PM »
beautifully written
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #103 on: January 22, 2009, 03:09:07 PM »
THank U Fathima Ji,./
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #104 on: January 22, 2009, 03:10:57 PM »
bahoot hi umda collection hai janab
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 10:01:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer