~.. Aisa bhi ho sakta hai

by janumanu on May 31, 2012, 04:08:52 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2704 times)
janumanu
Guest
isko pahle maine likhaa ho aisa bhi ho sakta hai
ya fir ye misra-e-tarah ho aisa bhi ho sakta hai

wo sach much hi bhool gaya ho aisa bhi ho sakta hai
ya fir yuN hi bol raha ho, aisa bhi ho sakta hai

jisko khaali hath kiya bapis maine darwaje se
koe aur nahi wo khuda ho aisa bhi ho sakta hai

pahle Maa khud ghabrayee, fir has ke boli bachoN se
toot ke chaT pe chand gira ho aisa bhi ho sakta hai

saare raste band kiye haiN, usne khud tak aane ke
ya dunia hi chood chuka ho aisa bhi ho sakta hai

usko chand samjh kar maine kitni ghazleN likhiN hain
chand hi khud uska tukda ho aisa bhi ho sakta hai

mere ilawa aur bhi kitne uske dil maiN rahte hain
shayad uska dil hi bada ho aisa bhi ho sakta hai

halki fulki ghazleN likh kar shayar banta fir hun
ye bhi sab uska socha ho, aisa bhi ho sakta hai

fikr na usko tum yuN toko, uski bhi kuch baat suno
chota bhayee tumse bada ho aisa bhi ho sakta hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aisa bi ho sakta hai by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
Aisa Kabhi Ho Sakta Nahi.. by shami in Shayri for Dard -e- Judai
Kalyug ki story kya reallity hai or kya aisa ho sakta hai by badnaam_shayar in Movies, TV and Entertainment
Aisa Bhi Ho Sakta Hai.... by angel4u in Shayri-E-Dard
Aisa bhi ho sakta hai by rajansarhadi in Ghazals
r.k
Guest
«Reply #1 on: May 31, 2012, 04:57:37 AM »
bht khub likha hai aapne
chota bhai, bda bhi ho sakta hai.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: May 31, 2012, 05:04:55 AM »
 Applause Applause
Logged
khujli
Guest
«Reply #3 on: May 31, 2012, 05:53:57 AM »
isko pahle maine likhaa ho aisa bhi ho sakta hai
ya fir ye misra-e-tarah ho aisa bhi ho sakta hai

wo sach much hi bhool gaya ho aisa bhi ho sakta hai
ya fir yuN hi bol raha ho, aisa bhi ho sakta hai

jisko khaali hath kiya bapis maine darwaje se
koe aur nahi wo khuda ho aisa bhi ho sakta hai

pahle Maa khud ghabrayee, fir has ke boli bachoN se
toot ke chaT pe chand gira ho aisa bhi ho sakta hai

saare raste band kiye haiN, usne khud tak aane ke
ya dunia hi chood chuka ho aisa bhi ho sakta hai

usko chand samjh kar maine kitni ghazleN likhiN hain
chand hi khud uska tukda ho aisa bhi ho sakta hai

mere ilawa aur bhi kitne uske dil maiN rahte hain
shayad uska dil hi bada ho aisa bhi ho sakta hai

halki fulki ghazleN likh kar shayar banta fir hun
ye bhi sab uska socha ho, aisa bhi ho sakta hai

fikr na usko tum yuN toko, uski bhi kuch baat suno
chota bhayee tumse bada ho aisa bhi ho sakta hai

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #4 on: May 31, 2012, 08:57:54 AM »
khub
isko pahle maine likhaa ho aisa bhi ho sakta hai
ya fir ye misra-e-tarah ho aisa bhi ho sakta hai

wo sach much hi bhool gaya ho aisa bhi ho sakta hai
ya fir yuN hi bol raha ho, aisa bhi ho sakta hai

jisko khaali hath kiya bapis maine darwaje se
koe aur nahi wo khuda ho aisa bhi ho sakta hai

pahle Maa khud ghabrayee, fir has ke boli bachoN se
toot ke chaT pe chand gira ho aisa bhi ho sakta hai

saare raste band kiye haiN, usne khud tak aane ke
ya dunia hi chood chuka ho aisa bhi ho sakta hai

usko chand samjh kar maine kitni ghazleN likhiN hain
chand hi khud uska tukda ho aisa bhi ho sakta hai

mere ilawa aur bhi kitne uske dil maiN rahte hain
shayad uska dil hi bada ho aisa bhi ho sakta hai

halki fulki ghazleN likh kar shayar banta fir hun
ye bhi sab uska socha ho, aisa bhi ho sakta hai

fikr na usko tum yuN toko, uski bhi kuch baat suno
chota bhayee tumse bada ho aisa bhi ho sakta hai
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: May 31, 2012, 09:04:57 AM »
Hello Bhai.......... !


WaaH kia baat hai bhai gazab ki kalaam lekar aaye haiN... bahut khoob
kia gazab ke khayaal kahe hai waaH waaH waaH .... Just mindblowing

Sabhi sher behad umdaa rahe bhai aur uspar aapki saadhi si bayaani
gazab dhaa gayi... Usual Smile


Meri hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile
Likhate rahiye... aate rahiye....

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile                  




isko pahle maine likhaa ho aisa bhi ho sakta hai
ya fir ye misra-e-tarah ho aisa bhi ho sakta hai

wo sach much hi bhool gaya ho aisa bhi ho sakta hai
ya fir yuN hi bol raha ho, aisa bhi ho sakta hai

KyuN chutki kaat rahe ho Bhai maiN kisi ko bhulta nahi... Usual Smile
YeH baat aur hai ke bus ab yaad dilaata nahi... Usual Smile                  


jisko khaali hath kiya bapis maine darwaje se
koe aur nahi wo khuda ho aisa bhi ho sakta hai

Behad umdaa khayaal bahut khoob daad daad daad Usual Smile                  

pahle Maa khud ghabrayee, fir has ke boli bachoN se
toot ke chaT pe chand gira ho aisa bhi ho sakta hai

Bhai is type ke khayaal ko bus aap aap aur aap hi
likh sakte ho... bahut umdaa bahut khoob daad daad daad ...
Aik gazab ki manzarkashi ki hai.... Usual Smile                    


saare raste band kiye haiN, usne khud tak aane ke
ya dunia hi chood chuka ho aisa bhi ho sakta hai

Hmmmm sahiN hai Bhai jab itna kuch kar diya hai toH
shayad yeHi sahiN hai ke duniyaa chhod chuka hoNga ...                    


usko chand samjh kar maine kitni ghazleN likhiN hain
chand hi khud uska tukda ho aisa bhi ho sakta hai

Haay yeH qatilaana tareef karne ka andaaz kahaaN se sikha
bhai....  Winking Mujhe bhi sikha do mera bhi kuch achcha ho jayeNga... tongue3                  


mere ilawa aur bhi kitne uske dil maiN rahte hain
shayad uska dil hi bada ho aisa bhi ho sakta hai

Kia baat kia baat hai waaH jee waaH bahut umdaa Usual Smile                  

halki fulki ghazleN likh kar shayar banta fir hun
ye bhi sab uska socha ho, aisa bhi ho sakta hai

Hmmmm sahiN hai jee ... uska hi socha hai baki kisi
ka socha ho hi nahi sakta... Usual Smile                    


fikr na usko tum yuN toko, uski bhi kuch baat suno
chota bhayee tumse bada ho aisa bhi ho sakta hai

Mindblowing Bhai just mindblowing..... behad uNcha khayaal
kaha hai Bhai gazab ki baat hai bahut khoob daad daad daad Usual Smile                  


Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #6 on: May 31, 2012, 09:57:04 AM »
VERIIIIII NAAAAICE J.M
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: May 31, 2012, 05:01:44 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob ji....!!!
Logged
laaiba
Guest
«Reply #8 on: May 31, 2012, 07:50:23 PM »
vry vry nyc jm jii....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 01, 2012, 07:36:21 AM »
Waah Waah Waah!!!!

Bahut bahut Khooob Vikas ji..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
soudagar
Guest
«Reply #10 on: June 01, 2012, 07:39:05 AM »
bahut hi khub... lajwab peshkash ji............aisi kalam par dher sari daad ho aisa ho sakta hai par

par bina rau ke ho aisa nahi ho sakta ...... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #11 on: June 03, 2012, 01:24:50 PM »
isko pahle maine likhaa ho aisa bhi ho sakta hai
ya fir ye misra-e-tarah ho aisa bhi ho sakta hai

wo sach much hi bhool gaya ho aisa bhi ho sakta hai
ya fir yuN hi bol raha ho, aisa bhi ho sakta hai

jisko khaali hath kiya bapis maine darwaje se
koe aur nahi wo khuda ho aisa bhi ho sakta hai

pahle Maa khud ghabrayee, fir has ke boli bachoN se
toot ke chaT pe chand gira ho aisa bhi ho sakta hai

saare raste band kiye haiN, usne khud tak aane ke
ya dunia hi chood chuka ho aisa bhi ho sakta hai

usko chand samjh kar maine kitni ghazleN likhiN hain
chand hi khud uska tukda ho aisa bhi ho sakta hai

mere ilawa aur bhi kitne uske dil maiN rahte hain
shayad uska dil hi bada ho aisa bhi ho sakta hai

halki fulki ghazleN likh kar shayar banta fir hun
ye bhi sab uska socha ho, aisa bhi ho sakta hai

fikr na usko tum yuN toko, uski bhi kuch baat suno
chota bhayee tumse bada ho aisa bhi ho sakta hai


        gud one

         ho sakti hai nafrat use, mujhe ishq ho sakta hai.!
         dil ki baat dil jaane kise kya ho sakta hai.!!
Logged
malli
Guest
«Reply #12 on: June 03, 2012, 01:27:11 PM »
very nice creation Applause
Logged
janumanu
Guest
«Reply #13 on: June 14, 2012, 07:10:39 AM »
bht khub likha hai aapne
chota bhai, bda bhi ho sakta hai.

shukriyaa pasandgi ka ....................
Logged
mkv
Guest
«Reply #14 on: July 05, 2012, 05:08:41 PM »
Kitna bada hoga aapka dil..
aapka dil to ek tinke kee aahat bhee tej chaltee hawa ke beech sun sakta hai..
ghajab janumanu jee.
bhai ham to kaayal ho gaye aapke.
Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:34:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer