AISA MERA KIRDAR NAHI..........(GHAYEL)

by sajid_ghayel on November 21, 2008, 11:36:12 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2492 times)
sajid_ghayel
Guest
Ho jane de bezubaan sajid ko
Karne de ghayel ko shayri
Muje guftugu ka salika nahi yaro
Ghayel ko sune gaur se duniya sari

Dosti ho kisi se aisa mera kirdar nahi
Magar mere shero se hain sabko yari
Kasam khayee thi tumse ab na bolege
Ijazat do bas itni likhu tumpe ghazal aur kasam bhi na tute hamari

Jo milta hain kar ke zaleel chala jata hain
Kuch aisi hain ab kismat hamari
Shukr hain likhne ka hunar hain tujme ghayel
Hazar buaraiee tujme sahi ghazal karti hain wafadari

                                -Sajid Ghayel

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh mera chehra nahi us ko tu aisa bana by asgher in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain by innocent.devil20 in Shayri for Dard -e- Judai
KOI GILA NAHI......(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairi - E - Zindagi
KHATA UNKI NAHI...........(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mera mehboob aisa hoga.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: November 21, 2008, 12:54:56 PM »
Ab kya ho gaya Janaab...
Kis se gussa ho aap??

Shayari ka kahein toh Humesha ki tarah Bahut hi Achha likha hai aapne "Sajid Ji", lekin khayaalon ka kahein toh.. Achha khaasa kisdaar hai aapka..  icon_geek aap pehle "Sajid Ji" ho phir kuch aur.. Usual Smile

Aap hi ke kalaam ka jawaab, kuch aap ke hi andaaz mein,


Naa hone dena bezubaan tum 'Sajid' ko,
'Ghayal' akela kaise karega bhala Shayari,
Chura raha hai sabhi khayaal ye 'Sajid' ke,
Padhta rehta hai dil mein chhupi uski diary..

Jiske khayaal mein kabhi likho tum koi gazal,
Wo shaksh beshaq koi khushnaseeb hoga..
Jisko zehan mein baitha ke rakha hai tumne,
Woh ehsaaso ke bhi toh bahut kareeb hoga...

Gazal wafadaar hai, Har sheir bahut sachha hai,
Hunar likhne ka tum mein achho se bhi achha hai..
Kyon bhala kismat ko phir dete rehte ho laanatein,
Ek kalaam hi hai ye, jo khud khuda ne racha hai..

 
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: November 21, 2008, 02:19:54 PM »
Ab kya ho gaya Janaab...
Kis se gussa ho aap??

Shayari ka kahein toh Humesha ki tarah Bahut hi Achha likha hai aapne "Sajid Ji", lekin khayaalon ka kahein toh.. Achha khaasa kisdaar hai aapka..  icon_geek aap pehle "Sajid Ji" ho phir kuch aur.. Usual Smile

Aap hi ke kalaam ka jawaab, kuch aap ke hi andaaz mein,


Naa hone dena bezubaan tum 'Sajid' ko,
'Ghayal' akela kaise karega bhala Shayari,
Chura raha hai sabhi khayaal ye 'Sajid' ke,
Padhta rehta hai dil mein chhupi uski dairy..

Jiske khayaal mein kabhi likho tum koi gazal,
Wo shaksh beshaq koi khushnaseeb hoga..
Jisko zehan mein baitha ke rakha hai tumne,
Woh ehsaaso ke bhi toh bahut kareeb hoga...

Gazal wafadaar hai, Har sheir bahut sachha hai,
Hunar likhne ka tum mein achho se bhi achha hai..
Kyon bhala kismat ko phir dete rehte ho laanatein,
Ek kalaam hi hai ye, jo khud khuda ne racha hai..

 

Kasam khuda ki sajid aur ghayel aaj dono tumhare ehsanmand hain sari zindagi sajid is jawab ko aakho se laga ke rakhega pehli char lino me hi tumne muje sharminda kar diya bas muje hamaesha apne dosto me nahi to kam se kam jannewalo me zarur shamil rakhna bas itni guzarish hain

Rishtedar chune nahi jate
Chune jate hai bas yaar tum jaise
Khushnasibi hai yeh ghayel ki
Teri guftugu me shamil hai hum jaise
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: November 21, 2008, 06:50:24 PM »
bahoot khoob SG and Mahiya
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: November 21, 2008, 07:06:45 PM »
Thanks Pooja
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:04:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer